"usi ko dost rakhaa dusraa banaayaa nahin kai banaate hain main ne khudaa banaayaa nahin ye basti raat kaa kis tarah saamnaa karegi yahaan kisi ne bhi din mein diyaa banaayaa nahin pataa karo ki ye naqqaash kis qabil kaa hai parinda jab bhi banaayaa rihaa banaayaa nahin ye log zulm kamaa kar shab aise sote hain khudaa ne jaise ki roz-e-jazaa banaayaa nahin lahu bhi jaltaa hai jhaDti hai khaak bhi meri ki sher utartaa hai lekin banaa-banaayaa nahin vo mehrbaan hai magar bhultaa nahin mujh ko vo ek kaam jo us ne miraa banaayaa nahin udaas dekhaa nahin jaataa koi mujh se 'aqil' kisi ko is liye haal-aashnaa banaayaa nahin"
khamida raah ko sidhaa ghalat bataayaa hai — Aqeel Shah
"khamida raah ko sidhaa ghalat bataayaa hai kisi ne andhon ko rasta ghalat bataayaa hai zarur chor thaa is marne vaale ke dil mein tabhi khazaane kaa naqsha ghalat bataayaa hai main ek baat bataataa magar buzurgon ne har ek baat bataanaa ghalat bataayaa hai yahaan pe rahtaa nahin koi qais naam kaa shakhs kisi ne aap ko sahraa ghalat bataayaa hai ye ziist vaaqai mushkil hai yaa mujhe dil ne guzaarne kaa tariqa ghalat bataayaa hai hamaari dar-badari kyuun pasand hai us ko na-jaane kyuun pataa apnaa ghalat bataayaa hai jadid daur ke darvesh hain 'aqil' hamin harif ne sag-e-duniyaa ghalat bataayaa hai"
خمیدہ راہ کو سیدھا غلط بتایا ہے کسی نے اندھوں کو رستہ غلط بتایا ہے ضرور چور تھا اس مرنے والے کے دل میں تبھی خزانے کا نقشہ غلط بتایا ہے میں ایک بات بتاتا مگر بزرگوں نے ہر ایک بات بتانا غلط بتایا ہے یہاں پہ رہتا نہیں کوئی قیس نام کا شخص کسی نے آپ کو صحرا غلط بتایا ہے یہ زیست واقعی مشکل ہے یا مجھے دل نے گزارنے کا طریقہ غلط بتایا ہے ہماری در بدری کیوں پسند ہے اس کو نہ جانے کیوں پتا اپنا غلط بتایا ہے جدید دور کے درویش ہیں عقیلؔ ہمیں حریف نے سگ دنیا غلط بتایا ہے
ख़मीदा राह को सीधा ग़लत बताया है किसी ने अंधों को रस्ता ग़लत बताया है ज़रूर चोर था इस मरने वाले के दिल में तभी ख़ज़ाने का नक़्शा ग़लत बताया है मैं एक बात बताता मगर बुज़ुर्गों ने हर एक बात बताना ग़लत बताया है यहाँ पे रहता नहीं कोई क़ैस नाम का शख़्स किसी ने आप को सहरा ग़लत बताया है ये ज़ीस्त वाक़ई मुश्किल है या मुझे दिल ने गुज़ारने का तरीक़ा ग़लत बताया है हमारी दर-बदरी क्यूँ पसंद है उस को न-जाने क्यूँ पता अपना ग़लत बताया है जदीद दौर के दरवेश हैं 'अक़ील' हमीं हरीफ़ ने सग-ए-दुनिया ग़लत बताया है

More by Aqeel Shah
View all →"nahin ki dasht ko hijrat ziyaada mushkil hai gharon mein is se bhi vahshat ziyaada mushkil hai natija akhz kiyaa pai-ba-pai shikaston se ki dushmani se mohabbat ziyaada mushkil hai agarche takht-nashini bhi koi sahl nahin magar dilon pe hukumat ziyaada mushkil hai hayaat kaaTne vaalon ko ye nahin maalum ki is se agli masaafat ziyaada mushkil hai 'aqil' Daale the hathiyaar sab se aakhir mein hamaare saath riaayat ziyaada mushkil hai"
"galiyon mein lahu-rezi kaa kuchh hal nikal aae log is liye khud jaanib-e-maqtal nikal aae main kaasa-ba-daston ke qabile kaa huun lekin khush-qismati se haath mire shal nikal aae rone se mujhe khalq-e-khudaa rok rahi thi phir meri taraf-daari mein baadal nikal aae ik sath-e-mohabbat pe khaDaa soch rahaa huun aisaa na ho ye jhiil bhi daldal nikal aae afsos ki ab bhi hain tire daam mein kuchh kuchh ham samjhe the is baar mukammal nikal aae aabaad rahe shahr-e-khamoshaan kise maalum mujh aisaa musaafir yahaan kis pal nikal aae"
"tiraa karam ki main jab maat tak pahunch jaataa to koi haath mire haath tak pahunch jaataa main us ki bazm mein chup-chaap hi rahaa kartaa magar vo phir bhi miri baat tak pahunch jaataa main bhaav-taav agar kartaa to vo khvaab-farosh qayaas hai miri auqaat tak pahunch jaataa agar na miltaa mujhe shaam maah-e-aavaara yaqin maano main ghar raat tak pahunch jaataa main apne bhaai ko pardes kyuun bulaataa 'aqil' vo is tarah mire haalaat tak pahunch jaataa"
"ek hi dasht thaa vo bhi na khangaalaa main ne dil pe lenaa nahin thaa paanv kaa chhaalaa main ne ghar ke Dah jaane mein ghaflat miri shaamil thi magar saaraa malba dar-o-divaar pe Daalaa main ne kaash main apne azaa-daaron ko batlaa saktaa kaisaa dukh thaa vo jise maut se Taalaa main ne aakhir-e-kaar ghulaami se baghaavat kar di aur zanjir ko shamshir mein Dhaalaa main ne yuun to har shakhs yahaan aankh liye phirtaa hai par nahin dekhaa koi dekhne vaalaa main ne aur phir ik roz hamesha ke liye kho gayaa main yaani ik roz use DhunD nikaalaa main ne"
"baDi choron ko aasaani hai mujh mein kisi andhe ki nigaraani hai mujh mein miri aankhon se baahar jhaanktaa hai na-jaane kaun zindaani hai mujh mein dil-e-afsurda ne vo gul khilaae jahaan tak dekhun viraani hai mujh mein bahut bechain rahti hai miri ruuh use koi pareshaani hai mujh mein khulaa ye raaz chashm-e-tar se mujh par samundar se fuzun paani hai mujh mein khudaa ko aazmaaun lamha lamha baDi kaafir musalmaani hai mujh mein"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"