"the vo qisse magar saraab ke the jaane vaale khayaal-o-khvaab ke the lamha lamha kisi ki yaadein thiin roz-o-shab the magar azaab ke the us kaa chehra thaa aur shishon mein aks khilte hue gulaab ke the gard-e-rah thi miyaan-e-manzil-o-dil dhundle dhundle nuqush khvaab ke the"
khud ko paane ki justuju hai vahi — Hasan Aabid
"khud ko paane ki justuju hai vahi us se milne ki aarzu hai vahi us kaa chehra usi ke khadd-o-khaal apnaa mauzu-e-guftugu hai vahi hain usi ke ye rang-haa-e-sukhan mere pahlu mein khub-ru hai vahi kitne mausam badal gae lekin dil vahi dil ki aarzu hai vahi hai vahi shauq-e-chaak-daamaani aur phir khvaahish-e-rafu hai vahi sajda-baazaan-e-shahr paainda dast-e-aazar ki aabru hai vahi khu-e-taslim sar salaamat-baad bandagi tauq-e-dar-gulu hai vahi kam nahin shor-e-naala-o-fariyaad maatam-e-shahr aarzu hai vahi"
خود کو پانے کی جستجو ہے وہی اس سے ملنے کی آرزو ہے وہی اس کا چہرہ اسی کے خد و خال اپنا موضوع گفتگو ہے وہی ہیں اسی کے یہ رنگ ہائے سخن میرے پہلو میں خوب رو ہے وہی کتنے موسم بدل گئے لیکن دل وہی دل کی آرزو ہے وہی ہے وہی شوق چاک دامانی اور پھر خواہش رفو ہے وہی سجدہ بازان شہر پائندہ دست آزر کی آبرو ہے وہی خوئے تسلیم سر سلامت باد بندگی طوق در گلو ہے وہی کم نہیں شور نالہ و فریاد ماتم شہر آرزو ہے وہی
ख़ुद को पाने की जुस्तुजू है वही उस से मिलने की आरज़ू है वही उस का चेहरा उसी के ख़द्द-ओ-ख़ाल अपना मौज़ू-ए-गुफ़्तुगू है वही हैं उसी के ये रंग-हा-ए-सुख़न मेरे पहलू में ख़ूब-रू है वही कितने मौसम बदल गए लेकिन दिल वही दिल की आरज़ू है वही है वही शौक़-ए-चाक-दामानी और फिर ख़्वाहिश-ए-रफ़ू है वही सज्दा-बाज़ान-ए-शहर पाइंदा दस्त-ए-आज़र की आबरू है वही ख़ू-ए-तस्लीम सर सलामत-बाद बंदगी तौक़-ए-दर-गुलू है वही कम नहीं शोर-ए-नाला-ओ-फ़रियाद मातम-ए-शहर आरज़ू है वही

More by Hasan Aabid
View all →"phir saje bazm-e-tarab zulf khule shaana chale phir vahi silisla-e-shokhi-e-rindaana chale phir ye yakjaai-e-yaaraan-e-chaman ho ki na ho der tak aaj zaraa bazm mein paimaana chale phir koi qais ho aavaara-e-sahraa-e-junun phir kisi gesu-e-shab-rang kaa afsaana chale ham vo bad-mast-e-junun hain jo sar-e-raah-e-hayaat kabhi baa-hosh kabhi hosh se begaana chale ham ne chaahaa to na thaa un se ulajhnaa lekin is ko kyaa kahiye vo har chaal harifaana chale vaqt badlaa hai to phir kyuun na ba-andaaz-e-digar vahi tahrik-e-shikast-e-khum-o-khum-khaan chale"
"gul hue chaak-garebaan sar-e-gulzaar ai dil ban gayaa rang-e-chaman baais-e-aazaar ai dil shama-ru ho gae faanus-e-haram ke qaidi ab kahaan raushni-e-garmi-e-baazaar ai dil silsila aatish-e-sozaan kaa hai darpesh junun ab na divaar na hai saaya-e-divaar ai dil shisha-e-khvaab jo TuuTaa to vo aasaar gae chashm-e-bedaar bhi hai nargis-e-bimaar ai dil halqa-e-did mein hai paikar-e-manzar bhi asiir ham hue apni hi aankhon ke giraftaar ai dil jalva-e-husn-e-tamannaa hai unhein aks-e-jamaal jo saraabon mein hain sahraa ke giraftaar ai dil raas aai hamein shab-gardi-o-be-raah-ravi khuub aazaad hue tere giraftaar ai dil shaam ke saae lapakte chale aate hain so ab jo bhi kuchh hai vo hai girti hui divaar ai dil"
"husn-e-mukhtaar sahi ishq bhi majbur nahin ye jafaaon pe jafaa ab mujhe manzur nahin zulf-e-zanjir sahi dil bhi giraftaar magar main tire halqa-e-aadaab kaa mahsur nahin dil kaa saudaa hai jo paT jaae to behtar varna main bhi majbur nahin aap bhi majbur nahin daaman-e-dil se ye begaana-ravi itnaa gurez tum to ik phuul ho kaanTon kaa bhi dastur nahin chand jaam aur ki maikhaana-e-jaan tak pahunchein DhunDne vaale mujhe mujh se bahut duur nahin sab libaason mein hain poshida gunaahon ki tarah dil-e-bebaak bhi mahfil ke taiin aur nahin har sukhan hosh kaa hai mufti-e-hairaan ke saath sab piye baiThe hain aur koi bhi makhmur nahin sab rasan-basta-e-aazaadi-e-imaan hue ab koi mere sivaa banda-e-majbur nahin us se mil kar bhi udaas us ki judaai bhi garaan dil ba-har-haal kisi taur bhi masrur nahin"
"kuchh ajiib aalam hai hosh hai na masti hai ye tavil tanhaai saanp ban ke Dasti hai naghma-e-tabassum se lab hain ab bhi naa-mahram shaakh-e-aarzu ab bhi phuul ko tarasti hai ham gharib kyaa jaanein mol zindagaani kaa ham ko kyaa pata ye shai mahngi hai ki sasti hai aao ham bhi dekheinge is dayaar mein chal kar kaise log rahte hain kis tarah ki basti hai khub-ru tamannaaein khush-libaas ummidein shahr-e-dil ki basti bhi kyaa hasin basti hai"
"shahr mein shor hai us shokh ke aa jaane kaa har koi ruup bhare phirtaa hai divaane kaa rind-o-vaaiz the baham dast-o-garebaan kal raat jaane kyaa haal huaa shisha-o-paimaane kaa shab kaa aalam thaa judaa din ke taqaaze kuchh aur us se kyaa zikr karein raat ke afsaane kaa tar-ba-tar khuun mein hai daaman-e-ummid-e-bahaar haath mein zakhm hai TuuTe hue paimaane kaa us ki aankhon mein vahi rang vahi husn-e-talab dil ko samjhaaein magar faaeda samjhaane kaa sahn masjid kaa hai aur 'haafiz'-o-'khayyaam' ke sher jaam-e-ghaayab mein magar rang hai mai-khaane kaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"