"miTTi se miTTi kaa rishta sadiyon kaa jaise rishta aag havaa kaa sadiyon kaa rasta teraa dekh rahi hai buDhi aankh aankh mein paani aa kar Thahraa sadiyon kaa lamha-lamha sadiyon ki taa'mir hui pal-do-pal mein rishta TuuTaa sadiyon kaa Takhnon Takhnon paani ghar mein aa pohnchaa girya-girya qatra-qatra sadiyon kaa yaad rakheinge manzar manzar ham bhi 'charaagh' lamhon se yuun haath milaanaa sadiyon kaa"
khaak-e-bashar ab giili honaa baaqi hai — Chiraguddin Charagh
"khaak-e-bashar ab giili honaa baaqi hai mausam mein tabdili honaa baaqi hai jaane kitne raaz hain is mein poshida band hai muTThi Dhili honaa baaqi hai sho'lon kaa aazaar bhi tujh ko sahnaa hai fikr ki raat bhi piili honaa baaqi hai dast-e-shafqat sar par apne rahne de dhuup abhi chamkili honaa baaqi hai us ki baatein miThi miThi hain lekin aaj fazaa zahrili honaa baaqi hai jalte-bujhte zakhmon ke raushan hain charaagh shaam abhi rangili honaa baaqi hai"
خاک بشر اب گیلی ہونا باقی ہے موسم میں تبدیلی ہونا باقی ہے جانے کتنے راز ہیں اس میں پوشیدہ بند ہے مٹھی ڈھیلی ہونا باقی ہے شعلوں کا آزار بھی تجھ کو سہنا ہے فکر کی رات بھی پیلی ہونا باقی ہے دست شفقت سر پر اپنے رہنے دے دھوپ ابھی چمکیلی ہونا باقی ہے اس کی باتیں میٹھی میٹھی ہیں لیکن آج فضا زہریلی ہونا باقی ہے جلتے بجھتے زخموں کے روشن ہیں چراغ شام ابھی رنگیلی ہونا باقی ہے
ख़ाक-ए-बशर अब गीली होना बाक़ी है मौसम में तब्दीली होना बाक़ी है जाने कितने राज़ हैं इस में पोशीदा बंद है मुट्ठी ढीली होना बाक़ी है शो'लों का आज़ार भी तुझ को सहना है फ़िक्र की रात भी पीली होना बाक़ी है दस्त-ए-शफ़क़त सर पर अपने रहने दे धूप अभी चमकीली होना बाक़ी है उस की बातें मीठी मीठी हैं लेकिन आज फ़ज़ा ज़हरीली होना बाक़ी है जलते-बुझते ज़ख़्मों के रौशन हैं चराग़ शाम अभी रंगीली होना बाक़ी है
More by Chiraguddin Charagh
View all →"ghazal ko husn lafzon ko ma'aani kaun detaa hai sukhan ki is zulekhaa ko javaani kaun detaa hai dhanak ke saat rangon mein tabassum kis kaa shaamil hai sadaf mein zindagi ki zau-fishaani kaun detaa hai zabaan luknat-zada ho baat bhi karni nahin aae usi bachche ko phir zor-e-bayaani kaun detaa hai agar chhinko to ruk jaati hai dhaDkan ek lamhe ko ki dil ke saaz ko phir se ravaani kaun detaa hai jahaan-e-aab-o-gil kyaa hai faqat ik daaera lekin takhayyul ko khalaa ki hukmraani kaun detaa hai"
"kaaghaz ki vaadiyon mein kare yuun safar ghazal chhu le jabin-e-arsh vo takhliq kar ghazal kaaghaz pe ik hasin saa paikar utaar lein tanhaai ke safar mein rahe ham-safar ghazal jis ke bhi qaul-o-feal mein yaksaaniyat mile samjho usi ki aaj hai paighaambar ghazal dast-e-talab se bhiik to milni nahin tujhe aisaa rahaa khayaal to be-maut mar ghazal mere sukhan ki dosto mearaaj dekhiye paDhti rahi ghazal bhi miri raat-bhar ghazal"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"