"shohrat-e-tarz-e-fughaan aam hui jaati hai koshish-e-zabt bhi naakaam hui jaati hai mast hain aur talab-e-jaam hui jaati hai be-khudi hosh kaa paighaam hui jaati hai muskuraataa hai hasin parda-e-gulshan mein koi aur kali muft mein badnaam hui jaati hai qaid mein bhi hai asiron kaa vahi josh-e-amal mashq-e-parvaaz tah-e-daam hui jaati hai toD kar dil nigah-e-mast na pher ai saaqi bazm ki bazm hi be-jaam hui jaati hai lab jo khole to gulistaan mein kali kaun kahe chup bhi rahti hai to badnaam hui jaati hai mujh ko le jaaegi manzil pe miri subh-e-yaqin laakh raste mein mujhe shaam hui jaati hai naavak-andaazi-e-jaanaan kaa asar hai ki 'figaar' ek duniyaa miri hamnaam hui jaati hai"
kuchh kaam to aayaa dil-e-naakaam hamaaraa — Figar Unnavi
"kuchh kaam to aayaa dil-e-naakaam hamaaraa TuuTaa hai to TuuTaa hi sahi jaam hamaaraa jitnaa ise samjhaa kiye begaana-e-taasir itnaa to na thaa jazba-e-dil khaam hamaaraa ye kaun maqaam aayaa qadam uThte nahin hain manzil pe Thaharnaa to na thaa kaam hamaaraa ham jaise taDapte hain taDapte rahe din raat kuchh kar na saki gardish-e-ayyaam hamaaraa ye gardish-e-paimaana hai yaa gardish-e-taqdir saaqi kisi saaghar pe to ho naam hamaaraa phulon ki hansi baais-e-takhrib-e-chaman hai kaanTon pe nahin hai koi ilzaam hamaaraa ham gardish-e-saaghar ko nigaahon mein liye hain dekhe koi husn-e-talab-e-jaam hamaaraa aaghaaz-e-mohabbat hi kaa eajaaz-e-karam hai dil ho gayaa begaana-e-anjaam hamaaraa andaaz taDapne kaa judaagaana hai lekin hai koi 'figaar' aur bhi hamnaam hamaaraa"
کچھ کام تو آیا دل ناکام ہمارا ٹوٹا ہے تو ٹوٹا ہی سہی جام ہمارا جتنا اسے سمجھا کئے بیگانۂ تاثیر اتنا تو نہ تھا جذبۂ دل خام ہمارا یہ کون مقام آیا قدم اٹھتے نہیں ہیں منزل پہ ٹھہرنا تو نہ تھا کام ہمارا ہم جیسے تڑپتے ہیں تڑپتے رہے دن رات کچھ کر نہ سکی گردش ایام ہمارا یہ گردش پیمانہ ہے یا گردش تقدیر ساقی کسی ساغر پہ تو ہو نام ہمارا پھولوں کی ہنسی باعث تخریب چمن ہے کانٹوں پہ نہیں ہے کوئی الزام ہمارا ہم گردش ساغر کو نگاہوں میں لئے ہیں دیکھے کوئی حسن طلب جام ہمارا آغاز محبت ہی کا اعجاز کرم ہے دل ہو گیا بیگانۂ انجام ہمارا انداز تڑپنے کا جداگانہ ہے لیکن ہے کوئی فگارؔ اور بھی ہم نام ہمارا
कुछ काम तो आया दिल-ए-नाकाम हमारा टूटा है तो टूटा ही सही जाम हमारा जितना इसे समझा किए बेगाना-ए-तासीर इतना तो न था जज़्बा-ए-दिल ख़ाम हमारा ये कौन मक़ाम आया क़दम उठते नहीं हैं मंज़िल पे ठहरना तो न था काम हमारा हम जैसे तड़पते हैं तड़पते रहे दिन रात कुछ कर न सकी गर्दिश-ए-अय्याम हमारा ये गर्दिश-ए-पैमाना है या गर्दिश-ए-तक़दीर साक़ी किसी साग़र पे तो हो नाम हमारा फूलों की हँसी बाइस-ए-तख़रीब-ए-चमन है काँटों पे नहीं है कोई इल्ज़ाम हमारा हम गर्दिश-ए-साग़र को निगाहों में लिए हैं देखे कोई हुस्न-ए-तलब-ए-जाम हमारा आग़ाज़-ए-मोहब्बत ही का एजाज़-ए-करम है दिल हो गया बेगाना-ए-अंजाम हमारा अंदाज़ तड़पने का जुदागाना है लेकिन है कोई 'फ़िगार' और भी हमनाम हमारा

More by Figar Unnavi
View all →"hasti ik naqsh-e-inikaasi hai ye haqiqat nahin qayaasi hai zauq tishna hai ruuh pyaasi hai saaraa maahaul hi siyaasi hai khub gai dil mein har adaa us ki kaj-adaai bhi khush-adaa si hai dil hai afsurda to bahaar kahaan baagh mein har taraf udaasi hai un ko paa kar qaraar aaegaa ahl-e-dil ye bhi khush-qayaasi hai sau hijaabon mein be-hijaab hai husn sau libaason mein be-libaasi hai muddaaa tak bayaan nahin hotaa bad-havaasi si bad-havaasi hai un ko dekhaa nahin 'figaar' magar un ke jalvon se ru-shanaasi hai"
"aarzu hasrat-e-naakaam se aage na baDhi fikr andesha-e-anjaam se aage na baDhi su-e-manzil kabhi do gaam se aage na baDhi zindagi maut ke ilzaam se aage na baDhi zulf-o-rukh ke sahar-o-shaam se aage na baDhi aashiqi rahguzar-e-aam se aage na baDhi rah gai rifat-e-parvaaz ki hasrat dil mein par-fishaani qafas-o-daam se aage na baDhi manzil-e-be-khudi-e-shauq ki azmat maalum tishna-kaamon ki nazar jaam se aage na baDhi kitni shaamein gaiin aur kitne savere aae nigah-e-muntazir ik shaam se aage na baDhi paaki-e-nafs ki azmat kaa to kyaa zikr 'figaar' zohd ki baat bhi ehraam se aage na baDhi"
"tufaan se bach ke daaman-e-saahil mein rah gayaa mushkil ke baad aur bhi mushkil mein rah gayaa ik shor thaa jo gosha-e-mahfil mein rah gayaa ik dard thaa jo dil se uThaa dil mein rah gayaa ab vo nigaah-e-naaz hui maail-e-karam jab koi muddaaa na mire dil mein rah gayaa manzil mire qarib se ho kar guzar gai aur main talaash-e-jaada-e-manzil mein rah gayaa manzil fanaa-e-zauq-e-talab kaa maqaam thi achchhaa huaa main sarhad-e-manzil mein rah gayaa allaah-re jazb-e-ishq ki husn-e-nigaah-e-qais ik naqsh ban ke parda-e-mahmil mein rah gayaa naala to khair nang-e-gham-e-ishq thaa magar naghma bhi soz-o-saaz ki mahfil mein rah gayaa saare hijaab-e-husn nigaahon se haT gae ik aaina zarur muqaabil mein rah gayaa mujh se ye puchhti hain miri hichkiyaan 'figaar' ab kitnaa faasla tiri manzil mein rah gayaa"
"lab pe jhuTe taraane hote hain kyaa karein gham chhupaane hote hain vo bhi kaise zamaane hote hain jab qafas aashiyaane hote hain yuun hi aati nahin khushi ki bahaar saikDon gham uThaane hote hain zindagi kaa kuchh e'tibaar nahin maut ke sau bahaane hote hain is tarah baiThtaa nahin chhup kar jis ko jalve dikhaane hote hain"
"kisi apne se hoti hai na begaane se hoti hai jo ulfat ek divaane ko divaane se hoti hai subu se jaam se miinaa se paimaane se hoti hai mohabbat mai se ho kar saare mai-khaane se hoti hai koi qissa ho koi vaaqi'a koi hikaayat ho tasalli dil ko dard-e-dil ke afsaane se hoti hai miri tauba se kah do vo bhi aa kar shauq se sun le 'ajab aavaaz paidaa dil ke paimaane se hoti hai nazar se chhupne vaale dil se aakhir kyuun nahin chhupte ye kaisi be-hijaabi aaina-khaane se hoti hai bahaar-e-chand-roza se koi maange to kyaa maange khizaan ko bhi nadaamat haath phailaane se hoti hai ghaTaaein gham ki chhaT jaati hain un ke muskuraane se ki jaise subh paidaa raat Dhal jaane se hoti hai 'figaar' ehsaas-e-dil mein har taraf kaanTe hi kaanTe hain yahi taskin gulshan mein bahaar aane se hoti hai"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"