SHAWORDS

laakh kahte raho buraa huun main — Arshad Rasool Badayuni

"laakh kahte raho buraa huun main jaantaa hai khudaa ki kyaa huun main log jannat ki soch rakhte hain maan ke baare mein sochtaa huun main paak hai pyaar is qadar meraa jism ko chhoD kar milaa huun main aaj phir phone aa gayaa us kaa phir se sun luun ki be-vafaa huun main jab koi hal nikal nahin saktaa sab tumhein kyon bataa rahaa huun main kuchh to hai jo chhupaa rahe ho tum dard aankhon se aanktaa huun main daur-e-mushkil mein hi sahi 'arshad' un ko ab yaad aa gayaa huun main"
Urdu

لاکھ کہتے رہو برا ہوں میں جانتا ہے خدا کہ کیا ہوں میں لوگ جنت کی سوچ رکھتے ہیں ماں کے بارے میں سوچتا ہوں میں پاک ہے پیار اس قدر میرا جسم کو چھوڑ کر ملا ہوں میں آج پھر فون آ گیا اس کا پھر سے سن لوں کہ بے وفا ہوں میں جب کوئی حل نکل نہیں سکتا سب تمہیں کیوں بتا رہا ہوں میں کچھ تو ہے جو چھپا رہے ہو تم درد آنکھوں سے آنکتا ہوں میں دور مشکل میں ہی سہی ارشدؔ ان کو اب یاد آ گیا ہوں میں

Hindi

लाख कहते रहो बुरा हूँ मैं जानता है ख़ुदा कि क्या हूँ मैं लोग जन्नत की सोच रखते हैं माँ के बारे में सोचता हूँ मैं पाक है प्यार इस क़दर मेरा जिस्म को छोड़ कर मिला हूँ मैं आज फिर फ़ोन आ गया उस का फिर से सुन लूँ कि बे-वफ़ा हूँ मैं जब कोई हल निकल नहीं सकता सब तुम्हें क्यों बता रहा हूँ मैं कुछ तो है जो छुपा रहे हो तुम दर्द आँखों से आँकता हूँ मैं दौर-ए-मुश्किल में ही सही 'अरशद' उन को अब याद आ गया हूँ मैं

laakh kahte raho burā huuñ maiñ
Arshad Rasool Badayuni
Arshad Rasool Badayuni
Arshad Rasool Badayuni
poet11 quotes

More by Arshad Rasool Badayuni

View all →
Quote
"ye huaa asliyat bataane mein mushkilein baDh gaiin zamaane mein tab ye chulhaa dhuaan ugaltaa hai khuun jaltaa hai kaar-khaane mein gham dahakte hain is qadar dil mein honT jalte hain muskuraane mein ye karishma nahin to phir kyaa hai ji rahaa huun tire zamaane mein sahmi sahmi hain faakhtaaein yahaan baaz baiThe hain kuchh nishaane mein 'ishq ki jang bhi 'ajab shai hai jiit hoti hai haar jaane mein ham faqiri se lau lagaa baiThe Thokarein maar kar khazaane mein jism 'arshad' lahuluhaan huaa baaghbaan se chaman bachaane mein"
Arshad Rasool BadayuniArshad Rasool Badayuni
Quote
"taa'zim aarti ki hai aadar azaan kaa hai duniyaa mein ye kamaal to hindostaan kaa hai gandi siyaasaton ne bahaaron ko khaa liyaa mausam hamaare gaanv mein ab bhi khizaan kaa hai naahaq hi dushmanon ko ye ilzaam de diyaa gulshan ujaaDne kaa jatan baaghbaan kaa hai tum zalzalon ke khauf se vaaqif nahin rahe itnaa ghurur aaj ye unche makaan kaa hai 'unvaan jo hamaari kahaani kaa thaa kabhi kirdaar ab vo aur kisi daastaan kaa hai 'arshad' nahin hai koi gila ghair se hamein ghaddaar hai to koi isi kaarvaan kaa hai"
Arshad Rasool BadayuniArshad Rasool Badayuni

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb