SHAWORDS

khvaab mein kal ye khvaab aaya hai — Ishrat Afreen

HomeIshrat AfreenGhazal
"khvaab mein kal ye khvaab aaya hai main ne tumhein chhukar dekhaa hai main parbat se phisal gai huun tum ne baDh kar thaam liyaa hai mujh mein ek ghanaa jangal hai us jangal mein ik kuTiyaa hai us kuTiyaa mein ik jogi hai us jogi ki 'ajab kathaa hai gale mein hai sadiyon ki maalaa haathon mein dharti pyaala hai pyaale mein jivan amrit hai vo amrit jo main ne piyaa hai main us ke charnon mein baiThi aur aakaash mujhe taktaa hai uDne ko par tol rahi huun lekin baahar tez havaa hai dharti mujh ko rok rahi hai parbat mujh ko khinch rahaa hai apnaa aap tamaasha huun main dekhnaa hai ab kyaa hotaa hai"
Urdu

خواب میں کل یہ خواب آیا ہے میں نے تمہیں چھوکر دیکھا ہے میں پربت سے پھسل گئی ہوں تم نے بڑھ کر تھام لیا ہے مجھ میں ایک گھنا جنگل ہے اس جنگل میں اک کٹیا ہے اس کٹیا میں اک جوگی ہے اس جوگی کی عجب کتھا ہے گلے میں ہے صدیوں کی مالا ہاتھوں میں دھرتی پیالہ ہے پیالے میں جیون امرت ہے وہ امرت جو میں نے پیا ہے میں اس کے چرنوں میں بیٹھی اور آکاش مجھے تکتا ہے اڑنے کو پر تول رہی ہوں لیکن باہر تیز ہوا ہے دھرتی مجھ کو روک رہی ہے پربت مجھ کو کھینچ رہا ہے اپنا آپ تماشہ ہوں میں دیکھنا ہے اب کیا ہوتا ہے

Hindi

ख़्वाब में कल ये ख़्वाब आया है मैं ने तुम्हें छूकर देखा है मैं पर्बत से फिसल गई हूँ तुम ने बढ़ कर थाम लिया है मुझ में एक घना जंगल है उस जंगल में इक कुटिया है उस कुटिया में इक जोगी है उस जोगी की 'अजब कथा है गले में है सदियों की माला हाथों में धरती प्याला है प्याले में जीवन अमृत है वो अमृत जो मैं ने पिया है मैं उस के चरनों में बैठी और आकाश मुझे तकता है उड़ने को पर तोल रही हूँ लेकिन बाहर तेज़ हवा है धरती मुझ को रोक रही है पर्बत मुझ को खींच रहा है अपना आप तमाशा हूँ मैं देखना है अब क्या होता है

ḳhvāb meñ kal ye ḳhvāb aaya hai
Ishrat Afreen
Ishrat Afreen
Ishrat Afreen
poet88 quotes

More by Ishrat Afreen

View all →
Quote
"'adaavatein nasib ho ke rah gaiin mohabbatein raqib ho ke rah gaiin parind hain na aanganon mein peD hain ye bastiyaan 'ajib ho ke rah gaiin taras rahi hain yuun bahaar ko rutein gharib kaa nasib ho ke rah gaiin bas ek pal dhanak ki saari shokhiyaan mire bahut qarib ho ke rah gaiin mire dukhon kaa zikr shahr shahr hai udaasiyaan naqib ho ke rah gaiin main khud se jab bichhaD gai to bas tiri du'aaein hi habib ho ke rah gaiin rivaayaton ki qatl-gaah-e-‘ishq mein ye laDkiyaan salib ho ke rah gaiin"
Ishrat AfreenIshrat Afreen
Quote
"laDkiyaan maaon jaise muqaddar kyon rakhti hain tan sahraa aur aankh samundar kyon rakhti hain aurtein apne dukh ki viraasat kis ko deingi sanduqon mein band ye zevar kyon rakhti hain vo jo aap hi puuji jaane ke laaeq thiin champaa si poron mein patthar kyon rakhti hain vo jo rahi hain khaali peT aur nange paanv bachaa bachaa kar sar ki chaadar kyon rakhti hain band haveli mein jo saanahe ho jaate hain un ki khabar divaarein aksar kyon rakhti hain subh-e-visaal ki kirnein ham se puchh rahi hain raatein apne haath mein khanjar kyon rakhti hain"
Ishrat AfreenIshrat Afreen
Quote
"paani mein chhap-chhayyaa karti shor machaati shaam jaise mujh mein Thahar gai hai jal barsaati shaam giili lakDi jaisaa jivan dhuaan-dhuaan se khvaab saavan jaise dhuup chhaanv din aag jalaati shaam tanhaai ki shaal mein lipTe unche unche ghar aur gali mein nange paaon udham machaati shaam nange pairon kaajal Tiika tan par phaTi qamis tez havaa se laDte-bhiDte jashn manaati shaam ummidein TuTe-phuTe taaqon mein hanste phuul khvaahish suuni dargaahon mein diye jalaati shaam rail ki paTri jaisi yaadein uljhe-suljhe raste aadhi khuli hui khiDki se haath hilaati shaam"
Ishrat AfreenIshrat Afreen

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari