SHAWORDS

lab tire laal-e-naab hain donon — Meer Taqi Meer

HomeMeer Taqi MeerGhazal
"lab tire laal-e-naab hain donon par tamaami itaab hain donon ronaa aankhon kaa roiye kab tak phuTne hi ke baab hain donon hai takalluf naqaab ve rukhsaar kyaa chhupein aaftaab hain donon tan ke maamure mein yahi dil-o-chashm ghar the do so kharaab hain donon kuchh na puchho ki aatish-e-gham se jigar-o-dil kabaab hain donon sau jagah us ki aankhein paDti hain jaise mast-e-sharaab hain donon paanv mein vo nasha talab kaa nahin ab to sarmast-e-khvaab hain donon ek sab aag ek sab paani dida-o-dil azaab hain donon bahs kaahe ko laal-o-marjaan se us ke lab hi javaab hain donon aage dariyaa the dida-e-tar 'mir' ab jo dekho saraab hain donon"
Meer Taqi Meer
Meer Taqi Meer
Meer Taqi Meer
poet309 quotes

More by Meer Taqi Meer

View all →
Quote
"misaal-e-saaya mohabbat mein jaal apnaa huun tumhaare saath giraftaar-e-haal apnaa huun sarishk-e-surkh ko jaataa huun jo piye har-dam lahu kaa pyaasaa alal-ittisaal apnaa huun agarche nashsha huun sab mein khum-e-jahaan mein lek ba-rang-e-mai araq-e-infiaal apnaa huun miri numud ne mujh ko kiyaa baraabar khaak main naqsh-e-paa ki tarah paaemaal apnaa huun hui hai zindagi dushvaar mushkil aasaan kar phirun chalun to huun par main vabaal apnaa huun tiraa hai vahm ki ye naa-tavaan hai jaame mein vagarna main nahin ab ik khayaal apnaa huun balaa hui hai miri go kaa tab-e-raushan 'mir' huun aaftaab va-lekin zavaal apnaa huun"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"kyaa main bhi pareshaani-e-khaatir se qarin thaa aankhein to kahin thiin dil-e-gham-dida kahin thaa kis raat nazar ki hai su-e-chashmak-e-anjum aankhon ke tale apne to vo maah-jabin thaa aayaa to sahi vo koi dam ke liye lekin honTon pe mire jab nafas-e-baaz-pusin thaa ab koft se hijraan ki jahaan tan pe rakhaa haath jo dard-o-alam thaa so kahe tu ki vahin thaa jaanaa nahin kuchh juz ghazal aa kar ke jahaan mein kal mere tasarruf mein yahi qit'a zamin thaa naam aaj koi yaan nahin letaa hai unhon kaa jin logon ke kal mulk ye sab zer-e-nagin thaa masjid mein imaam aaj huaa aa ke vahaan se kal tak to yahi 'mir' kharaabaat-nashin thaa"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"shauq hai to hai us kaa ghar nazdik duri-e-rah hai raahbar nazdik aah karne mein dam ko saadhe rah kahte hain dil se hai jigar nazdik duur vaalon ko bhi na pahunche ham yahi na tum se hain magar nazdik Dubein dariyaa-o-koh-o-shahr-o-dasht tujh se sab kuchh hai chashm-e-tar nazdik harf duuri hai garche inshaa lek diijo khat jaa ke naama-bar nazdik duur ab baiThte hain majlis mein ham jo tum se the beshtar nazdik khabar aati hai so bhi duur se yaan aao yak-baar be-khabar nazdik tosha-e-aakhirat kaa fikr rahe ji se jaane kaa hai safar nazdik daur phirne kaa ham se vaqt gayaa puchh kuchh haal baiTh kar nazdik mar bhi rah 'mir' shab bahut royaa hai miri jaan ab sahar nazdik"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"dil ke maamure ki mat kar fikr fursat chaahiye aise viraane ke ab basne ko muddat chaahiye ishq-o-mai-khvaari nibhe hai koi darveshi ke biich is tarah ke kharj-e-laa-haasil ko daulat chaahiye 'aaqibat farhaad mar kar kaam apnaa kar gayaa aadmi hove kisi peshe mein jurat chaahiye ho taraf mujh pahlvaan shaa'ir kaa kab 'aajiz sukhan saamne hone ko saahab fan ke qudrat chaahiye 'ishq mein vasl-o-judaai se nahin kuchh guftugu qurb-o-buad us jaa baraabar hai mohabbat chaahiye naazuki ko 'ishq mein kyaa dakhl hai ai bul-havas yaan sa'ubat khinchne ko ji mein taaqat chaahiye tang mat ho ibtidaa-e-aashiqi mein is qadar khairiyat hai 'mir' saahib dil salaamat chaahiye"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"lakht-e-jigar to apne yak-lakht ro chukaa thaa ashk-e-faqat kaa jhamkaa aankhon se lag rahaa thaa daaman mein aaj dekhaa phir lakht main le aayaa TukDaa koi jigar kaa palkon mein rah gayaa thaa us qaid-e-jeb se main chhoTaa junun ki daulat varna galaa ye meraa juun tauq mein phansaa thaa musht-e-namak ki khaatir is vaaste huun hairaan kal zakhm-e-dil nihaayat dil ko mire lagaa thaa ai gard-baad mat de har aan arz-e-vahshat main bhi kasu zamaane is kaam mein balaa thaa bin kuchh kahe sunaa hai aalam se main ne kyaa kyaa par tu ne yuun na jaanaa ai bevafaa ki kyaa thaa roti hai shama itnaa har shab ki kuchh na puchho main soz-e-dil ko apne majlis mein kyuun kahaa thaa shab zakhm-e-sina uupar chhiDkaa thaa main namak ko naasur to kahaan thaa zaalim baDaa maza thaa sar maar kar huaa thaa main khaak us gali mein siine pe mujh ko us kaa mazkur naqsh-e-paa thaa so bakht-e-tira se huun paamaali-e-sabaa mein us din ke vaaste main kyaa khaak mein milaa thaa ye sar-guzasht meri afsaana jo hui hai mazkur us kaa us ke kuche mein jaa-ba-jaa thaa sun kar kisi se vo bhi kahne lagaa thaa kuchh kuchh be-dard kitne bole haan us ko kyaa huaa thaa kahne lagaa ki jaane meri balaa azizaan ahvaal thaa kisi kaa kuchh main bhi sun liyaa thaa aankhein miri khulin jab ji 'mir' kaa gayaa tab dekhe se us ko varna meraa bhi ji jalaa thaa"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"kahaan tak ghair jaasusi ke lene ko lagaa aave ilaahi is balaa-e-naa-gahaan par bhi balaa aave rukaa jaataa hai ji andar hi andar aaj garmi se balaa se chaak hi ho jaave siina Tuk havaa aave tiraa aanaa hi ab markuz hai ham ko dam-e-aakhir ye ji sadqe kiyaa thaa phir na aave tan mein yaa aave ye rasm-e-aamad-o-raft-e-dayaar-e-ishq taaza hai hansi vo jaae meri aur ronaa yuun chalaa aave asiri ne chaman se meri dil-garmi ko dho Daalaa vagarna barq jaa kar aashiyaan meraa jalaa aave umid-e-rahm un se sakht naa-fahmi hai aashiq ki ye but sangin-dili apni na chhoDein gar khudaa aave ye fann-e-ishq hai aave use tinat mein jis ki ho tu zaahid-e-pir-e-naa-baaligh hai be tah tujh ko kyaa aave hamaare dil mein aane se takalluf gham ko bejaa hai ye daulat-khaana hai us kaa vo jab chaahe chalaa aave ba-rang-e-bu-e-ghuncha umr ik hi rang mein guzre mayassar 'mir'-saahib gar dil be-muddaaa aave"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer

More on Dil

View all →
Quote
"ye tishna-labi hi to hai uslub hamaaraa taalib hain tire ham tu hai matlub hamaaraa qaasid kaa ravayya bhi baDaa ghaur-talab thaa nai le ke gayaa aakhiri maktub hamaaraa kal shaam sar-e-baam dikhaa chaand jo raushan yaadon se tiri dil huaa maa'tub hamaaraa sarkaar jo kah dein hamein manzur vahi hai har qaul muqaddas tiraa maa'yub hamaaraa sab dair-o-haram dekh liye chhaan liye hain miTtaa hi nahin hai miyaan aashob hamaaraa ab takht-nashinon ko paDhaaeinge sabaq ham ab chhin ke leinge haq-e-maslub hamaaraa"
Abu Hurrairah AbbasiAbu Hurrairah Abbasi
Quote
"ham khaak-nashinon pe tum ilhaami 'ataa ho jaise kisi majzub ki maqbul du'aa ho le aao koi misr se mahbub kaa kurtaa taaki miri aankhon kaa diyaa phir se haraa ho is dhaj se manaane kaa hunar us ko hai haasil main phir se manaaungaa chalo phir se khafaa ho duniyaa mein hasin laakh hain par tum se nahin hain goyaa tumhein qudrat ne bhi fursat mein bunaa ho aao kabhi sahraa mein to ban jaae vo gulshan is mausam-e-naumid mein paighaam-e-ziyaa ho nikle hai du'aa dil se mire ye hi musalsal gunje jo mire ghar mein faqat teri sadaa ho hai un kaa bulaavaa mujhe aise ki ye goyaa sarkaar ke darbaar se ye hukm milaa ho ye chizein zaruri hain takhayyul ko hamaare ik jaam sar-e-shaam ho aur baad-e-sabaa ho kuchh nukta-varon se bhi abhi tai na huaa ye kyaa raaz tumhaaraa hai ki tum kaun ho kyaa ho ai kaash ki mujh ko bhi 'ataa ho vo haqiqat bas main huun miraa yaar ho aur ghaar-e-hiraa ho tum asl mein kyaa ho ye 'ayaan kyon nahin karte sultaan ho mahbub ho but ho yaa khudaa ho"
Abu Hurrairah AbbasiAbu Hurrairah Abbasi
Quote
"dil mein tere be-sabab aabaad ho jaaungaa main tu mujhe mat bhuul varna yaad ho jaaungaa main 'ishq tujh ko main banaa dungaa bahut aasaan hai bas banaane mein tujhe barbaad ho jaaungaa main ye nahin maa'lum thaa jaadu koi chal jaaegaa tujh ko paDhne mein tiri rudaad ho jaaungaa main main to hairaan huun ki us ne be-sabab baandhaa mujhe khauf us ko ye hai ki aazaad ho jaaungaa main tu ye kahti phir rahi hai tu miri shirin nahin ab to laazim hai tiraa farhaad ho jaaungaa main 'aalam-e-faani mein mushkil se sunaa jaaungaa main jab kisi mazlum ki fariyaad ho jaaungaa main surat-e-bulbul vo 'akhtar' aayaa mere saamne us ko ye maa'lum thaa sayyaad ho jaaungaa main"
Akhtar AzmiAkhtar Azmi
Quote
"jis ne har baar mire saath bhalaai ki hai bas usi shakhs ki duniyaa ne buraai ki hai 'ishq hi dil ke maraz ki hai davaa 'ishq karo in tabibon ne ghalat Dhab se davaai ki hai laakh rangvaa le kaf us kaa tu raqib us ne magar apne dil par mire chehre ki chhapaai ki hai qaabil-e-did hai tum dekhte rah jaaoge dil pe kyaa tir-e-mohabbat ne kaDhaai ki hai kis qadar dil ko diyaa main ne bhi bhole-pan mein kis qadar us ne bhi aankhon ki safaai ki hai aaj phir chori se dil paas gayaa thaa us ke aaj phir main ne bahut dil ki piTaai ki hai jaantaa jo ye zamaana hamein kartaa na alag muddat-e-jashn-e-mohabbat to judaai ki hai mujh ko bhi degrē mili chaak-garebaan vaali dil ke schōl mein main ne bhi paDhaai ki hai main to bas teraa huun bas teraa huun bas teraa huun tu jo suntaa hai to ye chikh duhaai ki hai khud rafu-gar ne jigar chaak kiyaa 'akhtar' kaa khuub ro ro ke phir us ne hi silaai ki hai"
Akhtar AzmiAkhtar Azmi
Quote
"qafas tak bhi pahunch hai yaa faqat ik aashiyaan tak hai rasaai dekhni hai barq-e-sozaan ki kahaan tak hai mujhe lazzat-kash-e-bedaad paa kar haath kyon rokaa zaraa to aazmaate hausla dil kaa kahaan tak hai yaqin apni vafaa par hai taghaaful kaa nahin shikva tiri begaangi ham jaante hain imtihaan tak hai nasheman phunk kar zaalim havaa detaa hai daaman ki ghubaar-e-khaatir-e-sayyaad khaak-e-aashiyaan tak hai zaraa saa dil hai lekin jaan hai bazm-e-do-aalam ki ye saari garmi-e-hangaama qalb-e-naa-tavaan tak hai shikast-e-dil kaa baais aarzu-e-dil ko Thahraayaa gumaan-e-nek tujh se bad-gumaan dekhaa kahaan tak hai yahi ruh-e-tamanna hai yahi hai jaan-e-dil 'kaifi' qafas mein zindagi apni khayaal-e-aashiyaan tak hai"
Abdur Rasheed Khan Kaifi MahkariAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
Quote
"afsurdagi mein rahnaa miraa kaam bhi to hai tarke mein chunki gardish-e-ayyaam bhi to hai baiThein zaraa janaab kahaan aap chal diye mahfil mein khaas raat kaa ik jaam bhi to hai puuraa hai ehtimaam mire dil ke vaaste mahfil mein zikr-e-yaar hai aur shaam bhi to hai zaalim jo likh rahaa hai yahaan daastaan-e-zulm is daastaan-e-zulm kaa anjaam bhi to hai qaazi yahaan pe kyon na rakhe zaalimon ki laaj qaazi ke vaaste phir ik in'aam bhi to hai duniyaa mein har buraai kaa khatma bhi saath hai raavan ke saath saath yahaan raam bhi to hai kuchh 'mir' ji si ho to koi baat bhi bane varna ye shaa'iri yahaan par 'aam bhi to hai jo kuchh bhi likh rahaa huun main nok-e-qalam se aaj ye sab khudaa ki den hai ilhaam bhi to hai"
Abu Hurrairah AbbasiAbu Hurrairah Abbasi