SHAWORDS

mere ghar se us ki yaadon ke makin jaate nahin — Abdul Mannan Samadi

"mere ghar se us ki yaadon ke makin jaate nahin chhoD kar jaise shajar apni zamin jaate nahin tere dar se hi milegaa jo bhi miltaa hai hamein ham tire dar ke alaava ab kahin jaate nahin tujh ko dekhe ik zamaana ho gayaa par kyaa kahin aaj bhi dil se tire naqsh-e-hasin jaate nahin gham diye hain zindagi ne gham se maayusi nahin chhoD kar ab zindagi ko ham kahin jaate nahin uDte phirte hain khalaaon mein sahaabon ki tarah ye vo naale hain ki jo zer-e-zamin jaate nahin"
Urdu

میرے گھر سے اس کی یادوں کے مکیں جاتے نہیں چھوڑ کر جیسے شجر اپنی زمیں جاتے نہیں تیرے در سے ہی ملے گا جو بھی ملتا ہے ہمیں ہم ترے در کے علاوہ اب کہیں جاتے نہیں تجھ کو دیکھے اک زمانہ ہو گیا پر کیا کہیں آج بھی دل سے ترے نقش حسیں جاتے نہیں غم دیے ہیں زندگی نے غم سے مایوسی نہیں چھوڑ کر اب زندگی کو ہم کہیں جاتے نہیں اڑتے پھرتے ہیں خلاؤں میں سحابوں کی طرح یہ وہ نالے ہیں کہ جو زیر زمیں جاتے نہیں

Hindi

मेरे घर से उस की यादों के मकीं जाते नहीं छोड़ कर जैसे शजर अपनी ज़मीं जाते नहीं तेरे दर से ही मिलेगा जो भी मिलता है हमें हम तिरे दर के अलावा अब कहीं जाते नहीं तुझ को देखे इक ज़माना हो गया पर क्या कहीं आज भी दिल से तिरे नक़्श-ए-हसीं जाते नहीं ग़म दिए हैं ज़िंदगी ने ग़म से मायूसी नहीं छोड़ कर अब ज़िंदगी को हम कहीं जाते नहीं उड़ते फिरते हैं ख़लाओं में सहाबों की तरह ये वो नाले हैं कि जो ज़ेर-ए-ज़मीं जाते नहीं

mere ghar se us kī yādoñ ke makīñ jaate nahīñ
Abdul Mannan Samadi
Abdul Mannan Samadi
Abdul Mannan Samadi
poet25 quotes

More by Abdul Mannan Samadi

View all →
Quote
"kaise ruk saktaa thaa jo kaar-e-ziyaan hone ko thaa yaani sab kuchh tai-shuda thaa jo yahaan hone ko thaa kuchh badan ke the taqaaze kuchh sharaarat dil ki thi aaj lekin ishq apnaa jaavedaan hone ko thaa haan vahi jo shakhs mujh se bughz rakhtaa hai bahut raat meri zaat par vo meherbaan hone ko thaa main ne hi alfaaz mein us ko muqayyad kar liyaa varna vo lamha to kal hi raaegaan hone ko thaa main ne kal ishkaal saare khatm us ke kar diye varna meri zaat se vo bad-gumaan hone ko thaa"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"kisi ke chhuT jaane kaa use kyon gham nahin hotaa tiraa dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hotaa parinde gungunaate hain tumhaare shahr mein lekin hamaare shahr kaa aisaa kabhi mausam nahin hotaa ba-zaahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai magar phir bhi mire ghar kaa andheraa kam nahin hotaa khudaa se gar tujhe maangaa nahin hotaa du'aaon mein tujhe khone kaa phir ham ko zaraa bhi gham nahin hotaa nigaahon ne hamaari ek manzar vo bhi dekhaa hai jahaan apnon ke marne kaa koi maatam nahin hotaa"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"haqiqat mein mare hain kuchh kahaani mein mare hain magar sab khvaab ulfat ke javaani mein mare hain parinde sab nahin zindaan mein maare gae hain qafas mein kuchh to kuchh naql-e-makaani mein mare hain mili hai maut kuchh khaamosh rahne ke sabab bhi magar kuchh log to shoala-bayaani mein mare hain jahaan kuchh log meri bad-zabaani se pareshaan vahin kuchh log meri be-zabaani mein mare hain hamaari tum faqat aatish-bayaani se khafaa ho magar ham to tumhaari bad-gumaani mein mare hain"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"khabar kuchh nahin mujh ko miraa anjaam kyaa hogaa vahi hogaa jo haathon ki lakiron mein likhaa hogaa tamaashaa jo dikhaanaa thaa vahi sab ko dikhaa aae nahin is se gharaz koi kisi ne kyaa kahaa hogaa ik aisaa vaqt bhi aaegaa is daur-e-ta'alluq mein hamaare aur us ke darmiyaan ik faasla hogaa abhi se dhuup ki shiddat se khaaif hain jahaan vaale savaa-neze pe jis din aa gayaa suraj to kyaa hogaa suno ab harf-giri kaa nahin hai faaeda kuchh bhi ki jo tum ne kahaa hogaa vahi ham ne sunaa hogaa"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb