SHAWORDS

khvaahish-e-aish nahin dard-e-nihaani ki qasam — Akhtar Ansari

HomeAkhtar AnsariGhazal
"khvaahish-e-aish nahin dard-e-nihaani ki qasam bul-havas khaayaa karein ishrat-e-faani ki qasam ik gham-angez haqiqat hai hamaari hasti qissa-khvaan teri gham-angez kahaani ki qasam dil ki gahraaiyon mein aag dabi rakhtaa huun chashm-e-giryaan se baraste hue paani ki qasam jab se aai hai khudaa rakkhe javaani 'akhtar' ham har ik baat pe khaate hain javaani ki qasam"
Urdu

خواہش عیش نہیں درد نہانی کی قسم بوالہوس کھایا کریں عشرت فانی کی قسم اک غم انگیز حقیقت ہے ہماری ہستی قصہ خواں تیری غم انگیز کہانی کی قسم دل کی گہرائیوں میں آگ دبی رکھتا ہوں چشم گریاں سے برستے ہوئے پانی کی قسم جب سے آئی ہے خدا رکھے جوانی اخترؔ ہم ہر اک بات پہ کھاتے ہیں جوانی کی قسم

Hindi

ख़्वाहिश-ए-ऐश नहीं दर्द-ए-निहानी की क़सम बुल-हवस खाया करें इशरत-ए-फ़ानी की क़सम इक ग़म-अंगेज़ हक़ीक़त है हमारी हस्ती क़िस्सा-ख़्वाँ तेरी ग़म-अंगेज़ कहानी की क़सम दिल की गहराइयों में आग दबी रखता हूँ चश्म-ए-गिर्यां से बरसते हुए पानी की क़सम जब से आई है ख़ुदा रक्खे जवानी 'अख़्तर' हम हर इक बात पे खाते हैं जवानी की क़सम

ḳhvāhish-e-aish nahīñ dard-e-nihānī kī qasam
Akhtar Ansari
Akhtar Ansari
Akhtar Ansari
poet69 quotes

More by Akhtar Ansari

View all →
Quote
"jaan-sapaari ke bhi armaan zindagi ki aas bhi hifz-e-naamus-e-alam bhi nish-e-gham kaa paas bhi khaak dar-bar hi sahi main khaak bhi vo khaak hai jis mein mere zakhm-e-dil ki bu bhi hai aur baas bhi kitne daur-e-charkh un aankhon ne dekhe kuchh na puchh miT chukaa hai vaqt ki raftaar kaa ehsaas bhi haae vo ik nashtar-aagin neshtar-afroz yaad jis ke aage hech apni burrish-e-infaas bhi ham na the kuchh khud hi us saude pe raazi varna yuun raas aane ko ye duniyaa aa hi jaati raas bhi khud ko ai dil yaas-e-kaamil ke havaale yuun na kar jhaankti hai zehn ke ghurfe se koi aas bhi kaun us vaadi se uchhlaa taa-sar-e-arsh-e-barin gum hain jis vaadi mein 'akhtar' khizr bhi ilyaas bhi"
Akhtar AnsariAkhtar Ansari
Quote
"lutf le le ke piye hain qadah-e-gham kyaa kyaa ham ne firdaus banaae hain jahannam kyaa kyaa aansuon ko bhi piyaa jura-e-sahbaa ki tarah saaghar-o-jaam bane dida-e-pur-nam kyaa kyaa halqa-e-daam-e-vafaa uqda-e-gham mauj-e-nashaat ye zamaana bhi dikhaataa hai cham-o-kham kyaa kyaa lazzat-e-hijr kabhi ishrat-e-didaar kabhi aarzu ne bhi tabiat ko diye dam kyaa kyaa kis kis andaaz se khaTke rag-e-gul ke nashtar tapish-afroz hue shoala-o-shabnam kyaa kyaa shaam-e-viraan ki udaasi shab-e-tira kaa sukut dil-e-mahzun ko mile hamdam o mahram kyaa kyaa haae vo aalam-e-be-naam ki jis aalam mein biit jaate hain dil-e-zaar pe aalim kyaa kyaa ismat o rifat-e-anjum se khayaal aataa hai khaak mein rondi gai hurmat-e-aadam kyaa kyaa dab gae minnat-e-mazdur se aivaan kitne jhuk gae ghairat-e-maftuh se parcham kyaa kiyaa the musallah gham-e-maashuq se go ham 'akhtar' phir bhi dikhlaae gham-e-dahr ne dam-kham kyaa kyaa"
Akhtar AnsariAkhtar Ansari
Quote
"har vaqt nauha-khvaan si rahti hain meri aankhein ik dukh bhari kahaani kahti hain meri aankhein jazbaat-e-dil ki shiddat sahti hain meri aankhein gul-rang aur shafaq-gun rahti hain meri aankhein aish o tarab ke jalse dard o alam ke manzar kyaa kuchh na ham ne dekhaa kahti hain meri aankhein jab se dil o jigar ki hamdard ban gai hain ghamginiyon mein Duubi rahti hain meri aankhein labrez ho ke dil kaa saaghar chhalak uThaa hai shaayad isi sabab se bahti hain meri aankhein har jumbish-e-nazar hai rudaad-e-ishq 'akhtar' hain be-zabaan magar kuchh kahti hain meri aankhein"
Akhtar AnsariAkhtar Ansari
Quote
"charkh ki sai-e-jafaa koshish naakaara hai gardish-e-dahr yahaan jumbish-e-gahvaara hai chaand taaron ke talaatum se ye aataa hai khayaal dil-e-vahshi koi tufaan-zada sayyaara hai bah gae dida-e-nam-naak se dariyaa lekin dil vahi ek dahaktaa huaa angaara hai dil huaa soz-e-jahannam mein giraftaar magar ruuh ab bhi kisi firdaus mein aavaara hai kaisi taqdir ki gardish gham-e-dil ko main ne gardish-e-gumbad-e-aflaak pe de maaraa hai mere sheron se taarruz na kar ai naaqid-e-fan meri barbaadi-e-dil hi miraa shah-paaraa hai bahjat-e-fikr pe qaadir huun main jab tak 'akhtar' mujhe sarmaaya-e-andoh bahut pyaaraa hai"
Akhtar AnsariAkhtar Ansari
Quote
"mohabbat hai aziyyat hai hujum-e-yaas-o-hasrat hai javaani aur itni dukh bhari kaisi qayaamat hai vo maazi jo hai ik majmua ashkon aur aahon kaa na jaane mujh ko is maazi se kyuun itni mohabbat hai lab-e-dariyaa mujhe lahron se yunhi chahal karne do ki ab dil ko isi ik shughl-e-be-maani mein raahat hai tiraa afsaana ai afsaana-khvaan rangin sahi mumkin mujhe rudaad-e-ishrat sun ke ro dene ki aadat hai koi roe to main be-vajh khud bhi rone lagtaa huun ab 'akhtar' chaahe tum kuchh bhi kaho ye meri fitrat hai"
Akhtar AnsariAkhtar Ansari

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil