SHAWORDS

mire muddaaa-e-ulfat kaa payaam ban ke aai — Ghubaar Bhatti

HomeGhubaar BhattiGhazal
"mire muddaaa-e-ulfat kaa payaam ban ke aai tiri zulf ki siyaahi miri shaam ban ke aai hui kaashif-e-haqiqat ye zamir-e-mai-kada ki miri be-khudi jo durd-e-tah-e-jaam ban ke aai tiri ik adaa thi ye bhi gul-o-khaar ko jagaane jo nasim-e-subh-gaahi kaa khiraam ban ke aai ye sabaa ki be-rukhi thi su-e-aashiyaan jo guzri na salaam le ke aai na payaam ban ke aai mire gham-kade mein phuTi jo shuaa daagh-e-dil se vahi ik charaagh-e-taaq-e-sar-e-shaam ban ke aai sar-e-tur jis ki juuyaa thi nigaah-e-chashm-e-musaa vahi ik jhalak farogh-e-lab-e-baam ban ke aai rukh-o-zulf ki tamannaa mire dil ko muzhda-baadaa miri subh ban ke aai miri shaam ban ke aai hai bahut muhaal is kaa jo 'ghubaar' maa-badal ho miri tirgi-e-qismat miri shaam ban ke aai"
Urdu

مرے مدعائے الفت کا پیام بن کے آئی تری زلف کی سیاہی مری شام بن کے آئی ہوئی کاشف حقیقت یہ ضمیر مے کدہ کی مری بے خودی جو درد تہ جام بن کے آئی تری اک ادا تھی یہ بھی گل و خار کو جگانے جو نسیم صبح گاہی کا خرام بن کے آئی یہ صبا کی بے رخی تھی سوئے آشیاں جو گزری نہ سلام لے کے آئی نہ پیام بن کے آئی مرے غم کدے میں پھوٹی جو شعاع داغ دل سے وہی اک چراغ طاق سر شام بن کے آئی سر طور جس کی جویا تھی نگاہ چشم موسیٰ وہی اک جھلک فروغ لب بام بن کے آئی رخ و زلف کی تمنا مرے دل کو مژدہ بادا مری صبح بن کے آئی مری شام بن کے آئی ہے بہت محال اس کا جو غبارؔ ما بدل ہو مری تیرگئ قسمت مری شام بن کے آئی

Hindi

मिरे मुद्दआ-ए-उल्फ़त का पयाम बन के आई तिरी ज़ुल्फ़ की सियाही मिरी शाम बन के आई हुई काशिफ़-ए-हक़ीक़त ये ज़मीर-ए-मय-कदा की मिरी बे-ख़ुदी जो दुर्द-ए-तह-ए-जाम बन के आई तिरी इक अदा थी ये भी गुल-ओ-ख़ार को जगाने जो नसीम-ए-सुब्ह-गाही का ख़िराम बन के आई ये सबा की बे-रुख़ी थी सू-ए-आशियाँ जो गुज़री न सलाम ले के आई न पयाम बन के आई मिरे ग़म-कदे में फूटी जो शुआ' दाग़-ए-दिल से वही इक चराग़-ए-ताक़-ए-सर-ए-शाम बन के आई सर-ए-तूर जिस की जूया थी निगाह-ए-चश्म-ए-मूसा वही इक झलक फ़रोग़-ए-लब-ए-बाम बन के आई रुख़-ओ-ज़ुल्फ़ की तमन्ना मिरे दिल को मुज़्दा-बादा मिरी सुब्ह बन के आई मिरी शाम बन के आई है बहुत मुहाल इस का जो 'ग़ुबार' मा-बदल हो मिरी तीरगी-ए-क़िस्मत मिरी शाम बन के आई

mire mudda.ā-e-ulfat kā payām ban ke aa.ī
G
Ghubaar Bhatti
Ghubaar Bhatti
poet6 quotes

More by Ghubaar Bhatti

View all →
Quote
"zabaan saakit ho qat-e-guftugu ho nazar hi se bayaan-e-aarzu ho jahaan main huun vahaan par tu hi tu ho jahaan tu ho jahaan-e-rang-o-bu ho shahid-e-naaz yuun hi surkh-ru ho shafaq munh par ho daaman par lahu ho vafur-e-yaas o josh-e-ibtilaa mein zabaan par aayat-e-laa-taqnatu ho jo rang-e-gul se Tapkaa hai chaman mein na meri hi tamannaa kaa lahu ho harim-kaaba se bhi mohtaram hai vo dil jis mein ki teri aarzu ho maaaz-allaah pas-manzar chaman kaa na ai dil yuun asir-e-rang-o-bu ho namaaz-e-ishq kuchh aasaan nahin hai jigar ke khuun se pahle to vuzu ho huun khaar-e-raah tak gulshan-ba-daamaan agar tu hi maaal-e-justuju ho 'ghubaar'-e-khasta us kuche se uTh kar na kyuun aavaara har su ku-ba-ku ho"
G
Ghubaar Bhatti
Quote
"tasalli ko hamaari baaghbaan kuchh aur kahtaa hai gulistaan se magar uDtaa dhuaan kuchh aur kahtaa hai baham kuchh saazishein phir ho rahi hain barq-o-baaraan mein har ik taair se lekin aashiyaan kuchh aur kahtaa hai samajhte hain khudaa-maalum kyaa kuchh kaarvaan vaale zabaan mein apni mir-e-kaarvaan kuchh aur kahtaa hai na phulo is tarah se naghma-e-murgh-e-khush-ilhaan par tumhein aavaaza-e-baang-e-azaan kuchh aur kahtaa hai magar mahrum zaahid ho gayaa hai gosh-e-shanvaa se use but-khaane mein husn-e-butaan kuchh aur kahtaa hai ye khush-fahmi ki kuchh samjhe hue hain anjuman vaale magar har ik se rang-e-daastaan kuchh aur kahtaa hai Thahar jaa haan Thahar jaa jaane vaale is ko suntaa jaa ba-haal-e-nazaa teraa nim-jaan kuchh aur kahtaa hai mukhaalif us ke kuchh kuchh aa rahi hain dil ki aavaazein magar ham se hijaab-e-darmiyaan kuchh aur kahtaa hai na rahnaa chaahiye gulshan mein marub-e-khizaan ho kar ki ham se aaj rang-e-gulistaan kuchh aur kahtaa hai"
G
Ghubaar Bhatti
Quote
"jalva-e-husn agar zinat-e-kaashaana bane dastaras shama ko haasil ho to parvaana bane dil na hoshiyaar rahe aur na divaana bane ye tamannaa hai ki khaak dar-e-jaanaana bane husn ai husn ye hai teri karishma-saazi kaaba ban jaae kahin aur kahin but-khaana bane hosh aur kashmakash-e-hosh ilaahi tauba vahi hoshiyaar hai ulfat mein jo divaana bane is tamannaa se main ai ishq khajil hotaa huun dil ki taqdir ki vo husn kaa nazraana bane husn mahsus se hai jalva-e-mutlaq matlub na sahi kaaba to dil-e-maail but-khaana bane mai-parasti kaa muayyan koi meaar nahin jis kaa jo zarf ho saaqi vahi paimaana bane un ki sarshaar nigaahon ke tasadduq kahiye haasil-e-kaif jo paimaana-ba-paimaana bane soz ulfat ke khudaa shama nahin hai na sahi phunk itnaa miri hasti ko ki parvaana bane saaghar-e-dil mein hai kaifiyyat-e-sahbaa-e-alast buund buund us ki na kyuun haasil-e-mai-khaana bane aap ik roz tavajjoh se jo sun lein sar-e-bazm dil ki rudaad kaa har lafz ik afsaana bane aaj mujh ko vo mai-e-hosh-rubaa de saaqi aur to aur dil apne se bhi begaana bane kaash miT miT ke miri hasti-e-naachiz 'ghubaar' khaak ho jaae to khaak-e-dar-e-jaanaana bane"
G
Ghubaar Bhatti
Quote
"tiraa mai-khvaar khush-aaghaaz-o-khush-anjaam hai saaqi ki dil mein yaad teri lab pe teraa naam hai saaqi muhit daur-e-saaghar charkh-e-nili-faam hai saaqi ghulaam-e-chashm-e-maigun gardish-e-ayyaam hai saaqi dil-e-naakaam ko ulfat se teri kaam hai saaqi mohabbat be-niyaaz-e-ibrat-e-anjaam hai saaqi zamaane se alag ho kar mujhe duniyaa-e-ulfat mein tiraa rukh roz-e-raushan zulf teri shaam hai saaqi isi mein aa gai hai khinch ke saaqi ruuh taqvaa ki mataa-e-din-o-imaan qimat-e-ik-jaam hai saaqi khudaa rakkhe tiri zulf-e-moambar ke tasavvur se takhayyul meraa ambar-biz-o-ambar-faam hai saaqi khudaaraa is taraf bhi ik nigaah-e-lutf ho jaae miri hasti hama hasrat hama aalaam hai saaqi hue hain dil pe is se munkashif asraar hasti ke navaa-e-qulqul-e-minaa mujhe ilhaam hai saaqi sharaf teri ghulaami kaa baDi mushkil se miltaa hai zahe-qismat jo teraa banda-e-be-daam hai saaqi azal se taa-abad yunhi rahegaa khaak-e-mai-khaana 'ghubaar'-e-khasta-o-naakaam jis kaa naam hai saaqi"
G
Ghubaar Bhatti
Quote
"ajab inqalaab kaa daur hai ki har ek samt fishaar hai na kahin khirad ko sukun hai na kahin junun ko qaraar hai kahin garm bazm-e-habib hai kahin sard mahfil-e-yaar hai kahin ibtidaa-e-surur hai kahin intihaa-e-khumaar hai miraa dil hai siine mein raushni isi raushni pe madaar hai main musaafir-e-rah-e-ishq huun to ye shama raah-guzaar hai jise kahte hain tiri anjuman ajab anjuman hai ye anjuman koi is mein sokhta-haal hai koi is mein sina-figaar hai ye asar hai ek nigaah kaa ki mizaaj-e-taba badal diyaa jo hamesha shikva-guzaar thaa vo tumhaaraa shukr-guzaar hai ye zaruri kyaa hai ki har bashar rahe naam-o-kaam se baa-khabar magar itnaa jaan chuke hain sab ki takhallus us kaa 'ghubaar' hai"
G
Ghubaar Bhatti

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil