"kisi kaa qahr kisi ki duaa mile to sahi sahi vo dushman-e-jaan-aashnaa mile to sahi abhi to laal hari battiyon ko dekhte hain mile kisi ki khabar silsila mile to sahi ye qaid hai to rihaai bhi ab zaruri hai kisi bhi samt koi raasta mile to sahi ye shaam-e-sard mein har su alaav jalte hain siyah khamoshi mein koi sadaa mile to sahi qabaa-e-jism ki hai taar taar nazr karein kabhi kahin vahi paagal havaa mile to sahi"
dil mein jo baat hai bataate nahin — Abdul Hamid
"dil mein jo baat hai bataate nahin duur tak ham kahin bhi jaate nahin aks kuchh der tak nahin rukte bojh ye aaine uThaate nahin ye nasihat bhi log karne lage is tarah muft dil ganvaate nahin duur basti pe hai dhuaan kab se kyaa jalaa hai jise bujhaate nahin chhoD dete hain ik sharar benaam aag lag jaati hai lagaate nahin bhuul jaanaa bhi ab nahin aasaan varna ye khiffatein uThaate nahin aap apne mein jalte bujhte hain ye tamaashaa kahin dikhaate nahin"
دل میں جو بات ہے بتاتے نہیں دور تک ہم کہیں بھی جاتے نہیں عکس کچھ دیر تک نہیں رکتے بوجھ یہ آئنے اٹھاتے نہیں یہ نصیحت بھی لوگ کرنے لگے اس طرح مفت دل گنواتے نہیں دور بستی پہ ہے دھواں کب سے کیا جلا ہے جسے بجھاتے نہیں چھوڑ دیتے ہیں اک شرر بے نام آگ لگ جاتی ہے لگاتے نہیں بھول جانا بھی اب نہیں آساں ورنہ یہ خفتیں اٹھاتے نہیں آپ اپنے میں جلتے بجھتے ہیں یہ تماشا کہیں دکھاتے نہیں
दिल में जो बात है बताते नहीं दूर तक हम कहीं भी जाते नहीं अक्स कुछ देर तक नहीं रुकते बोझ ये आइने उठाते नहीं ये नसीहत भी लोग करने लगे इस तरह मुफ़्त दिल गँवाते नहीं दूर बस्ती पे है धुआँ कब से क्या जला है जिसे बुझाते नहीं छोड़ देते हैं इक शरर बेनाम आग लग जाती है लगाते नहीं भूल जाना भी अब नहीं आसाँ वर्ना ये ख़िफ़्फ़तें उठाते नहीं आप अपने में जलते बुझते हैं ये तमाशा कहीं दिखाते नहीं

More by Abdul Hamid
View all →"kuchh apnaa pata de kar hairaan bahut rakkhaa sargarmi-e-vahshat kaa imkaan bahut rakkhaa aisaa to na thaa mushkil ik ek qadam uThnaa is baar ajab main ne saamaan bahut rakkhaa parbat ke kinaare se ik raah nikalti hai dikhlaayaa bahut mushkil aasaan bahut rakkhaa kyaa farz thaa har ik ko khushbu kaa pata denaa bas baagh-e-mohabbat ko viraan bahut rakkhaa logon ne bahut chaahaa apnaa saa banaa Daalein par ham ne ki apne ko insaan bahut rakkhaa"
"kabhi dekho to maujon kaa taDapnaa kaisaa lagtaa hai ye dariyaa itnaa paani pi ke pyaasaa kaisaa lagtaa hai ham us se thoDi duuri par hamesha ruk se jaate hain na jaane us se milne kaa iraada kaisaa lagtaa hai main dhire dhire un kaa dushman-e-jaan bantaa jaataa huun vo aankhein kitni qaatil hain vo chehra kaisaa lagtaa hai zavaal-e-jism ko dekho to kuchh ehsaas ho is kaa bikhartaa zarra zarra koi sahraa kaisaa lagtaa hai falak par uDte jaate baadalon ko dekhtaa huun main havaa kahti hai mujh se ye tamaashaa kaisaa lagtaa hai"
"kitni mahbub thi zindagi kuchh nahin kuchh nahin kyaa khabar thi is anjaam ki kuchh nahin kuchh nahin aaj jitne baraadar mile chaak-chaadar mile kaisi phaili hai divaangi kuchh nahin kuchh nahin pech-dar-pech chalte gae ham nikalte gae jaane kyaa thi gali-dar-gali kuchh nahin kuchh nahin mauj-dar-mauj ik faasla rafta rafta baDhaa kashti aankhon se ojhal hui kuchh nahin kuchh nahin saath mere koi aur thaa ai havaa ai havaa naam tu jis kaa leti rahi kuchh nahin kuchh nahin shaam saakit shajar-dar-shajar rahguzar rahguzar aankh malti uThi tirgi kuchh nahin kuchh nahin jaa ke tu dil mein dar aaegaa mere ghar aaegaa hai judaai ghaDi do ghaDi kuchh nahin kuchh nahin"
"paanv rukte hi nahin zehn Thahartaa hi nahin koi nashsha hai thakan kaa ki utartaa hi nahin din guzarte hain guzarte hi chale jaate hain ek lamha jo kisi tarah guzartaa hi nahin bhaari darvaaza-e-aahan ki nahin khul paataa mere siine mein ye sannaaTaa utartaa hi nahin dast-e-jaan se main uThaa luun use pi luun lekin dil vo zahraab pyaala hai ki bhartaa hi nahin kyaa liye phirtaa huun main aab saraab aankhon mein Dubtaa hi nahin koi ki ubhartaa hi nahin ye pighalti hi nahin shama ki jalti hi nahin ye bikhartaa hi nahin dasht ki martaa hi nahin kuchh na kahiye to bhalaa yuun hi samajhte rahiye puchh liije to vo aibon se mukartaa hi nahin"
"kisi dasht o dar se guzarnaa bhi kyaa hue khaak jab to bikharnaa bhi kyaa vahi ik samundar vahi ik havaa miri shaam teraa sanvarnaa bhi kyaa lakiron ke hain khel sab zaaviye idhar se udhar paanv dharnaa bhi kyaa mujhe uub si sab se hone lagi ye jiinaa bhi kyaa aur marnaa bhi kyaa agar un se bach kar nikal jaaiye to phir us ki aankhon se Darnaa bhi kyaa ghane jangalon ki bujhi kaise aag kahin paas thaa koi jharnaa bhi kyaa kisi tarah se us kaa ghar to milaa magar ab mulaaqaat karnaa bhi kyaa"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"