Quote
"ishq ko pahnaa rahaa huun aah-o-zaari kaa libaas taa ki ho mujh ko mayassar fazl-e-baari ka libaas kab hamaare vaaste lauTeingi khushiyaan zindagi kab utaaregaa zamaana sogvaari kaa libaas raaz mein phir bhi hamaaraa ishq rah saktaa nahin zeb-tan ham laakh kar lein parda-daari kaa libaas mere pichhe paD gae hain saikDon but ai khudaa kar ataa imaan ko mere paaedaari kaa libaas dar-haqiqat chhoD baiThe hain sabhi ab ye chalan ik dikhaavaa hai vafaa ki paasdaari ka libaas jaan kar baazi lagaanaa jaan par aane lagaa bas numaaish ke liye hai ab to yaari ka libaas log apni azmaton ke gaa rahe hain gun 'khalish' aur main pahne hue huun inkisaari kaa libaas"
A
Abdul Hafeez Khalish Taskini