SHAWORDS

lahu ki buund misl-e-aaina har dar pe rakkhi thi — Abdul Hameed Saqi

"lahu ki buund misl-e-aaina har dar pe rakkhi thi sanad ahl-e-vafaa ki laasha-e-be-sar pe rakkhi thi nigaahein vaqt ki kaise nazar-andaaz kar detin asaas-e-gulsitaan katre hue shahpar pe rakkhi thi anaa majruh ho jaati qadam pichhe agar haTte binaa-e-qurb dohri dhaar ke khanjar pe rakkhi thi idhar ham sar hatheli par liye maqtal mein pahunche the udhar qaatil ne ghabraa kar hatheli sar pe rakkhi thi khudi ki raushni mein main ne dekhaa hai aqidat ko khudaai varna aazar ki miri Thokar pe rakkhi thi khulus-o-mehr ke paani ne ThanDaa kar diyaa aakhir jo tum ne aag nafrat ki dil-e-muztar pe rakkhi thi liyaa jaataa na kaise imtihaan-e-zarf ai 'saaqi' nazar har ek baada-khvaar ne saaghar pe rakkhi thi"
Urdu

لہو کی بوند مثل آئنہ ہر در پہ رکھی تھی سند اہل وفا کی لاشۂ بے سر پہ رکھی تھی نگاہیں وقت کی کیسے نظر انداز کر دیتیں اساس گلستاں کترے ہوئے شہ پر پہ رکھی تھی انا مجروح ہو جاتی قدم پیچھے اگر ہٹتے بنائے قرب دوہری دھار کے خنجر پہ رکھی تھی ادھر ہم سر ہتھیلی پر لیے مقتل میں پہنچے تھے ادھر قاتل نے گھبرا کر ہتھیلی سر پہ رکھی تھی خودی کی روشنی میں میں نے دیکھا ہے عقیدت کو خدائی ورنہ آذر کی مری ٹھوکر پہ رکھی تھی خلوص و مہر کے پانی نے ٹھنڈا کر دیا آخر جو تم نے آگ نفرت کی دل مضطر پہ رکھی تھی لیا جاتا نہ کیسے امتحان ظرف اے ساقیؔ نظر ہر ایک بادہ خوار نے ساغر پہ رکھی تھی

Hindi

लहू की बूँद मिस्ल-ए-आइना हर दर पे रक्खी थी सनद अहल-ए-वफ़ा की लाशा-ए-बे-सर पे रक्खी थी निगाहें वक़्त की कैसे नज़र-अंदाज़ कर देतीं असास-ए-गुलसिताँ कतरे हुए शहपर पे रक्खी थी अना मजरूह हो जाती क़दम पीछे अगर हटते बिना-ए-क़ुर्ब दोहरी धार के ख़ंजर पे रक्खी थी इधर हम सर हथेली पर लिए मक़्तल में पहुँचे थे उधर क़ातिल ने घबरा कर हथेली सर पे रक्खी थी ख़ुदी की रौशनी में मैं ने देखा है अक़ीदत को ख़ुदाई वर्ना आज़र की मिरी ठोकर पे रक्खी थी ख़ुलूस-ओ-मेहर के पानी ने ठंडा कर दिया आख़िर जो तुम ने आग नफ़रत की दिल-ए-मुज़्तर पे रक्खी थी लिया जाता न कैसे इम्तिहान-ए-ज़र्फ़ ऐ 'साक़ी' नज़र हर एक बादा-ख़्वार ने साग़र पे रक्खी थी

lahū kī buuñd misl-e-ā.ina har dar pe rakkhī thī
A
Abdul Hameed Saqi
Abdul Hameed Saqi
poet6 quotes

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil