"ishq ko pahnaa rahaa huun aah-o-zaari kaa libaas taa ki ho mujh ko mayassar fazl-e-baari ka libaas kab hamaare vaaste lauTeingi khushiyaan zindagi kab utaaregaa zamaana sogvaari kaa libaas raaz mein phir bhi hamaaraa ishq rah saktaa nahin zeb-tan ham laakh kar lein parda-daari kaa libaas mere pichhe paD gae hain saikDon but ai khudaa kar ataa imaan ko mere paaedaari kaa libaas dar-haqiqat chhoD baiThe hain sabhi ab ye chalan ik dikhaavaa hai vafaa ki paasdaari ka libaas jaan kar baazi lagaanaa jaan par aane lagaa bas numaaish ke liye hai ab to yaari ka libaas log apni azmaton ke gaa rahe hain gun 'khalish' aur main pahne hue huun inkisaari kaa libaas"
vaqt ke aaseb se Dar jaaein kyaa — Abdul Hafeez Khalish Taskini
"vaqt ke aaseb se Dar jaaein kyaa maut se bhi pahle ham mar jaaein kyaa biich mein dar aae hai meri vafaa tohmatein us shokh ke sar jaaein kyaa farq aadat mein abhi aayaa nahin ham haram mai-khaana ho kar jaaein kyaa ho gai hai kyon tumhaari aankh nam ham yahaan kuchh der ruk kar jaaein kyaa zindagi kyaa dilkashi kam to nahin aap ki khaatir sahi mar jaaein kyaa aaj-kal maahaul achchhaa ho gayaa dil mein jo Thaani hai ham kar jaaein kyaa jin mein un ka qurb haasil thaa 'khalish' meri aankhon se vo manzar jaaein kyaa"
وقت کے آسیب سے ڈر جائیں کیا موت سے بھی پہلے ہم مر جائیں کیا بیچ میں در آئے ہے میری وفا تہمتیں اس شوخ کے سر جائیں کیا فرق عادت میں ابھی آیا نہیں ہم حرم مے خانہ ہو کر جائیں کیا ہو گئی ہے کیوں تمہاری آنکھ نم ہم یہاں کچھ دیر رک کر جائیں کیا زندگی کیا دل کشی کم تو نہیں آپ کی خاطر سہی مر جائیں کیا آج کل ماحول اچھا ہو گیا دل میں جو ٹھانی ہے ہم کر جائیں کیا جن میں ان کا قرب حاصل تھا خلشؔ میری آنکھوں سے وہ منظر جائیں کیا
वक़्त के आसेब से डर जाएँ क्या मौत से भी पहले हम मर जाएँ क्या बीच में दर आए है मेरी वफ़ा तोहमतें उस शोख़ के सर जाएँ क्या फ़र्क़ आदत में अभी आया नहीं हम हरम मय-ख़ाना हो कर जाएँ क्या हो गई है क्यों तुम्हारी आँख नम हम यहाँ कुछ देर रुक कर जाएँ क्या ज़िंदगी क्या दिलकशी कम तो नहीं आप की ख़ातिर सही मर जाएँ क्या आज-कल माहौल अच्छा हो गया दिल में जो ठानी है हम कर जाएँ क्या जिन में उन का क़ुर्ब हासिल था 'ख़लिश' मेरी आँखों से वो मंज़र जाएँ क्या
More by Abdul Hafeez Khalish Taskini
View all →"khadsha-e-barq-o-sharar yaad aayaa main jahaan bhi gayaa ghar yaad aayaa bas tiraa haath rahaa yaad mujhe sang yaad aayaa na sar yaad aayaa har qadam par thaa nishaan-e-manzil tere hamraah safar yaad aayaa ashk-e-khurshid kahaa thaa tujh ko tu bahut vaqt-e-sahar yaad aayaa dil miraa bahr-e-alam mein Duubaa jab tiraa dida-e-tar yaad aayaa thaa mire sar mein vafaa ka saudaa nafaa shab aayaa zarar yaad aayaa is qadar gham pe na socho ai 'khalish' kyaa karoge vo agar yaad aayaa"
"chaman ke dil-nashin khush-rang manzaron ke charaagh ye titliyon ki guzargaahein ye gulon ke charaagh andheri raat mein barsaat ki miri mohsin chamakti bijliyaan yaani ye baadalon ke charaagh mire qalam se munavvar hon zehn logon ke jalaaun bazm mein duniyaa ki tajrabon ke charaagh nazar se chumaa thaa main ne tumhaare jalvon ko bhulaae jaate nahin un hasin ruton ke charaagh qadam uThaanaa kaThin ho gayaa tiri jaanib bujhaa diye miri qismat ne raaston ke charaagh unhein bujhaaegi fauran havaa zamaane ki jo khvaab dekheinge mahlon ke jhonpaDon ke charaagh"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"