SHAWORDS

main tere ishq mein khaana-kharaab ho jaaun — Alizey Najaf

HomeAlizey NajafGhazal
"main tere ishq mein khaana-kharaab ho jaaun tiraa sukun tiraa iztiraab ho jaaun tamaam pahlu taghayyur ke meri fitrat hain kabhi sabab to kabhi sadd-e-baab ho jaaun kabhi main gul ki tarah sab ki dastaras mein rahun kabhi pahunch se pare maahtaab ho jaaun kabhi ho shauq-e-gurezaan kabhi ho barham-e-zauq kabhi main maktab-e-dil kaa nisaab ho jaaun main chunti rahti huun ehsaas se gundhe hue lafz duaa karo ki main ahl-e-kitaab ho jaaun"
Urdu

میں تیرے عشق میں خانہ خراب ہو جاؤں ترا سکون ترا اضطراب ہو جاؤں تمام پہلو تغیر کے میری فطرت ہیں کبھی سبب تو کبھی سد باب ہو جاؤں کبھی میں گل کی طرح سب کی دسترس میں رہوں کبھی پہنچ سے پرے ماہتاب ہو جاؤں کبھی ہو شوق گریزاں کبھی ہو برہم ذوق کبھی میں مکتب دل کا نصاب ہو جاؤں میں چنتی رہتی ہوں احساس سے گندھے ہوئے لفظ دعا کرو کہ میں اہل کتاب ہو جاؤں

Hindi

मैं तेरे इश्क़ में ख़ाना-ख़राब हो जाऊँ तिरा सुकून तिरा इज़्तिराब हो जाऊँ तमाम पहलू तग़य्युर के मेरी फ़ितरत हैं कभी सबब तो कभी सद्द-ए-बाब हो जाऊँ कभी मैं गुल की तरह सब की दस्तरस में रहूँ कभी पहुँच से परे माहताब हो जाऊँ कभी हो शौक़-ए-गुरेज़ाँ कभी हो बरहम-ए-ज़ौक़ कभी मैं मकतब-ए-दिल का निसाब हो जाऊँ मैं चुनती रहती हूँ एहसास से गुँधे हुए लफ़्ज़ दुआ करो कि मैं अहल-ए-किताब हो जाऊँ

maiñ tere ishq meñ ḳhāna-ḳharāb ho jā.ūñ
A
Alizey Najaf
Alizey Najaf
poet9 quotes

More by Alizey Najaf

View all →
Quote
"jo log sochte hain vo shaayad nahin huun main baahar nahin huun khud ke hi andar kahin huun main rakhti huun apne paanv zamin par sanbhaal ke main aasmaan se nahin ahl-e-zamin huun main kahte hain log is ko yahaan e'timaad-e-zaat auron ki to khabar nahin khud kaa yaqin huun main ye zarf hi hai jo kare tayin-e-manzilat jo ashk tere ponchh de vo aastin huun main main dast-basta mohr-ba-lab ho ke kyaa kahun is baargaah-e-ishq mein khasta-jabin huun main mehr-o-vafaa khulus hai jis ki fazaaon mein be-shak usi dayaar ki adnaa makin huun main"
A
Alizey Najaf
Quote
"mohabbat kaa taqaaza kyon karein ham haqiqat kaa tamaasha kyon karein ham mohabbat jab ki yak-tarfa nahin hai akele hi guzaara kyon karein ham khalish dil ki baDhaati hain jo baatein unhi kaa phir iaada kyon karein ham ho jab ehsaas kaa izhaar laazim phir us ko istiaara kyon karein ham jo haal-e-zaar se sab kuchh ayaan ho to phir koi ishaara kyon karein ham mohabbat se ibaarat hon sabhi pal kisi kaa goshvaara kyon karein ham sabhi kuchh darmiyaan jab mushtarak hai to meraa aur tumhaaraa kyon karein ham"
A
Alizey Najaf
Quote
"qalb-e-naalaan tiri aahon mein asar hai ki nahin zulmat-e-shab tire pahlu mein sahar hai ki nahin shiddat-e-zabt mein guzri hai tire hijr ki shaam ab tire saath mujhe izn-e-safar hai ki nahin hai dhanak-rang mire jazba-e-dil ki tasvir tujh mein ehsaas koi misl-e-guhar hai ki nahin puchh lenaa kabhi un se ai gharibaan-e-chaman ki mire haal-e-pareshaan ki khabar hai ki nahin kab talak biich mein honge ye pas-o-pesh bataa justuju meri tire pesh-e-nazar hai ki nahin tere dil ko hai abhi uzr-e-mohabbat se gurez fikr mein teri kahin meraa guzar hai ki nahin dil ko hasrat tiri taaid-e-nazar ki hai faqat tere andar kahin tufaan-e-sharar hai ki nahin"
A
Alizey Najaf
Quote
"juz tere mire pesh-e-nazar kuchh bhi nahin hai tu saath ho phir khauf-o-khatar kuchh bhi nahin hai ik kashf-e-mohabbat se badal jaataa hai kyaa kuchh ab taaron ki gardish kaa asar kuchh bhi nahin hai har roz nae pahlu se samjhaa karun tujh ko gum aisi huun ki khud ki khabar kuchh bhi nahin hai khushbu ki tarah an-kahe ehsaas samajh tu hasrat hai bahut kahnaa magar kuchh bhi nahin hai sab kuchh hai tujhi se ai khayaabaan-e-mohabbat bin tere ye aalam ye nagar kuchh bhi nahin hai tu hi gham-e-dauraan mein qarib-e-rag-e-jaan hai maanjhi ho jo tujh saa to bhanvar kuchh bhi nahin hai ik tere hi ehsaas se maanus hai ye dil ehsaas kaa unvaan-e-digar kuchh bhi nahin hai"
A
Alizey Najaf

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari