SHAWORDS

koi paDaav na ghar raaste mein aaegaa — Kunal Danish

HomeKunal DanishGhazal
"koi paDaav na ghar raaste mein aaegaa safar ke baa'd safar raaste mein aaegaa kahaan na jaaun kahaan jaaun kyaa karun aakhir tiraa khayaal to har raaste mein aaegaa chale to phir kahin ruknaa hamein pasand nahin kisi kaa gaanv magar raaste mein aaegaa guzarne vaali havaaein bataa rahi hain mujhe koi puraanaa shajar raaste mein aaegaa chalaa thaa apne buzurgon se le ke jo 'daanish' usi duaa kaa asar raaste mein aaegaa"
Urdu

کوئی پڑاؤ نہ گھر راستے میں آئے گا سفر کے بعد سفر راستے میں آئے گا کہاں نہ جاؤں کہاں جاؤں کیا کروں آخر ترا خیال تو ہر راستے میں آئے گا چلے تو پھر کہیں رکنا ہمیں پسند نہیں کسی کا گاؤں مگر راستے میں آئے گا گزرنے والی ہوائیں بتا رہی ہیں مجھے کوئی پرانا شجر راستے میں آئے گا چلا تھا اپنے بزرگوں سے لے کے جو دانشؔ اسی دعا کا اثر راستے میں آئے گا

Hindi

कोई पड़ाव न घर रास्ते में आएगा सफ़र के बा'द सफ़र रास्ते में आएगा कहाँ न जाऊँ कहाँ जाऊँ क्या करूँ आख़िर तिरा ख़याल तो हर रास्ते में आएगा चले तो फिर कहीं रुकना हमें पसंद नहीं किसी का गाँव मगर रास्ते में आएगा गुज़रने वाली हवाएँ बता रही हैं मुझे कोई पुराना शजर रास्ते में आएगा चला था अपने बुज़ुर्गों से ले के जो 'दानिश' उसी दुआ का असर रास्ते में आएगा

koī paḌāv na ghar rāste meñ aa.egā
Kunal Danish
Kunal Danish
Kunal Danish
poet11 quotes

More by Kunal Danish

View all →
Quote
"safar ke aakhiri manzar pe khaak Daaleinge sab ek roz mire sar pe khaak Daaleinge hamaare baa'd ye manzil unhein milegi jo har ek miil ke patthar pe khaak Daaleinge abhi talak to muqaddar ne khaak Daali hai ham is ke baa'd muqaddar pe khaak Daaleinge saDak ki dhuul havaaon se roz kahti hai chalo ki aaj samundar pe khaak Daaleinge zamin aise parindon ke naaz uThaaegi jo aasmaan ki chaadar pe khaak Daaleinge tamaam jism ki miTTi sameT kar 'daanish' ham ek dhuup ke paikar pe khaak Daaleinge"
Kunal DanishKunal Danish
Quote
"mashaqqaton kaa havaala nahin utartaa hai hamaare haath se chhaalaa nahin utartaa hai utaare jaate hain aankhon mein aise aise azaab gale se ek nivaala nahin utartaa hai vo maahtaab hai jis din se qaid kamre mein hamaari chhat pe ujaalaa nahin utartaa hai hamaare haal pe naa-binaa log rone lage bas us ki aankh kaa jaalaa nahin utartaa hai main jab se bhaaiyon ke pichhe pichhe chalne lagaa kisi ki piiTh pe bhaalaa nahin utartaa hai zamin pe roz utarti hain aafatein 'daanish' magar utaarne vaalaa nahin utartaa hai"
Kunal DanishKunal Danish

More on Dua

View all →
Quote
"tujh ko khiffat se bachaa luun paani tishnagi apni chhupaa luun paani khaak uDti hai har ik chehre par kis ki aankhon se nikaalun paani dhuup dariyaa pe nazar rakhti hai tujh ko kuuze mein chhupaa luun paani uDte phirte hain saron par baadal khvaab aankhon mein basaa luun paani roz bachchon ko sulaa duun yunhi roz patthar ko ubaalun paani aag se kheltaa hai kal mujh ko aa tujhe apnaa banaa luun paani khaarzaaron pe chalun nange paanv khushk dharti ki duaa luun paani sabr ki had bhi to kuchh hoti hai kitnaa palkon pe sambhaalun paani bhuul jaaun na kahin tairaaki kyuun na kashti hi jalaa luun paani apni vahshat kaa ik izhaar sahi kar ke sard aag jalaa luun paani zakhm ho phuul ho yaa angaara ho jo raushan to bulaa luun paani shart hai teri rifaaqat varna vaqt ki aag mein Daalun paani aag matlub-e-lab-e-tishna hai main tujhe kaise bulaa luun paani chashm-e-ahbaab jo ho khushk 'ataa' khuun ko apne banaa luun paani"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"dam-ba-khud meri anaa teri adaa bhi dam-ba-khud tere pahlu mein rahaa main aur rahaa bhi dam-ba-khud dekhiye pahle lahu Tapke ki phailein kirchiyaan dam-ba-khud teri nazar bhi aaina bhi dam-ba-khud itnaa sannaaTaa ki jaise avvalin shaam-e-firaaq dam-ba-khud hai aasmaan bhi aur havaa bhi dam-ba-khud yaad hai tujh ko vo pahle lams ki hiddat ki jab rah gai thi dafatan teri hayaa bhi dam-ba-khud ek se aalam mein donon mukhtalif asbaab se dam-ba-khud teraa karam meri duaa bhi dam-ba-khud aisaa lagtaa hai ki donon se nahin nisbat mujhe dam-ba-khud umr-e-ravaan sail-e-fanaa bhi dam-ba-khud khauf-e-tajdid-e-taaluq darmiyaan haail rahaa dam-ba-khud teraa sitam meraa galaa bhi dam-ba-khud yuun gumaan hotaa hai donon ki tavaqqoa ek thi dam-ba-khud teri vafaa meri sazaa bhi dam-ba-khud jab khule meri haqiqat tum vo manzar dekhnaa dam-ba-khud naa-aashnaa bhi aashnaa bhi dam-ba-khud"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"ilaahi mahshar mein bahr-e-pursish jab ek darbaar aam hogaa miri baghal mein suraahi hogi zabaan par teraa naam hogaa nasib tujh ko nahin ye neamat to zahmat-e-tur kar gavaaraa yahaan to hote hain roz jalve kalim tujh ko kalaam hogaa nigah rahe aasmaan pe teri hai taair-e-arsh-aashiyaan tu nazar mein jis ki zamin hogi vahi giraftaar-e-daam hogaa qubul kar markaz-e-haqiqat tiraa makaan laa-makaan hai ai dil majaaz ke daaere mein aakar fuzul paaband-e-naam hogaa harim-e-kaaba-o-dair donon hain qaabil-e-ehtiraam lekin nazaaa-e-baaham ke hon na markaz to phir dili-ehtiraam hogaa tu nashsha-e-zohd kaa hai taalib tujhe kahaan vajd-e-jaavedaani jo rind-e-mast-e-mudaam hogaa vo raazdaar-e-davaam hogaa shuur kahte hain jis ko aaqil vo roz mehvar badal rahaa hai jo aa gayaa jaada-e-junun mein sukun mein us kaa qiyaam hogaa na hongi hal mushkilaat 'aiman' fuzul sab koshishein hain teri khudaa se imdaad ki duaa kar baghair is ke na kaam hogaa"
A
Aiman Amritsari
Quote
"yaar ke bhes mein mahbub sitamgar niklaa phuul ham jis ko samajhte the vo patthar niklaa ek roTi ke evaz de gayaa jannat ki duaa mere kuche kaa bhikaari bhi mukhayyar niklaa aaj-kal aankh kaa dekhaa bhi ghalat hotaa hai jis ko samjhe the apaahij vo tavangar niklaa vaqt kamzor ko shah-zor banaa detaa hai shaam ko Duubaa magar subh mein khaavar niklaa ghar badalne se bhi taqdir badal jaati hai siip mein paani paDaa ban ke vo gauhar niklaa jo mire zehn-o-takhayyul mein bahut unchaa thaa us kaa qad taalib-e-duniyaa ke baraabar niklaa jis ke zimme thi mire ghar ki hifaazat 'muztar' dushmanon kaa mire vo shakhs bhi ham-sar niklaa"
Muztar AzmiMuztar Azmi