Quote
"vaada farmaa ke be-qaraar kiyaa umr-bhar ham ne intizaar kiyaa us saraapaa bahaar ne dil ko naaz-o-andaaz se shikaar kiyaa vo hi be-rahm-o-be-vafaa niklaa jis ki baaton kaa eatibaar kiyaa kucha-e-ishq mein huaa ghaafil dil ne har chand hoshiyaar kiyaa vo hamaare hi ho gae goyaa dil ne kuchh is tarah qaraar kiyaa ek bedard ki mohabbat ne 'dard'-e-muztar ko ashk-baar kiyaa"
