SHAWORDS

main kah rahaa huun sar-e-aam barmalaa baabaa — Ashraf Ali Ashraf

"main kah rahaa huun sar-e-aam barmalaa baabaa gumaan hai bhare mele mein kho gayaa baabaa kaDi hai dhuup tamaazat se paanv jalte hain jo saaebaan saron par thaa kyaa huaa baabaa zaraa si baat pe aankhein barasne lagti hain kahaan se DhunD ke laaungaa hausla baabaa tumhaare baad to lamhe nahin guzarte hain abhi to umr kaa baaqi hai marhala baabaa bas ek umr bachchi hai tumhaari yaad liye ab apne paas bachaa bhi hai aur kyaa baabaa ruki jo saans tumhaari badal gai duniyaa kahaan vo rabt kisi se jo pahle thaa baabaa main tiin pahar se baiThaa huaa huun qabr ke paas ab apne karb sameTo ki main chalaa baabaa agar sataayaa zamaane ne zahr khaa lungaa tumhaaraa beTaa hai 'ashraf' bhi sar-phiraa baabaa"
Urdu

میں کہہ رہا ہوں سر عام برملا بابا گمان ہے بھرے میلے میں کھو گیا بابا کڑی ہے دھوپ تمازت سے پاؤں جلتے ہیں جو سائبان سروں پر تھا کیا ہوا بابا ذرا سی بات پہ آنکھیں برسنے لگتی ہیں کہاں سے ڈھونڈ کے لاؤں گا حوصلہ بابا تمہارے بعد تو لمحے نہیں گزرتے ہیں ابھی تو عمر کا باقی ہے مرحلہ بابا بس ایک عمر بچی ہے تمہاری یاد لیے اب اپنے پاس بچا بھی ہے اور کیا بابا رکی جو سانس تمہاری بدل گئی دنیا کہاں وہ ربط کسی سے جو پہلے تھا بابا میں تین پہر سے بیٹھا ہوا ہوں قبر کے پاس اب اپنے کرب سمیٹو کہ میں چلا بابا اگر ستایا زمانے نے زہر کھا لوں گا تمہارا بیٹا ہے اشرفؔ بھی سر پھرا بابا

Hindi

मैं कह रहा हूँ सर-ए-आम बरमला बाबा गुमान है भरे मेले में खो गया बाबा कड़ी है धूप तमाज़त से पाँव जलते हैं जो साएबान सरों पर था क्या हुआ बाबा ज़रा सी बात पे आँखें बरसने लगती हैं कहाँ से ढूँड के लाऊँगा हौसला बाबा तुम्हारे बा'द तो लम्हे नहीं गुज़रते हैं अभी तो उम्र का बाक़ी है मरहला बाबा बस एक उम्र बच्ची है तुम्हारी याद लिए अब अपने पास बचा भी है और क्या बाबा रुकी जो साँस तुम्हारी बदल गई दुनिया कहाँ वो रब्त किसी से जो पहले था बाबा मैं तीन पहर से बैठा हुआ हूँ क़ब्र के पास अब अपने कर्ब समेटो कि मैं चला बाबा अगर सताया ज़माने ने ज़हर खा लूँगा तुम्हारा बेटा है 'अशरफ़' भी सर-फिरा बाबा

maiñ kah rahā huuñ sar-e-ām barmalā baabā
Ashraf Ali Ashraf
Ashraf Ali Ashraf
Ashraf Ali Ashraf
poet6 quotes

More by Ashraf Ali Ashraf

View all →
Quote
"inqilaabi soch shaair kaa qalam apni jagah aap ki angDaaiyaan zulfon kaa kham apni jagah jaantaa huun main tumhaare baatini kirdaar ko jubba-o-dastaar-e-aali-mohtaram apni jagah ham rahe apni anaa mein kho na badli aap ne aap bhi apni jagah hain aur ham apni jagah aap ki har baat ko taslim farmaayaa gayaa aap ke farmaan ke sab besh-o-kam apni jagah us ke aane ki lagan mein ji rahaa huun is tarah kaan aahaT par lage aTkaa hai dam apni jagah su-e-maqtal jab chalaa 'ashraf' uThaa kar zindagi sar-kashida thaa miri aankhon kaa nam apni jagah"
Ashraf Ali AshrafAshraf Ali Ashraf
Quote
"jo hazrat shaikh farmaaein mohabbat sabhi ko khuub samjhaaein mohabbat zaruri to nahin ham zindagi mein mohabbat kaa samar paaein mohabbat mujhe gheraa huaa hai nafraton ne na daaein hai na hai baaein mohabbat hamaaraa mashvara hai har kisi ko ki nafrat bech kar laaein mohabbat mujhe haathon ko un ke chumnaa hai vo khush hain ki jo jo paaein mohabbat nahin gar laazmi to ikhtiyaari nayaa mazmun rakhvaaein mohabbat vo jis ke gaal pe chhoTaa saa til hai usi laDki ko samjhaaein mohabbat zamin-o-aasmaan ko chhaan maaraa kahaan se DhunD kar laaein mohabbat chalo ham jaa ke dilli mein rahein ab ugaaein pyaar aur khaaein mohabbat"
Ashraf Ali AshrafAshraf Ali Ashraf
Quote
"kisi khataa se hamein inhiraaf thoDi hai hamaaraa khud se koi ikhtilaaf thoDi hai basaaraton ke alam-daar hain yahaan kuchh log har ik nazar pe andheraa ghilaaf thoDi hai kabhi to ham bhi tumhaaraa suraagh paa leinge tumhaaraa shahr koi koh-e-qaaf thoDi hai ye aaina tumhein tum saa dikhaa nahin saktaa agarche saaf hai utnaa bhi saaf thoDi hai zabaan-e-khalq ko naqqaara-e-khudaa samjho ye jaante hain sabhi inkishaaf thoDi hai zamin kaa ghaav hai miTTi se bhar hi jaaegaa hamaare dil ki tarah kaa shigaaf thoDi hai ham ehtijaaj bapaa kar rahe hain apne khilaaf hamaaraa shahr hamaare khilaaf thoDi hai isi liye to nahaataa hai baarishon mein vajud hai aabdida magar e'tiraaf thoDi hai"
Ashraf Ali AshrafAshraf Ali Ashraf
Quote
"hai aaine ke muqaabil jo hu-ba-hu kyaa hai ye meraa ruup nahin hai to jalva-ru kyaa hai mire badan ki ragon mein sharaab ki surat jo sar paTaktaa guzartaa hai ju-ba-ju kyaa hai munaafarat ke khasaare mein khush-khiraam rahe sarisht-e-aadam-e-khaaki mein khu-ba-khu kyaa hai magan hai aur kisi soch mein miraa vijdaan main apne aap se makhfi huaa huun tu kyaa hai hatak hai baada-kashon ki baDhaaein dast-e-sharaab nazar se uTh nahin paae to phir subu kyaa hai hamein to koi tafarruq nazar nahin aataa saraab-e-mehr-e-tamannaa yaa maah-ru kyaa hai tumhaaraa naam hai 'ashraf' sukhan-taraaz magar tumhin kaho ki ye andaaz-e-guftugu kyaa hai"
Ashraf Ali AshrafAshraf Ali Ashraf

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer