"vo yuun shakl-e-tarz-e-bayaan khinchte hain ki qaail ki goyaa zabaan khinchte hain ye tashhir dekho sag-e-ku-e-dilbar abhi tak miri haDDiyaan khinchte hain kare gar koi zikr jaa kar hamaaraa vo taalu se us ki zabaan khinchte hain na sadme se kyuun khushk ho khun-e-bulbul gulon kaa araq baaghbaan khinchte hain baDhi hai safar mein vatan ki mohabbat makinon ko kyaa kyaa makaan khinchte hain kare kaun saudaa-e-zulf-e-musalsal hamin hain jo ye beDiyaan khinchte hain pas-e-marg mearaaj aashiq ki dekho lahad ki zamin aasmaan khinchte hain nishaana banaaeinge tir-e-nazar kaa mohabbat ke dil par nishaan khinchte hain zaraa dam to lene de ai maut mujh ko Thahar kar nafas naa-tavaan khinchte hain zaifi mein bhi dil mein hai yaad-e-abru kabaada hain khud aur kamaan khinchte hain mujhe dekh kar jab vo munh moDte hain to dil mein chhupaa kar sinaan khinchte hain ghazab hai hasinon kaa taur-e-takallum dilon ko ye jaadu-bayaan khinchte hain baDhaa fikr mein rang zardi-e-rukh se ye itr-e-gul-e-zaafraan khinchte hain 'habib' ab zamin aasmaan sar pe leinge ki naale mire bijliyaan khinchte hain"
lais ho kar jo miraa tark-e-jafaa-kaar chale — Habeeb Moosavi
"lais ho kar jo miraa tark-e-jafaa-kaar chale saikDon khuun hon har gaam pe talvaar chale naa-tavaani ne unhein dariyaa pe jaane na diyaa uTh ke sau baar gire raah mein sau baar chale teraa kucha hai vo ai but ki hazaaron zaahid Daal ke subha mein yaan rishta-e-zunnaar chale ai shah-e-husn mukaddar na ho gar teraa mizaaj khaak apni bhi jilau mein pas-e-rahvaar chale sun ke ye garmi-e-baazaar teri ai yusuf naqd-e-jaan rakh ke hatheli pe kharidaar chale hai yaqin hashr mein bhi ek nayaa mahshar ho uTh ke gar kaakul-e-jaanaan ke giraftaar chale fasl-e-gul aai uThaa abr chali sard havaa su-e-mai-khaana akaDte hue mai-khvaar chale hogaa ehsaan pae gul-gasht agar tu sayyaad saath le kar qafas-e-murgh-e-giraftaar chale der se baiThe the mushtaaq-e-sukhan sab ye 'habib' dekh uThte hi tere bazm se huzzaar chale"
لیس ہو کر جو مرا ترک جفا کار چلے سیکڑوں خون ہوں ہر گام پہ تلوار چلے ناتوانی نے انہیں دریا پہ جانے نہ دیا اٹھ کے سو بار گرے راہ میں سو بار چلے تیرا کوچہ ہے وہ اے بت کہ ہزاروں زاہد ڈال کے سبحہ میں یاں رشتۂ زنار چلے اے شہ حسن مکدر نہ ہو گر تیرا مزاج خاک اپنی بھی جلو میں پس رہوار چلے سن کے یہ گرمئ بازار تیری اے یوسف نقد جاں رکھ کے ہتھیلی پہ خریدار چلے ہے یقیں حشر میں بھی ایک نیا محشر ہو اٹھ کے گر کاکل جاناں کے گرفتار چلے فصل گل آئی اٹھا ابر چلی سرد ہوا سوئے مے خانہ اکڑتے ہوئے مے خوار چلے ہوگا احساں پئے گلگشت اگر تو صیاد ساتھ لے کر قفس مرغ گرفتار چلے دیر سے بیٹھے تھے مشتاق سخن سب یہ حبیبؔ دیکھ اٹھتے ہی تیرے بزم سے حضار چلے
लैस हो कर जो मिरा तर्क-ए-जफ़ा-कार चले सैकड़ों ख़ून हों हर गाम पे तलवार चले ना-तवानी ने उन्हें दरिया पे जाने न दिया उठ के सौ बार गिरे राह में सौ बार चले तेरा कूचा है वो ऐ बुत कि हज़ारों ज़ाहिद डाल के सुब्हा में याँ रिश्ता-ए-ज़ुन्नार चले ऐ शह-ए-हुस्न मुकद्दर न हो गर तेरा मिज़ाज ख़ाक अपनी भी जिलौ में पस-ए-रहवार चले सुन के ये गर्मी-ए-बाज़ार तेरी ऐ यूसुफ़ नक़्द-ए-जाँ रख के हथेली पे ख़रीदार चले है यक़ीं हश्र में भी एक नया महशर हो उठ के गर काकुल-ए-जानाँ के गिरफ़्तार चले फ़स्ल-ए-गुल आई उठा अब्र चली सर्द हवा सू-ए-मय-ख़ाना अकड़ते हुए मय-ख़्वार चले होगा एहसाँ पए गुल-गश्त अगर तू सय्याद साथ ले कर क़फ़स-ए-मुर्ग़-ए-गिरफ़्तार चले देर से बैठे थे मुश्ताक़-ए-सुख़न सब ये 'हबीब' देख उठते ही तेरे बज़्म से हुज़्ज़ार चले
More by Habeeb Moosavi
View all →"hai nigahbaan rukh kaa khaal-ru-e-dost haafiz-e-quraan huaa hindu-e-dost ham na hon patthar ho ham pahlu-e-dost aaina luuTe bahaar-e-ru-e-dost phir gai jab nargis-e-jaadu-e-dost sab musalmaan ho gae hindu-e-dost bhaa gai hai dil ko aisi khu-e-dost aati hai har gul se mujh ko bu-e-dost hai khayaal-e-aariz-o-gesu-e-dost gah musalmaan huun kabhi hindu-e-dost sau balaaein aa gaiin ushshaaq par jab kamar tak aa gae gesu-e-dost haDDiyaan meri na khaanaa ai humaa daant rakhte hain sagaan-e-ku-e-dost aag bhaDke kyuun na pahlu mein mire ghair hain vaan aaj ham pahlu-e-dost asl ye hai naql-e-mehraab-e-haram sajda vaajib hai tah-e-abru-e-dost tegh-e-abru par kaTe laakhon gale ban gayaa ganj-e-shahidaan ku-e-dost dil huaa maftun nigaah-e-yaar kaa sher-afgan hain magar aahu-e-dost baad-e-murdan qabr mein aaThon pahar aaegaa mujh ko khayaal-e-ru-e-dost phir rahaa hai aaj putli ki tarah meri aankhon mein qad-e-dil-ju-e-dost hai khayaal-e-khaal-e-mushkin raat din dil ko mere jaan lo mushku-e-dost ab vahi sar hai ki Takraataa huun main vasl mein ye thaa sar-e-zaanu-e-dost kyaa koi aafat abhi baaqi hai aur le chalaa hai dil mujhe phir su-e-dost le uDi be-saakhta dil ko mire aa gai jis dam havaa-e-ku-e-dost rang-e-ulfat se miTaa zang-e-dui ho gai hai mujh mein paidaa bu-e-dost ghairat-e-mansur huun main ai 'habib' har ghaDi huun sarf-e-haa-o-hu-e-dost"
"mehr-o-ulfat se maaal-e-tahzib khaaksaari hai kamaal-e-tahzib hai vo aaraaish-e-husn-e-baatin jis ko kahte hain jamaal-e-tahzib kam nahin mardumak-e-chashm se kuchh rukh-e-insaan pe khaal-e-tahzib aaj-kal ham mein agar sach puchho shakl anqaa hai misaal-e-tahzib kabhi hotaa nahin bad-vaza kaa khauf hai ajab jaah-o-jalaal-e-tahzib rukh pe kartaa hai mataanat paidaa dil mein aate hi khayaal-e-tahzib apne matlab kaa jahaan kuchh ho lagaav nahin rahtaa hai khayaal-e-tahzib qaum kaa apne na ghaTtaa vo uruuj ho na jaataa jo zavaal-e-tahzib jaam-e-jam se hai kahin pur-tamkin bazm-e-khullat mein sifaal-e-tahzib us kaa khuun karte hain jo naahaq-kosh un ki gardan pe vabaal-e-tahzib murda qaumon ke liye aab-e-hayaat bantaa jaataa hai zulaal-e-tahzib badr ban jaaegaa chande mein 'habib' haq ne chaahaa to hilaal-e-tahzib"
"jabin par kyuun shikan hai ai jaan munh hai ghusse se laal kaisaa hazaar baatein hon ek hain phir bhalaa ye baaham malaal kaisaa nahin hai ab taab-e-dard-e-furqat kahaan ki izzat kahaan ki ghairat hain mubtalaa apne haal mein ham kisi kaa is dam khayaal kaisaa bataao mujh ko ye kyaa huaa hai ye kaun saa dard-e-laa-davaa hai ye kyuun miraa dam ulajh rahaa hai hai khud-bakhud ji niDhaal kaisaa tamaam aalam huaa jo shaidaa to kuchh taajjub nahin hai is kaa but-e-sitamgaar tujh ko bakhshaa khudaa ne husn-o-jamaal kaisaa gunah se seri hui nahin hai ye kahte hain sab ajal qarin hai qalaq mein har dam dil-e-hazin hai ki hogaa apnaa maaal kaisaa ye us sitamgar se koi kah de mariz-e-furqat ki ab khabar le hain kaT rahi zindagi ki ghaDiyaan kahaan kaa din maah-o-saal kaisaa ghazab se hai vaan jo chiin jabin par hujum-e-gham hai dil-e-hazin par lahu ke dhabbe hain aastin par hai daaman ashkon se laal kaisaa havas hai har ek ji ki ji mein hue jo ghash vasl ki khushi mein tamaam shab guzri be-khudi mein javaab kaisaa savaal kaisaa jahaan chhaanaa paDaa hai kab kaa falak pe vahshat kaa ab hai shohraa kahaan kaa maghrib kahaan kaa mashriq junub kaisaa shumaal kaisaa vo mehr huun main huaa jo taalea to ik zamaane ne khaak uDaai chamakne dete nahin hain bad mein uruuj kaisaa zavaal kaisaa 'habib' kar ke buton ki ulfat abhi se ye hijr ki shikaayat rahegaa ab hashr tak ye jhagDaa yahaan bhalaa infisaal kaisaa"
"hue khalq jab se jahaan mein ham havas-e-nazaara-e-yaar hai Thahar ai ajal ki vo aaeinge dam-e-vaapsin kaa qaraar hai rahein mahv kyuun na har ek dam ki nazar mein jalva-e-yaar hai dil-e-muntazir hai jo aaina to khayaal aaina-daar hai ye khataa-e-ishq ki di sazaa ki mizha se mardum-e-chashm ne miraa dil dikhaa ke ye kah diyaa ise lo ye qaabil-e-daar hai ye khudaa hi jaane vo kaun thaa jo shahid-e-naaz-o-adaa huaa ki uDi hai khaak-e-rah-e-sanam to khizaan mein rang-e-bahaar hai huiin tark saari mohabbatein mire sar pe Dhaai hain aafatein yahi dil ke lene mein shart thi yahi mujh se qaul-o-qaraar hai ye junun ki dekhiye pukhtagi jo kabhi kisi ne na ho suni mire pairahan kaa jo taar hai vo har ek resha-e-khaar hai koi dil ki nikli na aarzu huaa ranj-o-gham se jigar lahu phire khaak chhaante ku-ba-ku na to sabr hai na qaraar hai pas-e-marg bhi hain vahi sitam hain jafaaein ruuh pe dam-ba-dam idhar aate aate vo phir gae jo sunaa ki meraa mazaar hai mire siine ko na hadaf karo tapish-e-jigar se Dare raho par-e-murgh-e-tir na jal uThein ki lahu ba-rang-e-sharaar hai vo khushi dikhaai na charkh ne ki evaz mein jis ke na gham diye kabhi farsh-e-gul hai jo ek shab to mahinon bistar-e-khaar hai jise dard-e-naala-o-aah hai jo shahid-e-tegh-e-nigaah hai shab-e-hijr us ki gavaah hai vo 'habib'-e-sina-figaar hai"
"kisi ki jubba-saai se kabhi ghistaa nahin patthar vo chaukhaT mom ki chaukhaT hai yaa meri jabin patthar khulaa ab rakhte hain pahlu main pinhaan naaznin patthar na thaa maalum hain qalb-e-butaan-o-mah-jabin patthar biThaayaa khaatam-e-izzat pe tere naam-e-naami ne vagarna hai ye zaahir thaa haqiqat mein nagin patthar dikhaae phir na kyuun taasir apni jazb-e-ruhaani yaqin ho jaae jab haajat-ravaa hai bil-yaqin patthar talaash-e-yaar mein kyaa khaar daaman-gir himmat hon hue naadim mile jab sadd-e-rah ban kar kahin patthar jo main ai koh-kan duun jaan-e-shirin ishq-e-shirin mein to dikhlaae bajaae shiir ju-e-aabgin patthar giraa duun faiz-e-eajaaz-e-nubuvvat se vo momin huun chhupaaein phir mukhaalif gar myaan-e-aastin patthar pas-e-murdan rahe qalb-o-jigar mein gar yahi sozish to lauh-e-sang-e-marmar hogi az khud aatishin patthar ye kahtaa hai kisi naa-mehrbaan kaa mehrbaan honaa pasijeinge tiri garmi se aah-e-aatishin patthar girin har sang-dil par bijliyaan aisi havaadis ki ki dete hain gavaahi teri aah-e-aatishin patthar 'habib' aae kahaan se taazgi nakhl-e-mazaamin mein jahaan tak dekhiye hai yak-qalam ye gul-zamin patthar"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"