"alag tum se huaa firqa hamaaraa tumhaaraa takht aur takhta hamaaraa hamaari shaan-o-shaukat yaad rakhnaa palaT kar aaegaa 'arsa hamaaraa tumhaaraa naam likh kar aa gae hain bahut achchhaa huaa parcha hamaaraa agar tum dam karo palkein hamaari na TuTegaa koi sapnaa hamaaraa hamaare baap daada chaand se the vahin par thaa kahin qasba hamaaraa chalo ham hijr ko taqsim kar lein tumhaaraa nisf aur aadhaa hamaaraa hamaari choT hai sadiyon puraani ziyaada zakhm hai gahraa hamaaraa mohabbat se bani miTTi hamaari nahin miltaa kahin lahja hamaaraa nayaa maan ne mohabbat se siyaa thaa puraane suiT se basta hamaaraa"
khil uThe sukh ke phuul chaaron taraf — Hina Ambareen
"khil uThe sukh ke phuul chaaron taraf aae jab jab rasul chaaron taraf phir mohabbat ne baanhein phailaain phir rahe the malul chaaron taraf maan ki aahein zarur lagti hain aah-e-bint-e-rasul chaaron taraf ek kun ki sadaa ki maar hain sab hogaa haq kaa nuzul chaaron taraf ham bagulon ki nazr ho gae the aur uDti thi dhuul chaaron taraf main ne phulon ke khvaab dekhe the kyon ug aae babul chaaron taraf us nazar ke javaab mein gunji ik sadaa-e-qubul chaaron taraf jaane vaalon ne 'ahd toD diye ban gae the usuul chaaron taraf adab-aadaab kho gae hain kahin ban rahe hain schōl chaaron taraf"
کھل اٹھے سکھ کے پھول چاروں طرف آئے جب جب رسول چاروں طرف پھر محبت نے بانہیں پھیلائیں پھر رہے تھے ملول چاروں طرف ماں کی آہیں ضرور لگتی ہیں آہ بنت رسول چاروں طرف ایک کن کی صدا کی مار ہیں سب ہوگا حق کا نزول چاروں طرف ہم بگولوں کی نذر ہو گئے تھے اور اڑتی تھی دھول چاروں طرف میں نے پھولوں کے خواب دیکھے تھے کیوں اگ آئے ببول چاروں طرف اس نظر کے جواب میں گونجی اک صدائے قبول چاروں طرف جانے والوں نے عہد توڑ دئے بن گئے تھے اصول چاروں طرف ادب آداب کھو گئے ہیں کہیں بن رہے ہیں سکول چاروں طرف
खिल उठे सुख के फूल चारों तरफ़ आए जब जब रसूल चारों तरफ़ फिर मोहब्बत ने बाँहें फैलाईं फिर रहे थे मलूल चारों तरफ़ माँ की आहें ज़रूर लगती हैं आह-ए-बिन्त-ए-रसूल चारों तरफ़ एक कुन की सदा की मार हैं सब होगा हक़ का नुज़ूल चारों तरफ़ हम बगूलों की नज़्र हो गए थे और उड़ती थी धूल चारों तरफ़ मैं ने फूलों के ख़्वाब देखे थे क्यों उग आए बबूल चारों तरफ़ उस नज़र के जवाब में गूँजी इक सदा-ए-क़ुबूल चारों तरफ़ जाने वालों ने 'अह्द तोड़ दिए बन गए थे उसूल चारों तरफ़ अदब-आदाब खो गए हैं कहीं बन रहे हैं सकूल चारों तरफ़

More by Hina Ambareen
View all →"tire bichhaDne kaa dukh apne khaandaan kaa dukh hamaari zaat ko hai saare kaarvaan kaa dukh huzur aap ko to 'ilm hai haqiqat kaa huzur aap to sunte the be-zabaan kaa dukh khamosh baiTh ke ik dusre ko sunte hain za'if peD samajhtaa hai naujavaan kaa dukh safar tavil hai aur zaad-e-raah bhi kam hai lagaa huaa hai mujhe nam-zada makaan kaa dukh safar mein tu hai magar paanv thak rahe hain mire thakaa rahaa hai mujhe yuun tiri thakaan kaa dukh kaniz-e-khaas banaa di gai thi shahzaadi use diyaa bhi gayaa to usi ki shaan kaa dukh gharib ke liye to dukh hi dukh hain duniyaa mein kabhi makaan kaa dukh hai kabhi dukaan kaa dukh nahin hai kuchh bhi yahaan is hisaar se baahar kahin khamoshi kaa gham hai kahin bayaan kaa dukh"
"kyon toD diye jaate hain samar kamzor shajar ki Daaliyon se maike se bhi dil kaT jaataa hai miltaa bhi nahin sasuraaliyon se aankhon mein utar aati thi nami ham mukhlis the par log nahin jazbaat sanbhal nahin paate the munh bhar jaataa thaa gaaliyon se ik kachchi 'umr ki laDki ke kuchh khvaab the kuchh aashaaein thiin aur 'ishq thaa us ke bachpan kaa is baagh mein rahne vaaliyon se aankhon mein lajjaa kaa surma thaa gaalon pe hayaa ki laali thi maathe pe safedi chaandi ki kaanon ki sundartaa baaliyon se 'izzat kaa kachumar bantaa hai miTTi mein milaati hai ghurbat paise ke pujaari jhukte hain karte hain suvaagat taaliyon se 'ushshaaq-e-azal ki qismat mein likkhi hai saraasar bezaari kyaa uns kisi but-khaane se kyaa nisbat un ki gaaliyon se dil lagti baat kahein to ye achchhaa jo lage vo achchhaa hai hote hain mubarraa 'ishq ke saalik goriyon se aur kaaliyon se Thukraae huon ke aaqaa hain taDpaae huon ke marham hain kabhi aa ke tasalli khvaab mein dein kabhi jhaankein sunahri jaaliyon se"
"rangat chehra aankhein 'aariz lab dhutkaaregaa fakhr takabbur 'aadat jis ki sab dhutkaaregaa us ne khubi de di hai to mat itraa kar chal us ke bande dhutkaare to rab dhutkaaregaa ghurbat to har haal mein rab kaa shukr sikhaati hai jis ko bhuuk ne Das rakkhaa ho kab dhutkaaregaa hirs-o-havas ke shaidaai aur matlab ke bande paaon se lipTeinge tere jab dhutkaaregaa maulaa ham par mat laanaa aise be-dide din jab har banda duuje kaa mazhab dhutkaaregaa 'ishq-navaaz ko kab hoti hai maal-o-zar ki chaah faqr chunegaa 'ohda aur mansab dhutkaaregaa dil us ko de baiThe hain aur ab ham khaali haath vo jab chaahe matlab bin matlab dhutkaaregaa"
"ujDe hue raste ham guzre hue lamhe ham rangon se muzayyan the chhu lene se bikhre ham naabud mukammal kar TuuTe nahin chaTkhe ham sairaab hui duniyaa ik buund ko tarse ham de dein ise ghairon ko duniyaa tire sadqe ham apni baDi qimat thi kitne hue saste ham us aankh mein ghar hotaa us dil mein dhaDakte ham ham bichhDi hui baanhein bhule hue lamhe ham lipTi hui fikrein hain kahte nahin dukhDe ham hujjat bhi agar karte kis shakhs ke karte ham ai yaad chal aahista gunge hain na bahre ham"
"vahshat mein kyaa shak hai ji ham son ki lekhak hai ji nichon se rishte joDe naslan hi murakh hai ji is dil ke aaine mein vo surat ab tak hai ji us ke yaad aane kaa vaqt subh se shab nau tak hai ji aansu ke moti niklein yaadon ki gullak hai ji chehron kaa ujlaa-pan kyaa man mein to kaalak hai ji raj kar dil zakhmaati hai vo surat ghaatak hai ji ham ko pyaar kaa gham sab kuchh tum ko to naaTak hai ji aankhein hain mudraa us ki gham un kaa gaahak hai ji kaanon mein aavaaz us ki dil hai yaa dhak-dhak hai ji phal dekhein kyaa aataa hai mehnat to anthak hai ji"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"