SHAWORDS

koi surat kitaab se nikle — Sameer Kabeer

HomeSameer KabeerGhazal
"koi surat kitaab se nikle yaad sukhe gulaab se nikle meri aankhein hai muntazir ab bhi kab vo chehra naqaab se nikle kitne moti hain us ke aanchal mein kitni kirnein hijaab se nikle ai shab-e-maah TuTtaa hai badan dard shaayad sharaab se nikle chaand utraa thaa shab ko aangan mein niind TuuTe to khvaab se nikle vo miri pyaas ko bujhaa degaa ek qatra jo aab se nikle"
Urdu

کوئی صورت کتاب سے نکلے یاد سوکھے گلاب سے نکلے میری آنکھیں ہے منتظر اب بھی کب وہ چہرہ نقاب سے نکلے کتنے موتی ہیں اس کے آنچل میں کتنی کرنیں حجاب سے نکلے اے شب ماہ ٹوٹتا ہے بدن درد شاید شراب سے نکلے چاند اترا تھا شب کو آنگن میں نیند ٹوٹے تو خواب سے نکلے وہ مری پیاس کو بجھا دے گا ایک قطرہ جو آب سے نکلے

Hindi

कोई सूरत किताब से निकले याद सूखे गुलाब से निकले मेरी आँखें है मुंतज़िर अब भी कब वो चेहरा नक़ाब से निकले कितने मोती हैं उस के आँचल में कितनी किरनें हिजाब से निकले ऐ शब-ए-माह टूटता है बदन दर्द शायद शराब से निकले चाँद उतरा था शब को आँगन में नींद टूटे तो ख़्वाब से निकले वो मिरी प्यास को बुझा देगा एक क़तरा जो आब से निकले

koī sūrat kitāb se nikle
Sameer Kabeer
Sameer Kabeer
Sameer Kabeer
poet4 quotes

More by Sameer Kabeer

View all →
Quote
"aa ke ik baar mire yaar zaraa dekh to le chaaraagar khud bhi hai bimaar zaraa dekh to le din guzartaa hai tire hijr mein thoDaa thoDaa gardish-e-vaqt ki ye maar zaraa dekh to le qalb-e-vaarafta ki har aah bhi sahmi sahmi dhimi dhimi si hai raftaar zaraa dekh to le ab bhi mahfuz hain aankhon mein vo saare manzar vahi nakhre vahi takraar zaraa dekh to le na samundar hai na saahil na koi kashti hai kaise utregaa vo us paar zaraa dekh to le tum ki har baat pe saDkon pe utar aate ho zang-aaluda hai talvaar zaraa dekh to le main ki baiThaa huun tire dar pe savaali ban kar honge kitne hi giraftaar zaraa dekh to le ham ki khanjar se bhi do baatein kiyaa karte hain zakhm gahraa hai so talvaar zaraa dekh to le"
Sameer KabeerSameer Kabeer
Quote
"ajiib us se bhi rishta hai kyaa kiyaa jaae vo sirf khvaabon mein miltaa hai kyaa kiyaa jaae jahaan jahaan tere milne kaa hai gumaan vahaan na zindagi hai na raasta hai kyaa kiyaa jaae ghalat nahin mujhe marne kaa mashvara us kaa vo meraa dard samajhtaa hai kyaa kiyaa jaae kisi pe ab kisi gham kaa asar nahin hotaa magar ye dil hai ki dukhtaa hai kyaa kiyaa jaae kami na ki thi tavajjoh mein aap ne lekin hamaaraa zakhm hi gahraa hai kyaa kiyaa jaae vo meri jaan kaa dushman sahi magar yaaro mire liye vahi achchhaa hai kyaa kiyaa jaae"
Sameer KabeerSameer Kabeer

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari