"dhuup saa yu kapul naari hai kiran suraj ki vo kanaari hai chhup raqibaan suun aanaa nahin vo chaand kyaa rain hijr ki andiyaari hai nahin asar kartaa sabr kaa marham dil-e-aashiq mein zakhm kaari hai gul-e-baagh-e-junun hai rusvaai izzat-e-mulk-e-ishq khvaari hai khun-e-dil baada-o-jigar hai kabaab naghma-e-bazm-e-vasl zaari hai lailaa majnun kaa zikr sard huaa ab tumhaari hamaari baari hai milnaa aashiq suun hi bahaane suun ye nasihat tuman hamaari hai mujh kuun mat jaano yaad suun ghaafil raat din dil kuun lau tumaari hai dil bandhaa sakht teri zulfaan par aql 'faaez' ki un bisaari hai"
mustamindaan ko sataayaa na karo — Faez Dehlvi
"mustamindaan ko sataayaa na karo baat ko ham se duraayaa na karo dil shikanje mein na Daalo meraa zulf ko gundh banaayaa na karo husn-e-be-saakhta bhaataa hai mujhe surma ankhiyaan mein lagaayaa na karo tum se mujh dil ko bahut hai ummid mujh se miskin ko kuDhaayaa na karo be-dilaan suun na phiraa do mukhDaa ham se tum aankh churaayaa na karo mukhlis apne ko na maaro naahaq haqq-e-ikhlaas bhulaayaa na karo ishq mein 'faaez'-e-shaidaa mumtaaz is kuun sab saath milaayaa na karo"
مستمنداں کو ستایا نہ کرو بات کو ہم سے درایا نہ کرو دل شکنجے میں نہ ڈالو میرا زلف کو گوندھ بنایا نہ کرو حسن بے ساختہ بھاتا ہے مجھے سرمہ انکھیاں میں لگایا نہ کرو تم سے مجھ دل کو بہت ہے امید مجھ سے مسکیں کو کڑھایا نہ کرو بے دلاں سوں نہ پھرا دو مکھڑا ہم سے تم آنکھ چرایا نہ کرو مخلص اپنے کو نہ مارو ناحق حق اخلاص بھلایا نہ کرو عشق میں فائزؔ شیدا ممتاز اس کوں سب ساتھ ملایا نہ کرو
मुस्तमिन्दाँ को सताया न करो बात को हम से दुराया न करो दिल शिकंजे में न डालो मेरा ज़ुल्फ़ को गूँध बनाया न करो हुस्न-ए-बे-साख़्ता भाता है मुझे सुर्मा अँखियाँ में लगाया न करो तुम से मुझ दिल को बहुत है उम्मीद मुझ से मिस्कीं को कुढ़ाया न करो बे-दिलाँ सूँ न फिरा दो मुखड़ा हम से तुम आँख चुराया न करो मुख़्लिस अपने को न मारो नाहक़ हक़्क़-ए-इख़्लास भुलाया न करो इश्क़ में 'फ़ाएज़'-ए-शैदा मुम्ताज़ इस कूँ सब साथ मिलाया न करो
More by Faez Dehlvi
View all →"yaar meraa miyaan-e-gulshan hai gharq-e-khun phuul taa-ba-daaman hai dil lubhaataa hai sab kaa vo saajan dil-farebi mein us ko kyaa fan hai taare jiyun dar hai jis ke halqa-ba-gosh vo binaa gosh subh-e-raushan hai us nazaare se sab shahid hue vo nayan kyaa balaa-e-rah-zan hai kyaa bayaan kar sakun main gat us ki 'faaez' at khush-adaa sirijan hai"
"meri jaan vo baada-khvaari yaad hai vaqt-e-masti girya-zaari yaad hai motiyaa kaa haar o champaa ki chhaDi joDaa-e-daaman-kinaari yaad hai sab abhukan tere tan par khushnumaa khubi-e-angiyaa o saari yaad hai abr kaa saaya o sabza raah kaa jaan-e-man rath ki savaari yaad hai koelaan ke naale amraai ke biich us samay ki be-qaraari yaad hai meinh bi to Tapkataa thaa buund buund 'faaez' us din ki savaari yaad hai"
"be-sabab ham se judaai na karo mujh se aashiq se buraai na karo khaaksaaraan ko na kariye paamaal jag mein firaun si khudaai na karo be-gunaahaan kuun na kar Daalo qatl aah kuun tir-e-havaai na karo ek dil tum se nahin hai raazi jag mein har ik suun buraai na karo mahv hai 'faaez'-e-shaidaa tum par us se har lahza bakhaai na karo"
"jaagir agar bahut na mili ham kuun gham nahin haasil hamaare mulk-e-qanaaat kaa kam nahin is saath mah-rukhaan ko nahin kuchh baraabari yusuf se ye nigaar-e-pari-zaad kam nahin khush-surataan se kyaa karun main aashnaai ab mujh ko to in dinon mein mayassar diram nahin dil baandhte nahin hain hamaare milaap par mah-talataan mein mujh ko to ab kuchh bharam nahin milte ho sab ke jaa ke ghar aur ham suun ho kanaar kuchh ham to un chakoron se ai maah kam nahin zaahir ke dost aate nahin kaam vaqt par talvaar kaaT kyaa kare jis ko jo dam nahin 'faaez' ko bhaayaa misra-e-'yakrang' ai sajan gar tum miloge un seti dekhoge ham nahin"
"mare dil biich naqsh-e-naaznin hai magar ye dil nahin yaaro nagin hai kamar par teri us kaa dil huaa mahv tiraa aashiq bahut baarik-bin hai jo kahiye us ke haq mein kam hai be-shak pari hai huur hai ruh-ul-amin hai ghulaam us ke hain saare ab sirijan nagar mein husn ke kursi-nashin hai nahin ab jag mein vaisaa aur pitam sabi khush-surataan suun naaznin hai mujhe hai moshgaafi mein mahaarat jo nit dil mahv khatt-e-ambarin hai nazar kar lutf ki ai shaah-e-khubaan tiraa 'faaez' ghulaam-e-kam-tarin hai"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"