SHAWORDS

maqaam-e-girya-o-zaari nahin hai — Munazza Sahar

HomeMunazza SaharGhazal
"maqaam-e-girya-o-zaari nahin hai takallum ishq pe bhaari nahin hai ye sochein us se mil kar khil uThi hain koi ilhaam to jaari nahin hai tumhaari muskuraahaT mein chhupi si kahaani hai magar saari nahin hai tire lahje se aksar phuTti thi vo khushbu aaj bhi haari nahin hai sukut-e-shab ki kyaa batlaaein tum ko ki us se shai koi bhaari nahin hai"
Urdu

مقام گریہ و زاری نہیں ہے تکلم عشق پہ بھاری نہیں ہے یہ سوچیں اس سے مل کر کھل اٹھی ہیں کوئی الہام تو جاری نہیں ہے تمہاری مسکراہٹ میں چھپی سی کہانی ہے مگر ساری نہیں ہے ترے لہجے سے اکثر پھوٹتی تھی وہ خوشبو آج بھی ہاری نہیں ہے سکوت شب کی کیا بتلائیں تم کو کہ اس سے شے کوئی بھاری نہیں ہے

Hindi

मक़ाम-ए-गिर्या-ओ-ज़ारी नहीं है तकल्लुम इश्क़ पे भारी नहीं है ये सोचें उस से मिल कर खिल उठी हैं कोई इल्हाम तो जारी नहीं है तुम्हारी मुस्कुराहट में छुपी सी कहानी है मगर सारी नहीं है तिरे लहजे से अक्सर फूटती थी वो ख़ुशबू आज भी हारी नहीं है सुकूत-ए-शब की क्या बतलाएँ तुम को कि उस से शय कोई भारी नहीं है

maqām-e-girya-o-zārī nahīñ hai
Munazza Sahar
Munazza Sahar
Munazza Sahar
poet9 quotes

More by Munazza Sahar

View all →
Quote
"tasavvur kahkashaan hotaa nahin hai to ab mujh se bayaan hotaa nahin hai taDap meri jabin ki baDh gai hai magar tu aastaan hotaa nahin hai miri qismat mein hai jaltaa sitaara bikhar ke jo dhuaan hotaa nahin hai miri saanson mein tu aTkaa huaa hai tabiat mein ravaan hotaa nahin hai khushi ab bhi mujhe hoti hai lekin vo pahlaa saa samaan hotaa nahin hai vo dariyaa hai jahaan ik baar guzre vo rasta be-nishaan hotaa nahin hai main us ke saath chalti jaa rahi huun jo meraa kaarvaan hotaa nahin hai tujhe ashkon mein main kaise bahaa duun tu mujh se raaegaan hotaa nahin hai mire lafzon mein hai zaahir magar tu nigaahon se ayaan hotaa nahin hai"
Munazza SaharMunazza Sahar
Quote
"duniyaa ki aab-o-taab se aage chale gae ham ishq ke azaab se aage chale gae aankhon ne likh liye hain fasaane umiid ke aansu fasil-e-aab se aage chale gae us ne qubuliyat ki sanad jab se di mujhe sab harf is kitaab se aage chale gae jab khushbuon ke dar pe hui raushni to ham gulshan ke har gulaab se aage chale gae khaamoshiyon ki jab se samajhne lage zabaan lafzon ke iztiraab se aage chale gae aankhein chamak uThi hain jo raushan khayaal se divaangi ke khvaab se aage chale gae"
Munazza SaharMunazza Sahar
Quote
"khayaal-e-hijr mein ab jo bhi saaneha hogaa vahi to phir se nayaa ek silsila hogaa kise khabar thi ki is raushni ki chaadar mein hamaaraa ishq mein phulon se raabta hogaa amir-e-shahr ko paighaam mil bhi jaae to gharib-e-shahr kaa koi na aasraa hogaa nae ufuq se gurezaan na ho mire hamdam puraani soch se ab ye na faisla hogaa khudaa kaa shukr duaaein jo rang laai hain likhungi lafz main jo bhi vo barmalaa hogaa suneinge log ye jab bhi miri kahaani ko hisaar-e-zaat ke qaidi kaa maajraa hogaa ajiib haal hai andar ki khalfashaari kaa kise khabar thi ki aisaa ye haadisa hogaa"
Munazza SaharMunazza Sahar
Quote
"dil ki dahliz talak khud ko rasaai degaa miraa lahja mire sheron mein sunaai degaa meraa honaa hai huaa jis ki badaulat mumkin ab vo chehra miri aankhon mein dikhaai degaa main ne aankhon se tujhe duur kiyaa thaa lekin ye na sochaa thaa khudaa aisi judaai degaa aur zarkhez karegaa ye mire lafzon ko hijr yaktaa hai to yaktaa hi kamaai degaa dekh kar dasht ke tevar main yahi sochti huun ishq abhi aur mujhe aabla-paai degaa main ne us dil ko dhaDakne se hai rokaa varna tu samajhtaa hai tujhe koi duhaai degaa"
Munazza SaharMunazza Sahar

More on Ishq

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
N
Naeem Sameer
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"hijaab vaalon se vo be-hijaab ho na sakaa vo saamne thaa magar be-naqaab ho na sakaa vajud-e-khaak kaa insaan khitaab ho na sakaa ye zarra ghair-e-karam aaftaab ho na sakaa karam vo tuur pe ik be-niyaaz-e-jalva par vo be-niyaazi thi jis kaa javaab ho na sakaa uThaa ke parda chhupaa kasrat-e-tajalli mein vo be-naqaab huaa be-naqaab ho na sakaa tamaam umr rahe dekhte hayaat ke khvaab hamaari aankhon mein ye khvaab khvaab ho na sakaa rahi fareb-e-tasavvur ye raftani duniyaa saraab jaise kabhi ju-e-aab ho na sakaa zamir zaahir-o-baatin se ho gayaa aagaah kharaab baada-e-irfaan kharaab ho na sakaa mire karim ne bakhshaa isi bahaane se mire gunaahon kaa jab kuchh hisaab ho na sakaa abhi kami hai tire zauq-e-ishq mein 'aiman' lahu huaa tiraa aansu sharaab ho na sakaa"
A
Aiman Amritsari