"vo dost thaa to usi ko adu bhi honaa thaa lahu pahan ke mujhe surkh-ru bhi honaa thaa sunahri haath mein taaza lahu ki fasl na di ki apne haq ke liye jang-ju bhi honaa thaa bagula ban ke samundar mein khaak uDaanaa thi ki lahar lahar mujhe tund-khu bhi honaa thaa mire hi harf dikhaate the meri shakl mujhe ye ishtihaar mire ru-ba-ru bhi honaa thaa kashish thi phuul si is mein to laa-muhaala mujhe asir-e-rang giraftaar-e-bu bhi honaa thaa sazaa to milnaa thi mujh ko barahna lafzon ki zabaan ke saath labon ko rafu bhi honaa thaa safar kaa bojh uThaane se peshtar 'saajid' mizaaj-daan-e-rah-e-justuju bhi honaa thaa"
main isi soch mein rahtaa huun kidhar jaati hai — Hadi Mustafabadi
"main isi soch mein rahtaa huun kidhar jaati hai teri khushbu jo mujhe chhu ke guzar jaati hai khat ke badle unhein kuchh phuul pahunch jaate hain meri tahrir ba-alfaaz-e-digar jaati hai mujh ko aavaara-nigaahi kaa tu ilzaam na de tere dhoke mein hasinon pe nazar jaati hai iztiraab-e-nigah-e-shauq pe aati hai hansi tere hote jo nazar jaanib-e-dar jaati hai the to ghusse mein magar hans bhi diye hain aise fasl-e-gul jaate hue jaise Thahar jaati hai main jise kahne ko bechain huun un se 'haadi' jaane kyon dhyaan se vo baat utar jaati hai"
میں اسی سوچ میں رہتا ہوں کدھر جاتی ہے تیری خوشبو جو مجھے چھو کے گزر جاتی ہے خط کے بدلے انہیں کچھ پھول پہنچ جاتے ہیں میری تحریر بہ الفاظ دگر جاتی ہے مجھ کو آوارہ نگاہی کا تو الزام نہ دے تیرے دھوکے میں حسینوں پہ نظر جاتی ہے اضطراب نگہ شوق پہ آتی ہے ہنسی تیرے ہوتے جو نظر جانب در جاتی ہے تھے تو غصے میں مگر ہنس بھی دئے ہیں ایسے فصل گل جاتے ہوئے جیسے ٹھہر جاتی ہے میں جسے کہنے کو بے چین ہوں ان سے ہادیؔ جانے کیوں دھیان سے وہ بات اتر جاتی ہے
मैं इसी सोच में रहता हूँ किधर जाती है तेरी ख़ुशबू जो मुझे छू के गुज़र जाती है ख़त के बदले उन्हें कुछ फूल पहुँच जाते हैं मेरी तहरीर ब-अल्फ़ाज़-ए-दिगर जाती है मुझ को आवारा-निगाही का तू इल्ज़ाम न दे तेरे धोके में हसीनों पे नज़र जाती है इज़्तिराब-ए-निगह-ए-शौक़ पे आती है हँसी तेरे होते जो नज़र जानिब-ए-दर जाती है थे तो ग़ुस्से में मगर हँस भी दिए हैं ऐसे फ़स्ल-ए-गुल जाते हुए जैसे ठहर जाती है मैं जिसे कहने को बेचैन हूँ उन से 'हादी' जाने क्यों ध्यान से वो बात उतर जाती है
More on Gul
View all →"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"saanvli dhuup surmai mausam phir vahi ham hain phir vahi mausam khair ho saaebaan-e-gum-gashta jhelne paD gae kai mausam daastaan-e-tazaad hai goyaa shahr-e-khubaan samundari mausam ham ne apni bayaaz mein likkhe dil pe biite hue sabhi mausam ik ta'alluq hai 'aarzi yaa'ni mausam-e-gul hai 'aarzi mausam dil-figaaron ko kaun samjhaae lauTte kab hain makhmali mausam"