Quote
"phir saje bazm-e-tarab zulf khule shaana chale phir vahi silisla-e-shokhi-e-rindaana chale phir ye yakjaai-e-yaaraan-e-chaman ho ki na ho der tak aaj zaraa bazm mein paimaana chale phir koi qais ho aavaara-e-sahraa-e-junun phir kisi gesu-e-shab-rang kaa afsaana chale ham vo bad-mast-e-junun hain jo sar-e-raah-e-hayaat kabhi baa-hosh kabhi hosh se begaana chale ham ne chaahaa to na thaa un se ulajhnaa lekin is ko kyaa kahiye vo har chaal harifaana chale vaqt badlaa hai to phir kyuun na ba-andaaz-e-digar vahi tahrik-e-shikast-e-khum-o-khum-khaan chale"
