"sar pe saudaa savaar karnaa thaa ham ko bhi dasht paar karnaa thaa pahle suraj banaate khud ko tum phir andheron pe vaar karnaa thaa gar hunar the tumhaare haathon mein shoala ko aabshaar karnaa thaa baadalon se yahi gharaz thi hamein apnaa saayaa faraar karnaa thaa hijr mein jaan ganvaane vaale tujhe aur kuchh intizaar karnaa thaa shauq se hi lagaav thaa ham ko shauq hi darkinaar karnaa thaa itni vusat kaa kyaa karegaa vo aasmaan kaa bichaar karnaa thaa maut ki sochte rahe 'saritaa' ziist ko yaadgaar karnaa thaa"
mere andar hai kamraa tirgi kaa — Sarita Jain
"mere andar hai kamraa tirgi kaa daricha koi khole raushni kaa samundar saath hai sadiyon se lekin vahi aalam hai meri tishnagi kaa zaraa si laao khud mein khaaksaari asar phir dekhnaa tum bandagi kaa kisi din dekh kar aankhein tumhaari banaaungi main chehra zindagi kaa mohabbat bas mohabbat bas mohabbat yahi ik falsafa hai zindagi kaa vabaa har din badal leti hai chehra khudaa jaane kyaa hogaa is sadi kaa lage hai ghair si 'saritaa' ko duniyaa ye jaadu hai tiri divaangi kaa"
میرے اندر ہے کمرا تیرگی کا دریچہ کوئی کھولے روشنی کا سمندر ساتھ ہے صدیوں سے لیکن وہی عالم ہے میری تشنگی کا ذرا سی لاؤ خود میں خاکساری اثر پھر دیکھنا تم بندگی کا کسی دن دیکھ کر آنکھیں تمہاری بناؤں گی میں چہرہ زندگی کا محبت بس محبت بس محبت یہی اک فلسفہ ہے زندگی کا وبا ہر دن بدل لیتی ہے چہرہ خدا جانے کیا ہوگا اس صدی کا لگے ہے غیر سی سریتاؔ کو دنیا یہ جادو ہے تری دیوانگی کا
मेरे अंदर है कमरा तीरगी का दरीचा कोई खोले रौशनी का समुंदर साथ है सदियों से लेकिन वही आलम है मेरी तिश्नगी का ज़रा सी लाओ ख़ुद में ख़ाकसारी असर फिर देखना तुम बंदगी का किसी दिन देख कर आँखें तुम्हारी बनाऊँगी मैं चेहरा ज़िंदगी का मोहब्बत बस मोहब्बत बस मोहब्बत यही इक फ़ल्सफ़ा है ज़िंदगी का वबा हर दिन बदल लेती है चेहरा ख़ुदा जाने क्या होगा इस सदी का लगे है ग़ैर सी 'सरीता' को दुनिया ये जादू है तिरी दीवानगी का

More by Sarita Jain
View all →"tu ne koshish zaraa bhi ki hi nahin varna ye naav Dubti hi nahin is mohabbat mein TuTnaa dil kaa farz hotaa hai laazmi hi nahin 'ishq kaa ye dayaar hai saahib hai khudaa bhi yahaan khudi hi nahin kaan kab se lagaae baiThi huun koi bhi aankh bolti hi nahin chaak pe rakkhi rah gai miTTi koi takhliq to hui hi nahin maut panje gaDaae hai apne zindagi mujh ko chhinti hi nahin har musavvir kaa us pe daavaa hai ek tasvir jo bani hi nahin vaqt us ne diyaa hai milne kaa aur mire paas mein ghaDi hi nahin koi 'saritaa' hai is qadar mujh mein us se haT kar ghazal hui hi nahin"
"insaan hon to qaum ke gham-khvaar bhi rahein zinda tamaam logon ke kirdaar bhi rahein sehat agar hai Thiik to bachche na aaeinge maan baap ko ye chaahiye bimaar bhi rahein sab ki qalam se maang hai le aae inqalaab ab raushnaai mein tiri angaar bhi rahein dariyaa mein jo bhi Duube ubarne na paae vo lahron ke saath saath hi manjdhaar bhi rahein jin ko vatan se pyaar hai un se base ye mulk kuchh log kah rahe hain ki ghaddaar bhi rahein haalaanki haadson pe ikaTThaa to hogi bhiiD mumkin kahaan hai in mein madad-gaar bhi rahein 'saritaa' gali gali mein to baazaar saj gae sarkaar chaahti hai kharidaar bhi rahein"
"kahin pe dhuup kahin saaebaan hotaa hai musaafiron kaa yahi imtihaan hotaa hai imaaratein nahin girtin vahaan mohabbat ki bhale hi gaanv mein kachchaa makaan hotaa hai bahut se log to rahte hain ab bhi mahlon mein kisi ke sar pe faqat aasmaan hotaa hai ganvaa ke niind ugaae hain khvaab aankhon mein har ek fasl kaa kuchh to lagaan hotaa hai yaqin ho to miri baat yunhi sun lo tum halaf uThaa ke to jhuTaa bayaan hotaa hai phisalnaa girnaa sanbhalnaa phir uTh ke chal denaa inhin tariqon se bachcha javaan hotaa hai jab apne logon ki nazrein badalti hain 'saritaa' zabaan vaalaa vahin be-zabaan hotaa hai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"