SHAWORDS

mohabbat ki mataa-e-jaavedaani le ke aayaa huun — Darshan Singh

HomeDarshan SinghGhazal
"mohabbat ki mataa-e-jaavedaani le ke aayaa huun tire qadmon mein apni zindagaani le ke aayaa huun kahaan sim-o-guhar jin ko luTaaun tere qadmon par baraa-e-nazr ashkon ki ravaani le ke aayaa huun tujhe jo puchhnaa ho puchh le ai daavar-e-mahshar main apne saath apni be-zabaani le ke aayaa huun zamin-o-mulk ke badle dilon par hai nazar meri achhutaa ik tariq-e-hukmaraani le ke aayaa huun mire zakhm-e-tamannaa dekh kar pahchaan lo mujh ko tumhaari hi ataa-karda nishaani le ke aayaa huun mire ashaar mein muzmar hain laakhon dhaDkanein dil ki main ik duniyaa kaa gham dil ki zabaani le ke aayaa huun mohabbat naam hai betaabi-e-dil ke tasalsul kaa mohabbat ki main 'darshan' ye nishaani le ke aayaa huun"
Urdu

محبت کی متاع جاودانی لے کے آیا ہوں ترے قدموں میں اپنی زندگانی لے کے آیا ہوں کہاں سیم و گہر جن کو لٹاؤں تیرے قدموں پر برائے نظر اشکوں کی روانی لے کے آیا ہوں تجھے جو پوچھنا ہو پوچھ لے اے داور محشر میں اپنے ساتھ اپنی بے زبانی لے کے آیا ہوں زمین و ملک کے بدلے دلوں پر ہے نظر میری اچھوتا اک طریق حکمرانی لے کے آیا ہوں مرے زخم تمنا دیکھ کر پہچان لو مجھ کو تمہاری ہی عطا کردہ نشانی لے کے آیا ہوں مرے اشعار میں مضمر ہیں لاکھوں دھڑکنیں دل کی میں اک دنیا کا غم دل کی زبانی لے کے آیا ہوں محبت نام ہے بیتابیٔ دل کے تسلسل کا محبت کی میں درشنؔ یہ نشانی لے کے آیا ہوں

Hindi

मोहब्बत की मता-ए-जावेदानी ले के आया हूँ तिरे क़दमों में अपनी ज़िंदगानी ले के आया हूँ कहाँ सीम-ओ-गुहर जिन को लुटाऊँ तेरे क़दमों पर बरा-ए-नज़्र अश्कों की रवानी ले के आया हूँ तुझे जो पूछना हो पूछ ले ऐ दावर-ए-महशर मैं अपने साथ अपनी बे-ज़बानी ले के आया हूँ ज़मीन-ओ-मुल्क के बदले दिलों पर है नज़र मेरी अछूता इक तरीक़-ए-हुक्मरानी ले के आया हूँ मिरे ज़ख़्म-ए-तमन्ना देख कर पहचान लो मुझ को तुम्हारी ही अता-कर्दा निशानी ले के आया हूँ मिरे अशआ'र में मुज़्मर हैं लाखों धड़कनें दिल की मैं इक दुनिया का ग़म दिल की ज़बानी ले के आया हूँ मोहब्बत नाम है बेताबी-ए-दिल के तसलसुल का मोहब्बत की मैं 'दर्शन' ये निशानी ले के आया हूँ

mohabbat kī matā-e-jāvedānī le ke aayā huuñ
Darshan Singh
Darshan Singh
Darshan Singh
poet24 quotes

More by Darshan Singh

View all →
Quote
"raqs karti hai fazaa vajd mein jaam aayaa hai phir koi le ke bahaaron kaa payaam aayaa hai baada-khvaaraan-e-fanaa baDh ke qadam lo us ke le ke saaghar mein jo sahbaa-e-davaam aayaa hai main ne sikhaa hai zamaane se mohabbat karnaa teraa paighaam-e-mohabbat mire kaam aayaa hai rahbar-e-jaada-e-haq nur-e-khudaa haadi dein le ke khaaliq kaa zamaane mein payaam aayaa hai teri manzil hai buland itni ki har shaam-o-sahar chaand-suraj se tire dar ko salaam aayaa hai ho gayaa teri mohabbat mein giraftaar to phir taaer-e-ruh bhalaa kab tah-e-daam aayaa hai khud-ba-khud jhuk gai peshaani-e-arbaab-e-khudi ishq ki raah mein aisaa bhi maqaam aayaa hai aasiyo shukr ki jaa hai ki ba-faiz-e-khaaliq ham gunahgaaron ki bakhshish kaa payaam aayaa hai haram-o-dair ke logon ki khushi kyaa kahnaa banda-e-khaaliq-o-dil-daada-e-raam aayaa hai tishna-kaamaan-e-nazaara ko ye muzhda de do be-naqaab aaj koi phir sar-e-baam aayaa hai ho mubaarak tumhein rindo ki ba-taaid-e-khudaa koi chhalkaataa huaa shisha-o-jaam aayaa hai jab kabhi gardish-e-dauraan ne sataayaa hai bahut tere rindon ki zabaan par tiraa naam aayaa hai ahl-e-maghrib ko pilaa kar mai-e-irfaan 'darshan' phir se mashriq ki taraf arsh-maqaam aayaa hai"
Darshan SinghDarshan Singh
Quote
"qaid-e-gham-e-hayaat se ahl-e-jahaan mafar nahin aisi mili hai shaam-e-gham jis ki koi sahar nahin hai vo safar jo ishq ko jaanib dost le chale varna safar ke vaaste kaun si rahguzar nahin ahl-e-khirad ko chaahiye dil ke nagar mein aa basein dil saa hasin-o-khush-numaa aur koi nagar nahin tere karam pe hai yaqin garche ye jaantaa huun main naala hai meraa naa-rasaa aah mein kuchh asar nahin hasrat-e-intizaar ki baat na ham se puchhiye hai ye tavil daastaan qissa-e-mukhtasar nahin luT to gae hain dil magar mil bhi gai hain manzilein rahguzar-e-hayaat mein ishq saa raahbar nahin apnaa rahaa na hosh jab raaz-e-hayaat paa liyaa nemat-e-be-khudi samajh hosh kaa ye samar nahin ishq mataa-e-laa-makaan ishq mataa-e-jaavedaan shoala-e-daaemi hai ye manzar-e-yak-sharar nahin 'darshan'-e-mast se milein kholegaa raaz-e-aagahi garche vahaan hai jis jagah apni use khabar nahin"
Darshan SinghDarshan Singh
Quote
"kab khamoshi ko mohabbat ki zabaan samjhaa thaa main thaa 'ayaan vo raaz-e-dil jis ko nihaan samjhaa thaa main sun rahaa huun apni khaamoshi kaa charchaa ku-ba-ku thi fughaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjhaa thaa main 'aarzi saa 'aks thaa ik iltifaat-e-dost kaa jis ko naadaani se aish-e-jaavedaan samjhaa thaa main tum ne aankhein pher liin mujh se to ye mujh par khulaa khaar-zaar-e-zindagi ko gulsitaan samjhaa thaa main vo bhi nikle barq-o-baad-o-baaghbaan ki milkiyat chaar tinke jin ko apnaa aashiyaan samjhaa thaa main kar sakein 'darshan' na vo bhi arz-e-haal-e-aarzu jin nigaahon ko mohabbat ki zabaan samjhaa thaa main"
Darshan SinghDarshan Singh
Quote
"nigaah-e-mast-e-saaqi kaa salaam aayaa to kyaa hogaa agar phir tark-e-tauba kaa payaam aayaa to kyaa hogaa haram vaale to puchheinge bataa tu kis kaa banda hai khudaa se pahle lab par un kaa naam aayaa to kyaa hogaa mujhe manzur un se main na bolungaa magar naaseh agar un ki nigaahon kaa salaam aayaa to kyaa hogaa chalaa hai aadmi taskhir-e-mehr-o-maah ki khaatir magar sayyaad hi khud zer-e-daam aayaa to kyaa hogaa mujhe tark-e-talab manzur lekin ye to batlaa do koi khud hi liye haathon mein jaam aayaa to kyaa hogaa mohabbat ke liye tark-e-taalluq hi zaruri ho mohabbat mein agar aisaa maqaam aayaa to kyaa hogaa jahaan kuchh khaas logon par nigaah-e-lutf hai 'darshan' agar us bazm mein daur-e-avaam aayaa to kyaa hogaa"
Darshan SinghDarshan Singh
Quote
"daulat mili jahaan ki naam-o-nishaan mile sab kuchh milaa hamein na magar mehrbaan mile pahle bhi jaise dekh chuke hon unhein kahin anjaan vaadiyon mein kuchh aise nishaan mile baDhtaa gayaa main manzil-e-mahbub ki taraf haail agarche raah mein sang-e-garaan mile ronaa paDaa nasib ke haathon hazaar baar ik baar muskuraa ke jo tum mehrbaan mile ham ko khushi mili bhi to bas aarzi mili lekin jo gham mile vo gham-e-jaavedaan mile baaqi rahegi hashr tak un ke karam ki yaad mujh ko rah-e-hayaat mein jo mehrbaan mile phir kyuun kare talaash koi aur aastaan vo khush-nasib jis ko tiraa aastaan mile ahl-e-sitam ki dil-shikani kaa sabab huaa dil kaa ye hausla ki gham be-karaan mile saaqi ki ik nigaah se kaayaa palaT gai zaahid jo mai-kade mein mile naujavaan mile dair-o-haram ke log bhi darmaan na kar sake vo bhi asir-e-kashmakash-e-in-o-aan mile nazrein talaash karti rahin jin ko umr-bhar 'darshan' ko vo sukun ke lamhe kahaan mile"
Darshan SinghDarshan Singh

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud