"jazire ki tarah meri nishaani kis liye hai mire chaaron taraf paani hi paani kis liye hai main aksar sochtaa huun dil ki gahraai mein jaa kar zamin par ek chaadar aasmaani kis liye hai ba-zaahir pur-sukun aur dil ki har ik rag salaamat to zer-e-sath-e-dariyaa ik ravaani kis liye hai main TuuTaa huun to apni kirchiyaan bhi joD lungaa pa chehre par mire ye shaadmaani kis liye hai ye dil be-hausla dil mere kahne mein nahin jab to apne dil ki main ne baat maani kis liye hai karein lahje badal kar guftugu ik dusre se hamaare darmiyaan ye be-zabaani kis liye hai sabhi kirdaar apnaa kaam puuraa kar chuke hain to aakhir naa-mukammal ye kahaani kis liye hai"
lamha-e-talkhi-e-guftaar talak le aayaa — Ashfaq Husain
"lamha-e-talkhi-e-guftaar talak le aayaa vo mujhe apne hi meaar talak le aayaa kyaa rakhe us se koi silsila-e-guft-o-shunid ghar ki baaton ko jo baazaar talak le aayaa main ne jo baat bharose pe kahi thi us se vo use surkhi-e-akhbaar talak le aayaa ghar mein jab kuchh na bachaa us ki iaanat ke liye main uThaa kar dar-o-divaar talak le aayaa us ki aankhon mein ajab sehr thaa main jis ke sabab dil ki baatein lab-e-izhaar talak le aayaa vo jo qaail hi na thaa meri mohabbat kaa use rafta rafta had-e-iqraar talak le aayaa mere har jhuuT ko duniyaa ne saraahaa lekin ek sach marhala-e-daar talak le aayaa"
لمحۂ تلخیٔ گفتار تلک لے آیا وہ مجھے اپنے ہی معیار تلک لے آیا کیا رکھے اس سے کوئی سلسلۂ گفت و شنید گھر کی باتوں کو جو بازار تلک لے آیا میں نے جو بات بھروسے پہ کہی تھی اس سے وہ اسے سرخیٔ اخبار تلک لے آیا گھر میں جب کچھ نہ بچا اس کی اعانت کے لیے میں اٹھا کر در و دیوار تلک لے آیا اس کی آنکھوں میں عجب سحر تھا میں جس کے سبب دل کی باتیں لب اظہار تلک لے آیا وہ جو قائل ہی نہ تھا میری محبت کا اسے رفتہ رفتہ حد اقرار تلک لے آیا میرے ہر جھوٹ کو دنیا نے سراہا لیکن ایک سچ مرحلۂ دار تلک لے آیا
लम्हा-ए-तल्ख़ी-ए-गुफ़्तार तलक ले आया वो मुझे अपने ही मेआ'र तलक ले आया क्या रखे उस से कोई सिलसिला-ए-गुफ़्त-ओ-शुनीद घर की बातों को जो बाज़ार तलक ले आया मैं ने जो बात भरोसे पे कही थी उस से वो उसे सुर्ख़ी-ए-अख़बार तलक ले आया घर में जब कुछ न बचा उस की इआनत के लिए मैं उठा कर दर-ओ-दीवार तलक ले आया उस की आँखों में अजब सेहर था मैं जिस के सबब दिल की बातें लब-ए-इज़हार तलक ले आया वो जो क़ाइल ही न था मेरी मोहब्बत का उसे रफ़्ता रफ़्ता हद-ए-इक़रार तलक ले आया मेरे हर झूट को दुनिया ने सराहा लेकिन एक सच मरहला-ए-दार तलक ले आया

More by Ashfaq Husain
View all →"sukun-e-dil ki khaatir ik sahaaraa DhunDte hain jo gardish mein nahin hai vo sitaaraa DhunDte hain abhi to tujh se vaabasta hain pichhle zakhm saare shab-e-rafta tujhe ham kyuun dobaaraa DhunDte hain koi ghar hi nahin to be-ghari kaa zakhm kaisaa sukunat ke liye ik istiaaraa DhunDte hain zamin achchhi lagi hai aasmaan par jaa ke ham ko kahaan hai is zamin par ghar hamaaraa DhunDte hain ye dariyaa zindagi kaa paar kaise ho ki jab ham kinaare par khaDe hain aur kinaara DhunDte hain hamaari khvaahish-e-be-khvaahishi jo raakh kar de ham apni shakhsiyat mein vo sharaara DhunDte hain kisi mahtaab ko qadmon mein le aane se pahle ham un aankhon kaa halkaa saa ishaara DhunDte hain"
"dil ik nai duniyaa-e-maaani se milaa hai ye phal bhi hamein naql-e-makaani se milaa hai jo naam kabhi naqsh thaa dil par vo nahin yaad ab us kaa pataa yaad-dahaani se milaa hai ye dard ki dahliz pe sar phoDti duniyaa is kaa bhi siraa meri kahaani se milaa hai khoe hue logon kaa suraagh ahl-e-safar ko jalte hue khemon ki nishaani se milaa hai khaatir mein kisi ko bhi na laane kaa ye andaaz biphri hui maujon ki ravaani se milaa hai lafzon mein har ik ranj samone kaa qarina us aankh mein Thahre hue paani se milaa hai ye subh ki aaghosh mein khiltaa huaa manzar ik silsila-e-shab ki giraani se milaa hai"
"kahin bhi jaa ke baseraa karein udhar hi ke hain hamaare saare havaale hamaare ghar hi ke hain hamaari saans talak hi hamaaraa virsa hai hamaare khvaab bhi aankhon mein raat bhar hi ke hain main in se TuuT ke kartaa huun pyaar kyuun na karun ye saare phuul ye patte mire shajar hi ke hain vo jis ko chaahe banaa de kalaam-e-fan ki misaal tamaam moajize us dast-e-kuza-gar hi ke hain tiri nazar se tire dil tak aane jaane mein jo faasle hain vo lagtaa hai umr bhar hi ke hain karun to kaise karun main tiri gali mein qayaam mire to jo bhi sitaare hain vo safar hi ke hain"
"dil ajnabi des mein lagaa hai aandhi se diye kaa raabta hai TuuTe hue log hain salaamat ye naql-e-makaani kaa moajaza hai koi bhi nahin yahaan pe aazaad dhokaa ye faqat nigaah kaa hai main jis mein nahin huun aur vahin huun vo ghar miri raah dekhtaa hai baDh jaaeingi aur uljhanein kuchh lauT aane se faaeda bhi kyaa hai jab DhunD liyaa use to jaanaa meraa hi vajud kho chukaa hai 'ashfaaq' har ek lamha-e-zist jiine kaa khiraaj maangtaa hai"
"soch ki mauj-e-ravaan le ke kidhar aai hai ye samundar kaa kinaara hai ki gahraai hai kaun hai jis ne hilaa Daalaa miraa saaraa vajud meri aavaaz kis aavaaz se Takraai hai shohratein had se guzar jaaein to ye dhyaan rahe mausam-e-naamvari mausam-e-rusvaai hai apne atraaf bahut bhiiD ke hote hue bhi main jahaan huun vahaan tanhaai hi tanhaai hai us ke phaldaar darakhton pe na patthar pheinko ye mire ghar ki nahin dard ki angnaai hai vo jo chup-chaap hai us ko nazar-andaaz na kar khaamushi asl mein sarmaaya-e-daanaai hai"
More on Dil
View all →"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"