"aatishin lahr na barfaab mein rakkhi jaae shab ghunuda mire aa'saab mein rakkhi jaae jis ke kirdaar parindon ki tarah uDte hon vo kahaani mire asbaab mein rakkhi jaae ghaar-dar-ghaar bhaTakte hue main chikh uThaa raushni ab kisi mehraab mein rakkhi jaae aankh lag jaae tiri chaand ki lori sun kar phir tiri niind mire khvaab mein rakkhi jaae itnaa aasaan nahin meraa jununi honaa teri tasvir bhi mahtaab mein rakkhi jaae jis jagah phuul ke bhi pankh hon titli ki tarah aankh us qarya-e-shaadaab mein rakkhi jaae dhuup jab mashk liye utre to maayus na ho chashm-e-girya koi taalaab mein rakkhi jaae"
koi sivaa-e-badan hai na hai varaa-e-badan — Daniyal Tareer
"koi sivaa-e-badan hai na hai varaa-e-badan badan mein guunj rahi hai abhi sadaa-e-badan ajab hai shahr magar shahr se bhi log ajab udhaar maang rahe hain badan baraa-e-badan jahaan ThiThurti tamannaa ko aag tak na mile vahaan pe kaun Thahartaa hai ai saraa-e-badan kahin chamakti hui ret bhi dikhaai na di kahaan gayaa vo samundar saraab khaae badan charaagh ban ke chamakte hain roz shaam Dhale hamaare pahlu mein soe hue paraae badan har ek raah mein bikhre paDe hain barg-e-nafas yahaan chali hai bahut din talak havaa-e-badan vo apni qaus-e-quzah le gayaa to kyaa hogaa 'tarir' ghaur-talab hai tiri fazaa-e-badan"
کوئی سوائے بدن ہے نہ ہے ورائے بدن بدن میں گونج رہی ہے ابھی صدائے بدن عجب ہے شہر مگر شہر سے بھی لوگ عجب ادھار مانگ رہے ہیں بدن برائے بدن جہاں ٹھٹھرتی تمنا کو آگ تک نہ ملے وہاں پہ کون ٹھہرتا ہے اے سرائے بدن کہیں چمکتی ہوئی ریت بھی دکھائی نہ دی کہاں گیا وہ سمندر سراب کھائے بدن چراغ بن کے چمکتے ہیں روز شام ڈھلے ہمارے پہلو میں سوئے ہوئے پرائے بدن ہر ایک راہ میں بکھرے پڑے ہیں برگ نفس یہاں چلی ہے بہت دن تلک ہوائے بدن وہ اپنی قوس قزح لے گیا تو کیا ہوگا طریرؔ غور طلب ہے تری فضائے بدن
कोई सिवा-ए-बदन है न है वरा-ए-बदन बदन में गूँज रही है अभी सदा-ए-बदन अजब है शहर मगर शहर से भी लोग अजब उधार माँग रहे हैं बदन बरा-ए-बदन जहाँ ठिठुरती तमन्ना को आग तक न मिले वहाँ पे कौन ठहरता है ऐ सरा-ए-बदन कहीं चमकती हुई रेत भी दिखाई न दी कहाँ गया वो समुंदर सराब खाए बदन चराग़ बन के चमकते हैं रोज़ शाम ढले हमारे पहलू में सोए हुए पराए बदन हर एक राह में बिखरे पड़े हैं बर्ग-ए-नफ़स यहाँ चली है बहुत दिन तलक हवा-ए-बदन वो अपनी क़ौस-ए-क़ुज़ह ले गया तो क्या होगा 'तरीर' ग़ौर-तलब है तिरी फ़ज़ा-ए-बदन

More by Daniyal Tareer
View all →"jannat ke phal zamin pe giraane ki der thi ik baar aasmaan hilaane ki der thi main peD mein qiyaam karungaa tamaam 'umr ye baat taaeron ko bataane ki der thi ye ramz mujh pe ghair kaa ehsaan jaaniye us dil mein ek phuul khilaane ki der thi us chashm-e-nim-baaz ki khvaabidgi ki khair jaise use ye khvaab sunaane ki der thi aflaak chaak hone lage chaand shaq huaa shaayad mire charaagh jalaane ki der thi phir main thaa azdahon kaa 'ilaaqa thaa khauf thaa apni taraf khudaa ko bulaane ki der thi tujh tak pahunchne mein mujhe sadiyaan lagin magar meri nahin thi ye to zamaane ki der thi"
"bilaa-javaaz nahin hai falak se jang miri aTak gai hai sitaare mein ik patang miri phir ek roz mire paas aa kar us ne kahaa ye oDhni zaraa qaus-e-quzah se rang miri jo kaaenaat kinaare se jaa ke mil jaae vahi faraagh-talab hai zamin tang miri main chikhte hue sahraa mein duur tak bhaagaa na jaane ret kahaan le gai umang miri fanaa ki surkh dopahron mein raqs jaari thaa ragein nichoD rahe the rabaab-o-chang miri lahu ki buund giri raushni kaa phuul khilaa phir us ke baad koi aur thi tarang miri"
"ye moajiza bhi dikhaati hai sabz aag mujhe paron baghair uDaati hai sabz aag mujhe main aayaton ki tilaavat mein mahv rahtaa huun har ik balaa se bachaati hai sabz aag mujhe har ek shaakh pe rakhti hai zard qindilein phir us ke baad jalaati hai sabz aag mujhe mein aab-e-surkh mein jab khvaab tak pahunchtaa huun to mere saamne laati hai sabz aag mujhe hinaai paanv ragaDte hue na ghaas pe chal tujhe khabar hai ki bhaati hai sabz aag mujhe main jab bhi jalte hue koelon pe sotaa huun to aasmaan se bulaati hai sabz aag mujhe zamin pe naag hain aur un ke munh mein khvaab ki lau kahaaniyon se Daraati hai sabz aag mujhe"
"rang aur nuur ki tamsil se hogaa ki nahin shab kaa maatam miri qindil se hogaa ki nahin dekhnaa ye hai ki jangal ko chalaane ke liye mashvara richh se aur chiil se hogaa ki nahin aayat-e-tira-shabi paDhte hue umr hui saamnaa ab bhi azaazil se hogaa ki nahin zard miTTi mein utarti hui ai qaus-e-quzah khvaab paidaa tiri tarsil se hogaa ki nahin os ke phuul mahakte hain tiri aaankhon mein in kaa rishta bhi kisi niil se hogaa ki nahin jab sukhan karne lagungaa main tujhe asr-e-ravaan istiaara koi injil se hogaa ki nahin"
"gayaa ki sail-e-ravaan kaa bahaav aisaa thaa vo ek khvaab jo kaaghaz ki naav aisaa thaa kisi ko bhi na thaa aasaan saans kaa lenaa miri zamin pe havaa kaa dabaav aisaa thaa lahu ki dhaar salaamat rahi na saans kaa taar mujhe jo kaaT gayaa vo kaTaav aisaa thaa vo TimTimaataa to us ki ziyaa bhi kam paDti kisi diye se lahu kaa lagaav aisaa thaa vo ek thaa jo mujhe chaar-su dikhaai diyaa main jang haar gayaa huun ki daav aisaa thaa mujhe to laaj ke ujle libaas mein vo badan gulaab barf mein jaise chhupaao aisaa thaa bane hain naag mire ban mein peD jitne the lagi hai aag sabaa kaa subhaav aisaa thaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"