"vaada farmaa ke be-qaraar kiyaa umr-bhar ham ne intizaar kiyaa us saraapaa bahaar ne dil ko naaz-o-andaaz se shikaar kiyaa vo hi be-rahm-o-be-vafaa niklaa jis ki baaton kaa eatibaar kiyaa kucha-e-ishq mein huaa ghaafil dil ne har chand hoshiyaar kiyaa vo hamaare hi ho gae goyaa dil ne kuchh is tarah qaraar kiyaa ek bedard ki mohabbat ne 'dard'-e-muztar ko ashk-baar kiyaa"
husn mahrum-e-mohabbat hi rahaa mere baad — Abdul Majeed Dard Bhopali
"husn mahrum-e-mohabbat hi rahaa mere baad mujh saa dil-daada-o-shaidaa na milaa mere baad kaun ab gham ki mudaaraat karegaa yaaro kis ke sar jaaegaa ilzaam-e-vafaa mere baad mahfil-e-naaz mein kyaa kyaa na huiin tadbirein dil kaa shiraaza faraaham na huaa mere baad muzhda-e-fasl-e-bahaaraan na sunaa gulchin ne khaak uDaati phiri gulshan mein sabaa mere baad bujh gae mere na hone se charaaghon ke nasib naqsh-e-paa un ke hain mahrum-e-ziyaa mere baa'd gham-zada ahl-e-junun ahl-e-vafaa kuchh to kaho kis liye dahr mein kohraam machaa mere baad khushnavaaon se rahi mahfil-e-duniyaa aabaad naghma-e-‘dard’ kisi ne na sunaa mere baa'd"
حسن محروم محبت ہی رہا میرے بعد مجھ سا دل دادہ و شیدا نہ ملا میرے بعد کون اب غم کی مدارات کرے گا یارو کس کے سر جائے گا الزام وفا میرے بعد محفل ناز میں کیا کیا نہ ہوئیں تدبیریں دل کا شیرازہ فراہم نہ ہوا میرے بعد مژدہ فصل بہاراں نہ سنا گلچیں نے خاک اڑاتی پھری گلشن میں صبا میرے بعد بجھ گئے میرے نہ ہونے سے چراغوں کے نصیب نقش پا ان کے ہیں محروم ضیا میرے بعد غم زدہ اہل جنوں اہل وفا کچھ تو کہو کس لیے دہر میں کہرام مچا میرے بعد خوش نواؤں سے رہی محفل دنیا آباد نغمۂ دردؔ کسی نے نہ سنا میرے بعد
हुस्न महरूम-ए-मोहब्बत ही रहा मेरे बाद मुझ सा दिल-दादा-ओ-शैदा न मिला मेरे बाद कौन अब ग़म की मुदारात करेगा यारो किस के सर जाएगा इल्ज़ाम-ए-वफ़ा मेरे ब'अद महफ़िल-ए-नाज़ में क्या क्या न हुईं तदबीरें दिल का शीराज़ा फ़राहम न हुआ मेरे बाद मुज़्दा-ए-फ़स्ल-ए-बहाराँ न सुना गुलचीं ने ख़ाक उड़ाती फिरी गुलशन में सबा मेरे बाद बुझ गए मेरे न होने से चराग़ों के नसीब नक़्श-ए-पा उन के हैं महरूम-ए-ज़िया मेरे बा'द ग़म-ज़दा अहल-ए-जुनूँ अहल-ए-वफ़ा कुछ तो कहो किस लिए दहर में कोहराम मचा मेरे बाद ख़ुश-नवाओं से रही महफ़िल-ए-दुनिया आबाद नग़्मा-ए-‘दर्द’ किसी ने न सुना मेरे बा'द

More by Abdul Majeed Dard Bhopali
View all →"log pi jaaein jahaan dida-e-tar ki baatein kaun suntaa hai vahaan zakhm-e-jigar ki baatein is qadar aam huiin ahl-e-nazar ki baatein daastaan ban ke rahin apne hi ghar ki baatein kab se gardish mein hai zarraat-e-zamin ki taqdir aap karte hain sitaaron ke safar ki baatein kyaa qayaamat hai ki is baagh-e-jahaan mein ham ne ghuncha-o-gul se sunin barq-o-sharar ki baatein bazm-e-hasti hai ki ye shahr-e-khamoshaan yaaro gul khilaatin hi nahin ahl-e-hunar ki baatein 'dard' maalum hai anjaam-e-shab-e-gham lekin dil ke bahlaane ko karte hain sahar ki baatein"
"nigaah-e-husn-e-talab ehtiraam kis kaa thaa kiyaa jo nazron se tu ne salaam kis kaa thaa milaa jo roz-e-azal vo payaam kis kaa thaa nidaa jo kaan mein aai vo naam kis kaa thaa junun-e-shauq-e-salaamat ki ye bhi hosh nahin main jis maqaam pe thaa vo maqaam kis kaa thaa bikhar paDi thi har ik su bahaar-e-laala-o-gul khudaa hi jaane labon par kalaam kis kaa thaa banaa gayaa thaa jo naqsh-o-nigaar dil pe mire vo ek jalva-e-husn-e-khiraam kis kaa thaa bhaTak rahi thi har ik su nigaah-e-tishna-labaan tumhaari bazm mein ye daur-e-jaam kis kaa thaa qadam qadam pe bahaaron ne kis ke pair chhue qafas mein 'dard' bataa ehtiraam kis kaa thaa"
"fasaana ishq kaa vo is tarah dohraae jaate hain zabaan khaamosh hai nazron se kuchh samjhaae jaate hain kisi ne be-rukhi samjhaa koi lutf-o-karam samjhaa kuchh is andaaz se mahfil mein vo sharmaae jaate hain kahin aisaa na ho yaa-rab miri tauba pe ban aae ye baadal aaj ghir ghir kar mujhe bahkaae jaate hain mujhe ab dil ki dhaDkan se yahi mahsus hotaa hai tamannaaon ki duniyaa mein vo jaise aae jaate hain qafas achchhaa hai aise aashiyaan se ai chaman vaalo jahaan zulm-o-sitam har vaqt ham par Dhaae jaate hain qadam chumegi un ke kaamyaabi ek din baDh kar safina apnaa jo tufaan se Takraae jaate hain vufur-e-shauq mein ai 'dard' meraa ab ye aalam hai jidhar nazrein uThaataa huun vahin vo paae jaate hain"
"vo rabt-e-baahami nahin vo pyaar bhi nahin pahli si vo nigaah-e-tarahdaar bhi nahin ab haal dil kaa laaeq-e-izhaar bhi nahin jiite hain aur jiine ke aasaar bhi nahin har-har nafas mein ziist ke hai aarzu-e-shauq kam dilkashi mein ishq kaa aazaar bhi nahin thi jaan ik amaanat-e-yaar us ko saunp di ab zindagi ke dosh pe ye baar bhi nahin is daur ki ajiib hai tanzim dosto fankaar vo banaa hai jo fankaar bhi nahin daur-e-havas mein koi bhi pursaan-e-gham nahin apnon se kyaa shikaayat-e-aghyaar bhi nahin duniyaa mein ek teraa sahaaraa hai ai khudaa tanhaa huun koi yaar-o-madad-gaar bhi nahin haq baat 'dard' ahl-e-khirad ko na ho qubul 'ghaalib' ke log itne taraf-daar bhi nahin"
"huun gham-aashnaa aashnaa-e-mohabbat do-aalam mein yuun jagmagaae mohabbat azal se hui ibtidaa-e-mohabbat abad tak rahegi baqaa-e-mohabbat mohabbat ke naghme hain un ke labon par bahut hi hasin hai fazaa-e-mohabbat dil-e-muztarib par giraai thi bijli qayaamat thi vo ik adaa-e-mohabbat azal se abad tak chalaa jaa rahaa hai julus-e-shahidaan khudaa-e-mohabbat na furqat kaa yaaraa na qurbat gavaaraa na jaane hai kyaa muddaaa-e-mohabbat meraa din-o-imaan mohabbat mohabbat banaae mohabbat miTaae mohabbat tamaashaa bane hain vahi 'dard' aksar bane hain jo khud rahnumaa-e-mohabbat"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"