"inqilaabi soch shaair kaa qalam apni jagah aap ki angDaaiyaan zulfon kaa kham apni jagah jaantaa huun main tumhaare baatini kirdaar ko jubba-o-dastaar-e-aali-mohtaram apni jagah ham rahe apni anaa mein kho na badli aap ne aap bhi apni jagah hain aur ham apni jagah aap ki har baat ko taslim farmaayaa gayaa aap ke farmaan ke sab besh-o-kam apni jagah us ke aane ki lagan mein ji rahaa huun is tarah kaan aahaT par lage aTkaa hai dam apni jagah su-e-maqtal jab chalaa 'ashraf' uThaa kar zindagi sar-kashida thaa miri aankhon kaa nam apni jagah"
jo hazrat shaikh farmaaein mohabbat — Ashraf Ali Ashraf
"jo hazrat shaikh farmaaein mohabbat sabhi ko khuub samjhaaein mohabbat zaruri to nahin ham zindagi mein mohabbat kaa samar paaein mohabbat mujhe gheraa huaa hai nafraton ne na daaein hai na hai baaein mohabbat hamaaraa mashvara hai har kisi ko ki nafrat bech kar laaein mohabbat mujhe haathon ko un ke chumnaa hai vo khush hain ki jo jo paaein mohabbat nahin gar laazmi to ikhtiyaari nayaa mazmun rakhvaaein mohabbat vo jis ke gaal pe chhoTaa saa til hai usi laDki ko samjhaaein mohabbat zamin-o-aasmaan ko chhaan maaraa kahaan se DhunD kar laaein mohabbat chalo ham jaa ke dilli mein rahein ab ugaaein pyaar aur khaaein mohabbat"
جو حضرت شیخ فرمائیں محبت سبھی کو خوب سمجھائیں محبت ضروری تو نہیں ہم زندگی میں محبت کا ثمر پائیں محبت مجھے گھیرا ہوا ہے نفرتوں نے نہ دائیں ہے نہ ہے بائیں محبت ہمارا مشورہ ہے ہر کسی کو کہ نفرت بیچ کر لائیں محبت مجھے ہاتھوں کو ان کے چومنا ہے وہ خوش ہیں کہ جو جو پائیں محبت نہیں گر لازمی تو اختیاری نیا مضمون رکھوائیں محبت وہ جس کے گال پہ چھوٹا سا تل ہے اسی لڑکی کو سمجھائیں محبت زمین و آسماں کو چھان مارا کہاں سے ڈھونڈ کر لائیں محبت چلو ہم جا کے دلی میں رہیں اب اگائیں پیار اور کھائیں محبت
जो हज़रत शैख़ फ़रमाएँ मोहब्बत सभी को ख़ूब समझाएँ मोहब्बत ज़रूरी तो नहीं हम ज़िंदगी में मोहब्बत का समर पाएँ मोहब्बत मुझे घेरा हुआ है नफ़रतों ने न दाएँ है न है बाएँ मोहब्बत हमारा मशवरा है हर किसी को कि नफ़रत बेच कर लाएँ मोहब्बत मुझे हाथों को उन के चूमना है वो ख़ुश हैं कि जो जो पाएँ मोहब्बत नहीं गर लाज़मी तो इख़्तियारी नया मज़मून रखवाएँ मोहब्बत वो जिस के गाल पे छोटा सा तिल है उसी लड़की को समझाएँ मोहब्बत ज़मीन-ओ-आसमाँ को छान मारा कहाँ से ढूँढ़ कर लाएँ मोहब्बत चलो हम जा के दिल्ली में रहें अब उगाएँ प्यार और खाएँ मोहब्बत

More by Ashraf Ali Ashraf
View all →"kisi khataa se hamein inhiraaf thoDi hai hamaaraa khud se koi ikhtilaaf thoDi hai basaaraton ke alam-daar hain yahaan kuchh log har ik nazar pe andheraa ghilaaf thoDi hai kabhi to ham bhi tumhaaraa suraagh paa leinge tumhaaraa shahr koi koh-e-qaaf thoDi hai ye aaina tumhein tum saa dikhaa nahin saktaa agarche saaf hai utnaa bhi saaf thoDi hai zabaan-e-khalq ko naqqaara-e-khudaa samjho ye jaante hain sabhi inkishaaf thoDi hai zamin kaa ghaav hai miTTi se bhar hi jaaegaa hamaare dil ki tarah kaa shigaaf thoDi hai ham ehtijaaj bapaa kar rahe hain apne khilaaf hamaaraa shahr hamaare khilaaf thoDi hai isi liye to nahaataa hai baarishon mein vajud hai aabdida magar e'tiraaf thoDi hai"
"main kah rahaa huun sar-e-aam barmalaa baabaa gumaan hai bhare mele mein kho gayaa baabaa kaDi hai dhuup tamaazat se paanv jalte hain jo saaebaan saron par thaa kyaa huaa baabaa zaraa si baat pe aankhein barasne lagti hain kahaan se DhunD ke laaungaa hausla baabaa tumhaare baad to lamhe nahin guzarte hain abhi to umr kaa baaqi hai marhala baabaa bas ek umr bachchi hai tumhaari yaad liye ab apne paas bachaa bhi hai aur kyaa baabaa ruki jo saans tumhaari badal gai duniyaa kahaan vo rabt kisi se jo pahle thaa baabaa main tiin pahar se baiThaa huaa huun qabr ke paas ab apne karb sameTo ki main chalaa baabaa agar sataayaa zamaane ne zahr khaa lungaa tumhaaraa beTaa hai 'ashraf' bhi sar-phiraa baabaa"
"ham bhi kuchh kuchh kharaab ho jaaein duur saare hijaab ho jaaein chaand baadal ki oT se nikle gham ye saare naqaab ho jaaein kuchh to apni nazar bhi aavaara kuchh ab vo maahtaab ho jaaein kaun phir un se dil ki baat kahe jab vo aali janaab ho jaaein chhu ke niklein jo tere honTon ko lafz saare gulaab ho jaaein dhaandli kar ke hi sahi lekin ham tiraa intikhaab ho jaaein vo to devi hai husn ki 'ashraf' us ko dekhe savaab ho jaaein"
"hai aaine ke muqaabil jo hu-ba-hu kyaa hai ye meraa ruup nahin hai to jalva-ru kyaa hai mire badan ki ragon mein sharaab ki surat jo sar paTaktaa guzartaa hai ju-ba-ju kyaa hai munaafarat ke khasaare mein khush-khiraam rahe sarisht-e-aadam-e-khaaki mein khu-ba-khu kyaa hai magan hai aur kisi soch mein miraa vijdaan main apne aap se makhfi huaa huun tu kyaa hai hatak hai baada-kashon ki baDhaaein dast-e-sharaab nazar se uTh nahin paae to phir subu kyaa hai hamein to koi tafarruq nazar nahin aataa saraab-e-mehr-e-tamannaa yaa maah-ru kyaa hai tumhaaraa naam hai 'ashraf' sukhan-taraaz magar tumhin kaho ki ye andaaz-e-guftugu kyaa hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"