SHAWORDS

miTTi se miTTi kaa rishta sadiyon kaa — Chiraguddin Charagh

"miTTi se miTTi kaa rishta sadiyon kaa jaise rishta aag havaa kaa sadiyon kaa rasta teraa dekh rahi hai buDhi aankh aankh mein paani aa kar Thahraa sadiyon kaa lamha-lamha sadiyon ki taa'mir hui pal-do-pal mein rishta TuuTaa sadiyon kaa Takhnon Takhnon paani ghar mein aa pohnchaa girya-girya qatra-qatra sadiyon kaa yaad rakheinge manzar manzar ham bhi 'charaagh' lamhon se yuun haath milaanaa sadiyon kaa"
Urdu

مٹی سے مٹی کا رشتہ صدیوں کا جیسے رشتہ آگ ہوا کا صدیوں کا رستہ تیرا دیکھ رہی ہے بوڑھی آنکھ آنکھ میں پانی آ کر ٹھہرا صدیوں کا لمحہ لمحہ صدیوں کی تعمیر ہوئی پل دو پل میں رشتہ ٹوٹا صدیوں کا ٹخنوں ٹخنوں پانی گھر میں آ پہنچا گریہ گریہ قطرہ قطرہ صدیوں کا یاد رکھیں گے منظر منظر ہم بھی چراغؔ لمحوں سے یوں ہاتھ ملانا صدیوں کا

Hindi

मिट्टी से मिट्टी का रिश्ता सदियों का जैसे रिश्ता आग हवा का सदियों का रस्ता तेरा देख रही है बूढ़ी आँख आँख में पानी आ कर ठहरा सदियों का लम्हा-लम्हा सदियों की ता'मीर हुई पल-दो-पल में रिश्ता टूटा सदियों का टख़नों टख़नों पानी घर में आ पहुँचा गिर्या-गिर्या क़तरा-क़तरा सदियों का याद रखेंगे मंज़र मंज़र हम भी 'चराग़' लम्हों से यूँ हाथ मिलाना सदियों का

miTTī se miTTī kā rishta sadiyoñ kā
C
Chiraguddin Charagh
Chiraguddin Charagh
poet4 quotes

More by Chiraguddin Charagh

View all →

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui