Quote
"shohratein de 'izzatein de taaliyaan de shaa'iri haan magar is se bhi pahle roTiyaan de shaa'iri is jahaan mein pyaar ko miltaa nahin hai pyaar hi mere lahje mein balaa ki talkhiyaan de shaa'iri vaaqa'i jo naam-levaa hain tire sansaar mein kam se kam un ko to mat gum-naamiyaan de shaa'iri kab talak dekhein yahaan dekhi dikhaai zindagi zindagi mein nit nai hairaaniyaan de shaa'iri ab ke bhi tyauhaar par vo she'r hi sun ro paDi kaan mein beTi ke ab ke baaliyaan de shaa'iri jin charaaghon ne tiraa ghar raushni se bhar diyaa un ko ujrat mein bhalaa kyuun aandhiyaan de shaa'iri jin se teri mahfilein aabaad hain shaadaab hain un ko tohfe mein na yuun barbaadiyaan de shaa'iri vaaqa'i 'kaamil' banaanaa chaahti hai gar mujhe to mujhe zakhm-e-hunar ki sipiyaan de shaa'iri"
