Quote
"zaalim tire vaadon ne divaana banaa rakkhaa sham-e-rukh-e-anvar kaa parvaana banaa rakkhaa sabza ki tarah mujh ko is gulshan-e-aalam mein apnon se bhi qismat ne begaana banaa rakkhaa taqlid ye achchhi ki saaqi ne mire dil ki TuuTe hue shishe kaa paimaana banaa rakhaa daavaa tiri ulfat kaa kahne mein nahin aataa ghairon nai magar is kaa afsaana banaa rakkhaa afsos na ki dil ki kuchh qadr 'aziz' afsos kaaba thaa use tu ne but-khaana banaa rakkhaa"
