SHAWORDS

khudaa hi jaane ki hai yaa tah-e-mazaar nahin — Afqar Mohani

HomeAfqar MohaniGhazal
"khudaa hi jaane ki hai yaa tah-e-mazaar nahin vo be-qaraar jise mar ke bhi qaraar nahin nigaah-e-yaar magar ab bhi sharmsaar nahin ki ek arz-e-tamannaa pe laakh baar nahin tajalliyon ne mujhe pahle kar diyaa be-khud jab aaya hosh to dekhaa jamaal-e-yaar nahin na puchh mere dil-e-gham-zada kaa haal na puchh ye vo chaman hai jo sharminda-e-bahaar nahin miTaae jaa miri hasti miTaae jaa lekin rahe khayaal zamaana kaa e'tibaar nahin jabin-e-shauq na sajde mein itni kar sabqat har ek naqsh-e-qadam naqsh-e-paa-e-yaar nahin tumhaare vaada kaa ho laakh e'tibaar magar vo kyaa kare jise qismat pe e'tibaar nahin kalim hosh mein aao milaao nazron ko ye mauqa haath phir aane kaa baar-baar nahin nahin jo mere gunaahon kaa kuchh hisaab 'afqar' qasam hai rahmat-e-haq kaa bhi kuchh shumaar nahin"
Urdu

خدا ہی جانے کہ ہے یا تہہ مزار نہیں وہ بیقرار جسے مر کے بھی قرار نہیں نگاہ یار مگر اب بھی شرمسار نہیں کہ ایک عرض تمنا پہ لاکھ بار نہیں تجلیوں نے مجھے پہلے کر دیا بے خود جب آیہ ہوش تو دیکھا جمال یار نہیں نہ پوچھ میرے دل غمزدہ کا حال نہ پوچھ یہ وہ چمن ہے جو شرمندۂ بہار نہیں مٹائے جا مری ہستی مٹائے جا لیکن رہے خیال زمانہ کا اعتبار نہیں جبین شوق نہ سجدے میں اتنی کر سبقت ہر ایک نقش قدم نقش پائے یار نہیں تمہارے وعدہ کا ہو لاکھ اعتبار مگر وہ کیا کرے جسے قسمت پہ اعتبار نہیں کلیم ہوش میں آؤ ملاؤ نظروں کو یہ موقع ہاتھ پھر آنے کا بار بار نہیں نہیں جو میرے گناہوں کا کچھ حساب افقرؔ قسم ہے رحمت حق کا بھی کچھ شمار نہیں

Hindi

ख़ुदा ही जाने कि है या तह-ए-मज़ार नहीं वो बे-क़रार जिसे मर के भी क़रार नहीं निगाह-ए-यार मगर अब भी शर्मसार नहीं कि एक अर्ज़-ए-तमन्ना पे लाख बार नहीं तजल्लियों ने मुझे पहले कर दिया बे-ख़ुद जब आया होश तो देखा जमाल-ए-यार नहीं न पूछ मेरे दिल-ए-ग़म-ज़दा का हाल न पूछ ये वो चमन है जो शर्मिंदा-ए-बहार नहीं मिटाए जा मिरी हस्ती मिटाए जा लेकिन रहे ख़याल ज़माना का ए'तिबार नहीं जबीन-ए-शौक़ न सज्दे में इतनी कर सब्क़त हर एक नक़्श-ए-क़दम नक़्श-ए-पा-ए-यार नहीं तुम्हारे वा'दा का हो लाख ए'तिबार मगर वो क्या करे जिसे क़िस्मत पे ए'तिबार नहीं कलीम होश में आओ मिलाओ नज़रों को ये मौक़ा हाथ फिर आने का बार-बार नहीं नहीं जो मेरे गुनाहों का कुछ हिसाब 'अफ़्क़र' क़सम है रहमत-ए-हक़ का भी कुछ शुमार नहीं

ḳhudā hī jaane ki hai yā tah-e-mazār nahīñ
Afqar Mohani
Afqar Mohani
Afqar Mohani
poet45 quotes

More by Afqar Mohani

View all →
Quote
"vahshat mein koi kaar-e-numaayaan na kar sake daaman ko jeb jeb ko daamaan na kar sake dard-e-darun kaa vo bhi to darmaan na kar sake dushvaari-e-hayaat ko aasaan na kar sake tar khun-e-dil se naavak-e-jaanaan na kar sake ham itni bhi to khaatir-e-mehmaan na kar sake kuchh aise jald khatm hue zindagi ke din ham eatibaar-e-umr-e-gurezaan na kar sake dariyaa mein gharq dekhne vaale bhi ho gae mujh ko magar havaala-e-tufaan na kar sake jalvon ko dekhti rahi meri nigaah-e-shauq kuchh bhi harim-e-naaz ke darbaan na kar sake rahte hue qafas mein zamaana guzar gae tark-e-khayaal-e-sair-e-gulistaan na kar sake sau hashr intizaar mein ham par guzar gae aur aai ek hashr kaa saamaan na kar sake vo sakht-jaan the ki zamaane ke haadsaat shiraaza-e-hayaat pareshaan na kar sake ham aise jaa ke be-khud-e-ehsaas ho gae andaaza-e-kashaakash-e-zindaan na kar sake badnaam kar diyaa mujhe 'afqar' zamaane mein ikhfaa-e-raaz dida-e-giryaan na kar sake"
Afqar MohaniAfqar Mohani
Quote
"mohabbat mein khirad ki rahbari dekhi nahin jaati ye tauhin-e-mazaaq-e-aashiqi dekhi nahin jaati har ik tasvir ki jalva-gari dekhi nahin jaati vo surat dekh kar phir dusri dekhi nahin jaati bahaar achchhi tarah gulshan mein aai bhi nahin lekin asiron se nazar sayyaad ki dekhi nahin jaati dil-e-muztar miraa parvarda-e-aaghosh-e-tufaan hai khushi ye mauj-e-saahil par kabhi dekhi nahin jaati miri hasti kaa parda bhi miri nazron se uTh jaae ki vaqt-e-did-e-jaanaan ye dui dekhi nahin jaati ise piite hain aankhein band karke baada kash zaahid nigaahon se ye shishe ki pari dekhi nahin jaati nigaah-e-shauq kyaa dekhegi jalva husn kaamil kaa jab adnaa si tajalli tuur ki dekhi nahin jaati nazar jitni thi sarf-e-did-e-jaanaan ho gai 'afqar' koi shai ab jahaan-e-husn ki dekhi nahin jaati"
Afqar MohaniAfqar Mohani
Quote
"ai dard dil mein rah kar dil hi kaa raaz ho jaa bimaar-e-gham kaa apne khud chaarasaaz ho jaa ai jazb-e-dil saraapaa soz-o-gudaaz ho jaa duniyaa-e-rang-o-bu mein duniyaa-e-raaz ho jaa haan haan baDhaa de muddat paabandi-e-junun ki zulf-e-daraaz-e-jaanaan umr-e-daraaz ho jaa har zarra-e-haqiqat ye de rahaa sadaa hai pahle rah-e-talab mein khaak-e-majaaz ho jaa sar naama-e-adam hai unvaan-e-zindagaani ai imtiyaaz-e-hasti tafsir-e-raaz ho jaa ai be-khabar guzar jaa zauq-e-nazar ki had se jalvon mein us ke ghir kar jalva-taraaz ho jaa ai banda-e-tariqat aadaab-e-zindagi sun mahv-e-sujud ho kar jaan-e-namaaz ho jaa khirqa sharaab se tar dastaar mai se rangin ai shaikh-e-paak-daaman yuun paak-baaz ho jaa tu raazdaan hai dil kaa dil raaz-daar-e-ulfat yaa sarfaraaz kar de yaa sarfaraaz ho jaa tu raunaq-e-haram hai yaa but-kada ki zinat khud imtiyaaz ban kar ik imtiyaaz ho jaa jaanaa hai jab muqarrar daar-e-fanaa se 'afqar' raah-e-vafaa mein miT kar khaak-e-hijaaz ho jaa"
Afqar MohaniAfqar Mohani
Quote
"shab-e-firaaq hamaaraa vo nim-jaan honaa ajal kaa aap hi ghar mein vo mehmaan honaa khafaa na sun ke miraa haal mehrbaan honaa ki is bayaan ko ik din hai daastaan honaa dayaar-e-husn ki sar-garmiyaan maaaz-allaah har ik qadam pe mohabbat kaa imtihaan honaa koi sitam ho yahin se shurua hotaa hai ghazab hai kucha-e-jaanaan kaa aasmaan honaa ajal se pahle sabaa le uDi sar-e-manzil kahaan pe aayaa hai kaam apnaa naa-tavaan honaa uThaa vo dard kaleje mein vo gire aansu nahin hai khel mohabbat kaa raaz-daan honaa nigaah-e-qahr kabhi aur kabhi karam ki nazar inhin adaaon kaa mil-jul ke daastaan honaa vo kyaa kare na miTe gar tiri mohabbat mein likhaa ho jis ke muqaddar mein be-nishaan honaa abhi na shaad ho takmil-e-ishq par 'afqar' abhi hai tark-e-mohabbat kaa imtihaan honaa"
Afqar MohaniAfqar Mohani
Quote
"mahshar kaa e'tibaar huaa hai kabhi kabhi be-parda husn-e-yaar huaa hai kabhi kabhi raqsaan jamaal-e-yaar huaa hai kabhi kabhi parda mein intishaar huaa hai kabhi kabhi pahunchi hai khaak-e-aashiq-e-barbaad arsh par unchaa agar ghubaar huaa hai kabhi kabhi zaahid tavaaf karte hain us aastaan kaa ham kaabe mein jo shumaar huaa hai kabhi kabhi paimaan-shikan ke vaade ke hamraah ai ajal teraa bhi intizaar huaa hai kabhi kabhi ik sajda vo bhi be-khudi-e-iztiraab mein us aastaan pe baar huaa hai kabhi kabhi daamaan-e-tang-o-josh-e-bahaaraan ko dekh kar andaaza-e-bahaar huaa hai kabhi kabhi vo khud hi raaz ban gayaa duniyaa ke vaaste jo us kaa raazdaar huaa hai kabhi kabhi jaise vo aae baiThe bhi uTh kar chale gae is darja e'tibaar huaa hai kabhi kabhi vahdat parastiyon se bhi 'afqar' khudaa gavaah barham mizaaj-e-yaar huaa hai kabhi kabhi"
Afqar MohaniAfqar Mohani
Quote
"taayyun ki hadon mein jalva-saamaan ho nahin saktaa vo husn-e-kul muhit-e-kufr-o-imaan ho nahin saktaa jo paamaal-e-khiraam-e-naaz-e-jaanaan ho nahin saktaa vo madfan haasil-e-gor-e-gharibaan ho nahin saktaa ise rahne de yunhi bakhiya-gar tu is ki haalat par rafu jis kaa ho vo meraa girebaan ho nahin saktaa milegi daad mahshar mein vo zaalim mil nahin saktaa kahin bhi mere dard-e-dil kaa darmaan ho nahin saktaa ye qaid-e-laa-makaan kaisi ye takhsis-e-makaan kyaa hai tiraa jalva muhit-e-hadd-e-imkaan ho nahin saktaa nahin jab aarzu koi to khun-e-aarzu kaisaa dil-e-be-muddaaa naakaam-e-armaan ho nahin saktaa bhanvar mein jitnaa Dubegaa ye utnaa aur ubhregaa mohabbat kaa safina gharq-e-tufaan ho nahin saktaa use kyaa aazmaaegi tajalli barq-e-aiman ki jo un kaa dekhne vaalaa hai hairaan ho nahin saktaa vo ashk-e-gham na surkhi jis mein khun-e-dil ki shaamil ho mire afsaana-e-ulfat kaa unvaan ho nahin saktaa tabiat hi badal di lazzat-e-aazaar-e-paiham ne vo chaahein bhi to mere gham kaa darmaan ho nahin saktaa miri hasti hijaab-e-ru-e-jaanaan kyon ho ai 'afqar' miri hasti kaa parda ru-e-jaanaan ho nahin saktaa"
Afqar MohaniAfqar Mohani

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil