"rah-e-yaqin pe gumaan kaa ghubaar aataa hai jab us ko paar karo tab qaraar aataa hai tamaam bhiiD chalaati hai ik khudaa se hi kaam kisi kisi ke sahife mein yaar aataa hai 'ajab nahin hai jo donon hi ho gae patthar use bhi meri tarah intizaar aataa hai tiri pasand hi meri pasand hai shaayad kabhi kabhi mujhe mujh par bhi pyaar aataa hai dayaar-e-sina-e-khaali se khauf mat khaao yahaan pe dekhnaa parvardigaar aataa hai main garm-o-sard mein uljhaa huun mausam-e-dil ke go baarishon kaa mujhe ishtihaar aataa hai"
log kahte hain ik sadaa huun main — Nivesh Sahu
"log kahte hain ik sadaa huun main khair khud hi mein gunjtaa huun main aankh jaise kai daricha hai aur andar se jhaanktaa huun main tu ne chaahaa thaa gher le mujh ko dekh baahon mein aa gayaa huun main apne saae se puchh letaa huun kyaa tire saath chal rahaa huun main teri baaton mein ho gayaa huun gum apni aavaaz kho chukaa huun main is kinaare se us kinaare tak apni manzil ko taaktaa huun main us se ab kyaa shikaayatein hon asar jis se fariyaad kar rahaa huun main"
لوگ کہتے ہیں اک صدا ہوں میں خیر خود ہی میں گونجتا ہوں میں آنکھ جیسے کئی دریچہ ہے اور اندر سے جھانکتا ہوں میں تو نے چاہا تھا گھیر لے مجھ کو دیکھ باہوں میں آ گیا ہوں میں اپنے سائے سے پوچھ لیتا ہوں کیا ترے ساتھ چل رہا ہوں میں تیری باتوں میں ہو گیا ہوں گم اپنی آواز کھو چکا ہوں میں اس کنارے سے اس کنارے تک اپنی منزل کو تاکتا ہوں میں اس سے اب کیا شکایتیں ہوں اثر جس سے فریاد کر رہا ہوں میں
लोग कहते हैं इक सदा हूँ मैं ख़ैर ख़ुद ही में गूँजता हूँ मैं आँख जैसे कई दरीचा है और अंदर से झाँकता हूँ मैं तू ने चाहा था घेर ले मुझ को देख बाहोँ में आ गया हूँ मैं अपने साए से पूछ लेता हूँ क्या तिरे साथ चल रहा हूँ मैं तेरी बातों में हो गया हूँ गुम अपनी आवाज़ खो चुका हूँ मैं इस किनारे से उस किनारे तक अपनी मंज़िल को ताकता हूँ मैं उस से अब क्या शिकायतें हों असर जिस से फ़रियाद कर रहा हूँ मैं

More by Nivesh Sahu
View all →"vo rang-o-bu vo khaal-o-khad nahin rahaa ki ab vo phuul mustanad nahin rahaa sukhanvari kaa zo'm khaa gayaa hamein kisi kaa she'r bhi sanad nahin rahaa hameshgi na tum mein thi na ham mein thi hamaaraa pyaar taa-abad nahin rahaa yahaan hain ham nigaah to jhukaaiye jo thaa hamaaraa ab vo qad nahin rahaa havas ke pankh lag gae junun ko tiraa khayaal taa-ba-had nahin rahaa ye dil bhi ab dimaagh ho gayaa 'asar' kamaal hai ye be-khirad nahin rahaa"
"sunsaan bastiyon ki taraf dekhte raho shahron se jangalon ki taraf dekhte raho sukhi paDi nadi ko kabhi paar mat karo saahil se saahilon ki taraf dekhte raho khvaahish baraah-e-raast usi ik badan se hai khvaahish se khvaahishon ki taraf dekhte raho kuchh khaas ahl-e-fan ko manaazir dikhaao aur phir 'aam manzaron ki taraf dekhte raho ye dekhte raho ki koi dekhtaa bhi hai un dekhte huon ki taraf dekhte raho vo chaand hi bhale ki jinhein chhu sako 'asar' tum us ki baaliyon ki taraf dekhte raho"
"is dukh kaa tamannaai banaataa na use main ai kaash kabhi dil se lagaataa na use main ham 'ishq se puure nahin hote the vagarna duniyaa vo kabhi mujh ko dikhaataa na use main takhliq yahaan baa'is-e-takmil-e-khalaa hai varna na khudaa mujh ko banaataa na use main bas qurb se bujhti hai kahaan aag badan ki sote hue varna to jagaataa na use main donon hi sukhan-fahm hain donon ko hai ye mauj yuun hi vo ghazal mujh ko sunaataa na use main be-vajh tavaqqo' hi nahin rahti kisi se bhaati na kabhi vo mujhe bhaataa na use main"
"zindagi mein rang bharte khair-o-shar achchhe lage mujh ko is shaakh-e-junun ke sab samar achchhe lage vaqt ki raftaar se takraar mein thaa ik khalaa aur is takraar se ham be-khabar achchhe lage hijr ho yaa vasl sab khaayaa piyaa aur niind li saare mausam apne apne vaqt par achchhe lage aataa jaataa ruuh kaa mehmaan mujhe achchhaa lagaa aur use mujh-jism ke divaar-o-dar achchhe lage manzilein achchhi lagin to raastaa achchhaa lagaa raastaa achchhaa lagaa to ham-safar achchhe lage us gali ke moD par ik nursery thi phuul the mujh ko us tak le ke jaate raahbar achchhe lage aap ko meraa hunar achchhaa lagaa ho yaa nahin mujh ko sab achchhaa lagaa sab ke hunar achchhe lage"
"ik ranj-e-dil ke jis se sivaa chaahtaa nahin kuchh bhi ho phir main us ki jagah chaahtaa nahin us ko bhi main talab huun magar mujh se kuchh judaa koi bhi mujh ko meri tarah chaahtaa nahin uktaa chukaa huun ruuh ki laa-faaniyat se par vo jism huun ke raah-e-fanaa chaahtaa nahin koi bhi tere zakhm si taasir kaise de lekin main us kaa aur maza chaahtaa nahin is baar tu mile to tujhe chumnaa bhi hai main zindagi mein aur gila chaahtaa nahin har laa-davaa maraz ko duaaon se hai umiid teraa koi mariz davaa chaahtaa nahin maanaa ki ahd-e-vasl kaa bhi paas hai magar aakhir vo kaise ho jo khudaa chaahtaa nahin"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"