SHAWORDS

mere dil ko is tarah lagtaa tumhaaraa bojh hai — Khan Janbaz

HomeKhan JanbazGhazal
"mere dil ko is tarah lagtaa tumhaaraa bojh hai jis tarah be-nur aankhon ko nazaara bojh hai ham ko kyaa matlab hasin hogi to hogi umr ye ham yatimon ke liye bachpan hamaaraa bojh hai donon kandhe jhuk gae aThra baras ki umr mein mujh akeli jaan par saare kaa saaraa bojh hai aasmaanon par bhi raaij hai zamin jaisaa nizaam dekh uupar aaj-kal koi sitaara bojh hai sar pe phirti hai liye vo apne pahle ishq ko kitni pyaari laDki hai aur kitnaa pyaaraa bojh hai sar pe mere pahle se thiin ghar ki zimmedaariyaan aur ab ye ishq yaaro kitnaa saaraa bojh hai"
Urdu

میرے دل کو اس طرح لگتا تمہارا بوجھ ہے جس طرح بے نور آنکھوں کو نظارہ بوجھ ہے ہم کو کیا مطلب حسیں ہوگی تو ہوگی عمر یہ ہم یتیموں کے لیے بچپن ہمارا بوجھ ہے دونوں کندھے جھک گئے اٹھرہ برس کی عمر میں مجھ اکیلی جان پر سارے کا سارا بوجھ ہے آسمانوں پر بھی رائج ہے زمیں جیسا نظام دیکھ اوپر آج کل کوئی ستارہ بوجھ ہے سر پہ پھرتی ہے لئے وہ اپنے پہلے عشق کو کتنی پیاری لڑکی ہے اور کتنا پیارا بوجھ ہے سر پہ میرے پہلے سے تھیں گھر کی ذمہ داریاں اور اب یہ عشق یارو کتنا سارا بوجھ ہے

Hindi

मेरे दिल को इस तरह लगता तुम्हारा बोझ है जिस तरह बे-नूर आँखों को नज़ारा बोझ है हम को क्या मतलब हसीं होगी तो होगी उम्र ये हम यतीमों के लिए बचपन हमारा बोझ है दोनों कंधे झुक गए अठरा बरस की उम्र में मुझ अकेली जान पर सारे का सारा बोझ है आसमानों पर भी राइज है ज़मीं जैसा निज़ाम देख ऊपर आज-कल कोई सितारा बोझ है सर पे फिरती है लिए वो अपने पहले इश्क़ को कितनी प्यारी लड़की है और कितना प्यारा बोझ है सर पे मेरे पहले से थीं घर की ज़िम्मेदारियाँ और अब ये इश्क़ यारो कितना सारा बोझ है

mere dil ko is tarah lagtā tumhārā bojh hai
Khan Janbaz
Khan Janbaz
Khan Janbaz
poet9 quotes

More by Khan Janbaz

View all →
Quote
"main shakl dekh ke kaise kahun ki kyaa hogaa hasin shakhs hai mumkin hai bevafaa hogaa tumhein khayaal bhi aayaa safar pe jaate hue tumhaare baad hamaaraa yahaan pe kyaa hogaa main jhuuT bol ke aayaa thaa vaapsi kaa jise vo shakhs ab bhi miri raah dekhtaa hogaa ye dosti na kahin pyaar mein badal jaae ab apne darmiyaan thoDaa saa faasla hogaa ye raaz mujh pe khulaa ab ki meraa koi nahin main sochtaa thaa mire saath bhi khudaa hogaa ye shaairi kaa to khud shauq thaa use 'jaanbaaz' haan shaairon se koi masala rahaa hogaa"
Khan JanbazKhan Janbaz
Quote
"mujhe banaane mein sab kaa kharcha lagaa huaa hai kisi kaa lohaa kisi kaa taanbaa lagaa huaa hai nahin hai apnaa koi bhi duniyaa jahaan mein lekin kisi ko khone kaa mujh ko khadsha lagaa huaa hai kabhi thi ThanDi zamin saae se jin ke logo hamaaraa aise shajar se shajara lagaa huaa hai vo shokh laDki hasin chehra kamaal baatein sunaa hai us kaa kisi se rishta lagaa huaa hai mujhe hamesha se batri kah ke hansne vaali tujhe hi takne se mujh ko chashma lagaa huaa hai kisi ki aankhein kisi kaa dil itnaa kah ke 'jaanbaaz' vo puchhtaa hai ki teraa kyaa kyaa lagaa huaa hai"
Khan JanbazKhan Janbaz
Quote
"sayyaad bataa to sahi is jaal mein kyaa hai gar dil nahin meraa to tire baal mein kyaa hai vaise to khud is chaand kaa qaail huun main lekin ik raushni ko chhoD kar is thaal mein kyaa hai majnun hi bataa saktaa hai lailaa ki fazilat yaa sohni se puchh ki mahivaal mein kyaa hai main hashr ke maidaan mein kah dungaa mohabbat puchhegaa khudaa jab tire aamaal mein kyaa hai ji kartaa hai un ko tiri tasvir dikhaa duun jo puchhte hain mujh se ki bangaal mein kyaa hai allaah banaa de mire ashkon ko kabutar sab puchh rahe hain tire rumaal mein kyaa hai"
Khan JanbazKhan Janbaz
Quote
"tu saamne hai par tiri ab bhi kami hai dost dariyaa ke paas hote hue tishnagi hai dost duniyaa se jaa rahaa huun kisi ki talab liye vaise ye zindagi baDi achchhi kaTi hai dost ye falsafe lapeT ke tum jeb mein rakho main khuub jaantaa huun mohabbat buri hai dost ab to bataa ki kyaa hai ye tere khayaal mein jitnaa main jaantaa huun mohabbat yahi hai dost aisaa nahin ki aankh mein aansu bache faqat in aansuon ke saath mein ik khvaab bhi hai dost sach-much to koi toD ke laataa nahin hai chaand ye shaairi hai aur faqat shaairi hai dost paane ki zid na koi bichhaDne kaa khauf hai achchhaa hai tujh se ishq nahin dosti hai dost"
Khan JanbazKhan Janbaz

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil