SHAWORDS

kaun us ko chaahtaa meri tarah — Nomaan Shauque

HomeNomaan ShauqueGhazal
"kaun us ko chaahtaa meri tarah vo bhi tanhaa ho gayaa meri tarah kah diyaa kis ne khudaa miltaa nahin DhunDhiye us kaa pata meri tarah TuTnaa hi thaa ta'alluq ek din hu-ba-hu vo shakhs thaa meri tarah us taraf jaane lage sab raaste shahr divaana huaa meri tarah muft mein kyon kijiye nindein kharaab haan agar vo jaagtaa meri tarah mil gayaa saaraa takabbur khaak mein miT gayaa meraa likhaa meri tarah"
Urdu

کون اس کو چاہتا میری طرح وہ بھی تنہا ہو گیا میری طرح کہہ دیا کس نے خدا ملتا نہیں ڈھونڈیئے اس کا پتہ میری طرح ٹوٹنا ہی تھا تعلق ایک دن ہو بہ ہو وہ شخص تھا میری طرح اس طرف جانے لگے سب راستے شہر دیوانہ ہوا میری طرح مفت میں کیوں کیجیئے نیندیں خراب ہاں اگر وہ جاگتا میری طرح مل گیا سارا تکبر خاک میں مٹ گیا میرا لکھا میری طرح

Hindi

कौन उस को चाहता मेरी तरह वो भी तन्हा हो गया मेरी तरह कह दिया किस ने ख़ुदा मिलता नहीं ढूँढिए उस का पता मेरी तरह टूटना ही था त'अल्लुक़ एक दिन हू-ब-हू वो शख़्स था मेरी तरह उस तरफ़ जाने लगे सब रास्ते शह्र दीवाना हुआ मेरी तरह मुफ़्त में क्यों कीजिए नींदें ख़राब हाँ अगर वो जागता मेरी तरह मिल गया सारा तकब्बुर ख़ाक में मिट गया मेरा लिखा मेरी तरह

kaun us ko chāhtā merī tarah
Nomaan Shauque
Nomaan Shauque
Nomaan Shauque
poet160 quotes

More by Nomaan Shauque

View all →
Quote
"din-ba-din ghaTti hui umr pe naazil ho jaae ik badan aur miri ruuh ko haasil ho jaae morche kholtaa rahtaa huun samundar ke khilaaf jis ko miTnaa hai vo aae miraa saahil ho jaae khel hi khel mein chhu luun main kinaaraa apnaa aise souun ki jagaanaa mujhe mushkil ho jaae lag ke bimaar ke siine se na ronaa aise zindagaani ki tarah maut bhi mushkil ho jaae rakh rahe hain tire patthar mire zakhmon kaa hisaab ab ye majmaa bhi mire kashf kaa qaael ho jaae is qadar der na karnaa ki ye aaseb-nagar raat kaa ruup le aur jism mein daakhil ho jaae jang apnon se hai to dil ko kinaare kar luun raaste mein yahi talvaar na haael ho jaae"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"aaThon pahar kaa ye tiraa mazdur aa gayaa jannat ke dvaar khol miri huur aa gayaa paighambari kaa daa'vaa nahin 'aashiqi kaa hai patthar na maariye jo sar-e-tur aa gayaa sab ne suni jo raat ki lalkaar Dar gae siina thaa jis kaa nuur se maa'mur aa gayaa aaghosh us ki aisi puraani sharaab thi nashshe mein khvaahishon ke bahut duur aa gayaa basta uThaaiye ki ye maktab nahin hai vo basti badal gai nayaa dastur aa gayaa kyaa chaahiye ghulaam ko bas ik nazar ki bhiik shartein tamaam aap ki manzur aa gayaa"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"zamin hasb-e-zarurat ugaai jaati hai phir ek saanche mein khilqat banaai jaati hai khabar mein hain jo kai zar-kharid qissa-go hamein unhin ki kahaani sunaai jaati hai hamaari bazm mein jalte nahin charaagh ke saath yahaan charaagh ki dahshat jalaai jaati hai tamaam raat kaa jaagaa huun maa'zarat mire dost buraa na maan agar niind aai jaati hai hamaare jaam mein ilzaam ke sivaa nahin kuchh hamein sharaab ki tohmat pilaai jaati hai main khud se jang kaa e'laan karne vaalaa huun jo haari jaati nahin hai haraai jaati hai hamaare 'ahd kaa sarmaaya hain ye taalib-e-‘ilm inhein kitaab se nafrat sikhaai jaati hai zamin par hai tamaam andhe 'aashiqon kaa hujum yahaan vafaa bhi nahin aazmaai jaati hai ye kaise khvaab ki takmil mein lagaa hai jahaan ki zahr de ke mohabbat sulaai jaati hai"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"nahin ki tab koi kaaghaz qalam na hotaa thaa vo husn hi thaa qayaamat raqam na hotaa thaa har aadmi ko vahaan milti us ke kaam ki daad khudaa kaa naam khudaa ki qasam na hotaa thaa to kyaa sunaataa farishton ko main kalaam-e-jahaan kisi ki baaton mein pahlu-e-zam na hotaa thaa zaraa si pi thi kabhi jaahilon ke saath sharaab nasha thaa 'ilm kaa aisaa ki kam na hotaa thaa do ek baar to jiite bhi khel khel mein ham magar malaal zaraa besh-o-kam na hotaa thaa hamein hi marnaa paDaa apnaa haal likhne ko kisi kaa dard kisi se raqam na hotaa thaa bahaae jaataa thaa sailaab aansuon kaa hamein kisi ki aankh kaa konaa bhi nam na hotaa thaa"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque

More on Time

View all →
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari
Quote
"aaina huun ki main patthar huun ye kab puchhe hai ziist mujh se mere jiine kaa sabab puchhe hai munkashif hone lage jab se rumuz-o-asraar kuchh savaal ab dil-e-maasum ajab puchhe hai maqsad-e-zist, koi khvaab yaa khvaahish koii? ham ne jab si liye lab apne vo tab puchhe hai har koi apni tag-o-dau mein hai masruf yahaan kaun ab kis ki udaasi kaa sabab puchhe hai vahshat-e-dil mein kami ho bhi to kyaa, haal-e-darun aur baDh jaati hai kuchh, ham se vo jab puchhe hai jis ne barbaad kiyaa khaana-e-dil rah rah kar kyaa qayaamat hai, vahi is kaa sabab puchhe hai koi bhi rishta nikaltaa nahin ham donon mein phir bhi kyuun ham se hamaaraa vo nasab puchhe hai saath guzre the kabhi arsa huaa, mujh se magar aaj bhi teraa pataa raah-e-talab puchhe hai ik nidaa jis ko samajhte hain zamir apnaa sabhi qabl-e-laghzish hamein is shakl mein rab puchhe hai ab ye aalam hai ki khud vahshat-e-dil bhi 'khaalid' ghar mire der se aane kaa sabab puchhe hai"
Quaiser KhalidQuaiser Khalid
Quote
"khud ko kyaa khuun rulaaoge bataao to sahi tum mujhe kaise bhulaaoge bataao to sahi aise chup-chaap tumhein main nahin jaane dungaa tum kabhi lauT ke aaoge bataao to sahi muddat-e-hijr mukarrar mujhe manzur magar apne siine se lagaaoge bataao to sahi yaad mein meri sabhi kaam se ghaafil ho kar chaar aansu bhi bahaaoge bataao to sahi ratjage mere muqaddar mein likhe hain tum ne aur khud khvaab sajaaoge bataao to sahi tum se pahle bhi kai log mujhe chhoD gae main jo ruThungaa manaaoge bataao to sahi tum kisi ko jo kabhi meraa havaala doge meri ghazlein bhi sunaaoge bataao to sahi jab davaa kaam na kar paaegi mujh par 'aarif' tum masihaai ko aaoge bataao to sahi"
Aarif NazeerAarif Nazeer
Quote
"zehn-o-dil mein basi hain divaarein jaane kab se khaDi hain divaarein dhuup utre bhi kaise aangan mein har taraf to khaDi hain divaarein sahn mein ek bhi nahin divaar zehn mein uTh rahi hain divaarein do sage bhaaiyon kaa jhagDaa hai faisla kar rahi hain divaarein meraa chehra mujhe dikhaati hain aaina ban gai hain divaarein kachchi miTTi ke mere ghar ke liye aandhiyon se laDi hain divaarein kaan dhar kar suno ki sadiyon ki daastaan kah rahi hain divaarein aisi divaarein saamne hain mire jin ke pichhe khaDi hain divaarein meraa qad bhi bahut baDaa hai magar mere qad se baDi hain divaarein 'aabid' uDne kaa khvaab kyaa dekhein har taraf to khaDi hain divaarein"
Abid KarhaniAbid Karhani