SHAWORDS

usi ko dost rakhaa dusraa banaayaa nahin — Aqeel Shah

HomeAqeel ShahGhazal
"usi ko dost rakhaa dusraa banaayaa nahin kai banaate hain main ne khudaa banaayaa nahin ye basti raat kaa kis tarah saamnaa karegi yahaan kisi ne bhi din mein diyaa banaayaa nahin pataa karo ki ye naqqaash kis qabil kaa hai parinda jab bhi banaayaa rihaa banaayaa nahin ye log zulm kamaa kar shab aise sote hain khudaa ne jaise ki roz-e-jazaa banaayaa nahin lahu bhi jaltaa hai jhaDti hai khaak bhi meri ki sher utartaa hai lekin banaa-banaayaa nahin vo mehrbaan hai magar bhultaa nahin mujh ko vo ek kaam jo us ne miraa banaayaa nahin udaas dekhaa nahin jaataa koi mujh se 'aqil' kisi ko is liye haal-aashnaa banaayaa nahin"
Urdu

اسی کو دوست رکھا دوسرا بنایا نہیں کئی بناتے ہیں میں نے خدا بنایا نہیں یہ بستی رات کا کس طرح سامنا کرے گی یہاں کسی نے بھی دن میں دیا بنایا نہیں پتا کرو کہ یہ نقاش کس قبیل کا ہے پرندہ جب بھی بنایا رہا بنایا نہیں یہ لوگ ظلم کما کر شب ایسے سوتے ہیں خدا نے جیسے کہ روز جزا بنایا نہیں لہو بھی جلتا ہے جھڑتی ہے خاک بھی میری کہ شعر اترتا ہے لیکن بنا بنایا نہیں وہ مہرباں ہے مگر بھولتا نہیں مجھ کو وہ ایک کام جو اس نے مرا بنایا نہیں اداس دیکھا نہیں جاتا کوئی مجھ سے عقیلؔ کسی کو اس لیے حال آشنا بنایا نہیں

Hindi

उसी को दोस्त रखा दूसरा बनाया नहीं कई बनाते हैं मैं ने ख़ुदा बनाया नहीं ये बस्ती रात का किस तरह सामना करेगी यहाँ किसी ने भी दिन में दिया बनाया नहीं पता करो कि ये नक़्क़ाश किस क़बील का है परिंदा जब भी बनाया रिहा बनाया नहीं ये लोग ज़ुल्म कमा कर शब ऐसे सोते हैं ख़ुदा ने जैसे कि रोज़-ए-जज़ा बनाया नहीं लहू भी जलता है झड़ती है ख़ाक भी मेरी कि शे'र उतरता है लेकिन बना-बनाया नहीं वो मेहरबाँ है मगर भूलता नहीं मुझ को वो एक काम जो उस ने मिरा बनाया नहीं उदास देखा नहीं जाता कोई मुझ से 'अक़ील' किसी को इस लिए हाल-आश्ना बनाया नहीं

usī ko dost rakhā dūsrā banāyā nahīñ
Aqeel Shah
Aqeel Shah
Aqeel Shah
poet12 quotes

More by Aqeel Shah

View all →
Quote
"galiyon mein lahu-rezi kaa kuchh hal nikal aae log is liye khud jaanib-e-maqtal nikal aae main kaasa-ba-daston ke qabile kaa huun lekin khush-qismati se haath mire shal nikal aae rone se mujhe khalq-e-khudaa rok rahi thi phir meri taraf-daari mein baadal nikal aae ik sath-e-mohabbat pe khaDaa soch rahaa huun aisaa na ho ye jhiil bhi daldal nikal aae afsos ki ab bhi hain tire daam mein kuchh kuchh ham samjhe the is baar mukammal nikal aae aabaad rahe shahr-e-khamoshaan kise maalum mujh aisaa musaafir yahaan kis pal nikal aae"
Aqeel ShahAqeel Shah
Quote
"ek hi dasht thaa vo bhi na khangaalaa main ne dil pe lenaa nahin thaa paanv kaa chhaalaa main ne ghar ke Dah jaane mein ghaflat miri shaamil thi magar saaraa malba dar-o-divaar pe Daalaa main ne kaash main apne azaa-daaron ko batlaa saktaa kaisaa dukh thaa vo jise maut se Taalaa main ne aakhir-e-kaar ghulaami se baghaavat kar di aur zanjir ko shamshir mein Dhaalaa main ne yuun to har shakhs yahaan aankh liye phirtaa hai par nahin dekhaa koi dekhne vaalaa main ne aur phir ik roz hamesha ke liye kho gayaa main yaani ik roz use DhunD nikaalaa main ne"
Aqeel ShahAqeel Shah
Quote
"koi to raah sujhaa duur tak andheraa hai kahaan hai mere khudaa duur tak andheraa hai miraa khayaal thaa kuchh aage raushni ho gi main jaantaa nahin thaa duur tak andheraa hai kisi ki khoj mein niklaa huun mehr-o-maah liye hai iltimaas-e-duaa duur tak andheraa hai na hogaa tai ye safar sirf raushan aankhon se charaagh-e-dil bhi jalaa duur tak andheraa hai nazar ke saamne the an-ginat sitaare magar faqir kahtaa rahaa duur tak andheraa hai hamaare haath ki rekhaaein kyaa bataati hain hamein bataaiye kyaa duur tak andheraa hai 'aqil' pahle to binaai ki bashaarat di phir us ne mujh se kahaa duur tak andheraa hai"
Aqeel ShahAqeel Shah

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud