Quote
"magar in aankhon mein kis subh ke havaale the hamaare naam ke saare huruf kaale the ye khaak-o-baad ye zulmat-o-nur-o-bahr-o-bar kitaab-e-jaan mein ye kis zaat ke havaale the hai rang rang magar aaftaab aaina jabin-e-shab pe to likkhe savaal kaale the misaal-e-barq giri ek aan tegh-e-havaa abhi darichon se logon ne sar nikaale the yahaan jo aaj shajar saaya-daar hai 'muztar' yahin pe ham bhi kabhi barg-o-baar vaale the"
