SHAWORDS

na koi harf-e-duaa arz-e-tamannaa bhi nahin — Mahmood Alam

HomeMahmood AlamGhazal
"na koi harf-e-duaa arz-e-tamannaa bhi nahin ab na maulaa hai meraa aur main banda bhi nahin mere chehre se milaa karti hai us ki surat us ki surat saa mire paas to chehra bhi nahin rabbi-arni kaa ye haasil rahaa binaai gai aise dekhaa ki use Thiik se dekhaa bhi nahin pahle firaun maraa baad mein muusaa bhi mare ek mar jaataa hai ik maut se martaa bhi nahin zaat-e-vaahid hai agar vo to main fard-e-vahdat us mein aur mujh mein koi farq ziyaada bhi nahin ye to ik khel hai aur khel balaa kaa 'aalam' lailaa kaa qais nahin qais ki lailaa bhi nahin"
Urdu

نہ کوئی حرف دعا عرض تمنا بھی نہیں اب نہ مولا ہے میرا اور میں بندہ بھی نہیں میرے چہرے سے ملا کرتی ہے اس کی صورت اس کی صورت سا مرے پاس تو چہرہ بھی نہیں رب ارنی کا یہ حاصل رہا بینائی گئی ایسے دیکھا کہ اسے ٹھیک سے دیکھا بھی نہیں پہلے فرعون مرا بعد میں موسیٰ بھی مرے ایک مر جاتا ہے اک موت سے مرتا بھی نہیں ذات واحد ہے اگر وہ تو میں فرد وحدت اس میں اور مجھ میں کوئی فرق زیادہ بھی نہیں یہ تو اک کھیل ہے اور کھیل بلا کا عالمؔ لیلیٰ کا قیس نہیں قیس کی لیلیٰ بھی نہیں

Hindi

न कोई हर्फ़-ए-दुआ अर्ज़-ए-तमन्ना भी नहीं अब न मौला है मेरा और मैं बंदा भी नहीं मेरे चेहरे से मिला करती है उस की सूरत उस की सूरत सा मिरे पास तो चेहरा भी नहीं रब्बी-अरनी का ये हासिल रहा बीनाई गई ऐसे देखा कि उसे ठीक से देखा भी नहीं पहले फ़िरऔन मरा बाद में मूसा भी मरे एक मर जाता है इक मौत से मरता भी नहीं ज़ात-ए-वाहिद है अगर वो तो मैं फ़र्द-ए-वहदत उस में और मुझ में कोई फ़र्क़ ज़ियादा भी नहीं ये तो इक खेल है और खेल बला का 'आलम' लैला का क़ैस नहीं क़ैस की लैला भी नहीं

na koī harf-e-duā arz-e-tamannā bhī nahīñ
Mahmood Alam
Mahmood Alam
Mahmood Alam
poet6 quotes

More by Mahmood Alam

View all →
Quote
"chikhte hain dayaar raaton mein le lo raah-e-faraar raaton mein roz hotaa hai maqbara kamra aur bistar mazaar raaton mein dhaDkanein gunjti hain siine mein baDhtaa hai iztiraar raaton mein mere shevan pe muskuraataa hai meraa parvardigaar raaton mein tirgi mere dil mein khanjar si ho rahi aar-paar raaton mein niind hai lais zer karne ko aur main hoshiyaar raaton mein mere rone se sab malak mujh par ho rahein jaan-nisaar raaton mein bain karti hain hurein sirhaane mere gird-e-mazaar raaton mein koi teri yahaan nahin suntaa apne rab ko pukaar raaton mein"
Mahmood AlamMahmood Alam

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi