"ye baat kaun samajhtaa gham-aashnaa ke sivaa hayaat kuchh bhi nahin hai tiri razaa ke sivaa tiraa karam ki mili rifat-e-qubul ise hamaare paas hai kyaa aah-e-naa-rasaa ke sivaa vo aazmaaish-e-paiham vo meraa sabr tamaam zabaan pe lafz na aaya koi duaa ke sivaa pighal rahaa hai jo maahaul kaa jumud tamaam nahin mire asar-e-shoala-e-navaa ke sivaa"
laai thi khalvat se dil ki naa-shakebaai mujhe — Ehsan Nanparwi
"laai thi khalvat se dil ki naa-shakebaai mujhe bazm mein bhi hai vahi ehsaas-e-tanhaai mujhe lazzat-e-zakhm-e-tamanna se huun sargarm-e-safar varna kab manzur thi ye jaada-paimaai mujhe manzar-e-barbaadi-e-dil par to nam-dida thaa main log dikhlaate rahe chehron ki zebaai mujhe sun rahaa huun der se apni sadaa-e-baazgasht aarzu kaa shahr hai sahraa-e-tanhaai mujhe zindagi ke dasht-o-dar mein aarzu ki raah se le gai daar-o-rasan tak aabla-paai mujhe"
لائی تھی خلوت سے دل کی نا شکیبائی مجھے بزم میں بھی ہے وہی احساس تنہائی مجھے لذت زخم تمنا سے ہوں سرگرم سفر ورنہ کب منظور تھی یہ جادہ پیمائی مجھے منظر بربادیٔ دل پر تو نم دیدہ تھا میں لوگ دکھلاتے رہے چہروں کی زیبائی مجھے سن رہا ہوں دیر سے اپنی صدائے بازگشت آرزو کا شہر ہے صحرائے تنہائی مجھے زندگی کے دشت و در میں آرزو کی راہ سے لے گئی دار و رسن تک آبلہ پائی مجھے
लाई थी ख़ल्वत से दिल की ना-शकेबाई मुझे बज़्म में भी है वही एहसास-ए-तन्हाई मुझे लज़्ज़त-ए-ज़ख़्म-ए-तमन्ना से हूँ सरगर्म-ए-सफ़र वर्ना कब मंज़ूर थी ये जादा-पैमाई मुझे मंज़र-ए-बर्बादी-ए-दिल पर तो नम-दीदा था मैं लोग दिखलाते रहे चेहरों की ज़ेबाई मुझे सुन रहा हूँ देर से अपनी सदा-ए-बाज़गश्त आरज़ू का शहर है सहरा-ए-तन्हाई मुझे ज़िंदगी के दश्त-ओ-दर में आरज़ू की राह से ले गई दार-ओ-रसन तक आबला-पाई मुझे

More by Ehsan Nanparwi
View all →"mire junun ko hai tufaan-e-rang-o-bu ki talaash farogh-e-aatish-e-gul ko mire lahu ki talaash khirad ki khira-mazaaqi junun ki jaulaani hai zakhm-e-sozan-e-gham rishta-e-rafu ki talaash urus-e-gul to abhi hajla-e-khayaal mein hai ki shaakh-e-gul ko hai sad-joshish-e-numu ki talaash hai sust-gaam bahut kaarvaan-e-shauq abhi rahil-e-vaqt ko sargarm-e-justuju ki talaash azal se misl-e-zamin gardish-e-mudaam mein hai ajab hai zarra-e-shorida-aarzu ki talaash ataa-e-ishq hai sahbaa-e-aabgina-guzaar nahin mujhe kisi paimaana-o-subu ki talaash"
"jaraahaton ki mahak hai fazaa ke daaman mein hazaar phuul khile hain sabaa ke daaman mein hai aaj shiddat-e-ehsaas-e-naa-rasaai kyon gudaaz dil to bahut hai duaa ke daaman mein jahaan-e-aah-o-fughaan bhi hai aab-gil-naghma fusun-e-koh-e-nidaa hai sadaa ke daaman mein gayaa vo qaafila-e-nau-bahaar bhi lekin vahi hai zauq-e-safar naqsh-e-paa ke daaman mein vahi jo taair-e-aflaak-aashiyaan thaa kabhi taDap rahaa hai vo bim-o-rajaa ke daaman mein"
"nasim-e-subh to kyaa tund-khu havaa bhi nahin ye kyaa sitam hai ki vo mujh se ab khafaa bhi nahin fasurda chehra-e-gul hai ye kaisaa mausam hai ki gulsitaan mein koi shokhi-e-sabaa bhi nahin kahaan main laayaa gayaa huun na koi apnaa na ghair ilaahi lutf-e-hayaat-e-gurez-paa bhi nahin ajab hai haal-e-dil-e-zaar kis zabaan se kahun ilaaj-e-zakhm-e-tamanna tiri adaa bhi nahin khayaal-e-garmi-e-mauj-e-nafas ki shiddat se jalaa huun aisaa ki ab koi saanehaa bhi nahin isi se faash huaa zindagi kaa soz-e-darun miri khamosh-nigaahi ki be-navaa bhi nahin"
"safar hai shart rah-e-kahkashaan hai tere liye nai zamin nayaa aasmaan hai tere liye bulaa rahi hai tujhe manzil-e-buland tiri ye naala-e-jaras-e-kaarvaan hai tere liye tire junun ne khilaae lahu se laala-o-gul bahaar-e-naazish-e-sad-gulsitaan hai tere liye khushaa vo azmat-e-faqr-o-khud-aagahi teri ki kham jabin-e-ghurur-e-shahaan hai tere liye basirat-e-nigah-e-jazba-e-kalimaana ataa hui hai tujhe ye jahaan hai tere liye"
"lahu kaa ek chhalaktaa huaa ayaagh liye hayaat aai hai mahrumiyon kaa daagh liye guzar gae hain yunhi jaada-e-shabaab se ham fasurda zehn liye gham-zada dimaagh liye har ik jabin pe tamavvuj hai sozish-e-dil kaa har ik nigaah hai yak hasrat-e-faraagh liye chale hain zulmat-o-har-sail-e-baad ki zad par junun-sifaat bhaDakte hue charaagh liye"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"