Quote
"kuchh apnaa pata de kar hairaan bahut rakkhaa sargarmi-e-vahshat kaa imkaan bahut rakkhaa aisaa to na thaa mushkil ik ek qadam uThnaa is baar ajab main ne saamaan bahut rakkhaa parbat ke kinaare se ik raah nikalti hai dikhlaayaa bahut mushkil aasaan bahut rakkhaa kyaa farz thaa har ik ko khushbu kaa pata denaa bas baagh-e-mohabbat ko viraan bahut rakkhaa logon ne bahut chaahaa apnaa saa banaa Daalein par ham ne ki apne ko insaan bahut rakkhaa"
