"sarak rahi hai us ki chilman maashaa-allaah maashaa-allaah shaayad ab vo degaa darshan maashaa-allaah maashaa-allaah garaj rahaa hai baadal ghan-ghan maashaa-allaah maashaa-allaah bajti hai us ki paael jhan-jhan maashaa-allaah maashaa-allaah baras rahaa hai pyaar kaa saavan maashaa-allaah maashaa-allaah Dol rahaa hai jis se tan-man maashaa-allaah maashaa-allaah chaltaa phirtaa hai mai-khaana jis ki ye chashm-e-masataana us ki suraahi-daar hai gardan maashaa-allaah maashaa-allaah apne hi husn pe jaise ho shaidaa dekh rahaa hai jalva-e-zebaa saamne rakh kar apne darpan maashaa-allaah maashaa-allaah mor kaa raqs use nahin bhaataa apni chaal pe hai itraataa naach na jaane TeDhaa aangan maashaa-allaah maashaa-allaah ghuncha-o-gul ki hai ye zabaan par sab hi fidaa us sarv-e-ravaan par zikr hai us kaa gulshan gulshan maashaa-allaah maashaa-allaah 'barqi' hai jis kaa divaana ho ke fidaa misl-e-parvaana maar na Daale us ki chitvan maashaa-allaah maashaa-allaah"
na samjhe koi us se dushmani hai — Barqi Azmi
"na samjhe koi us se dushmani hai miri ik kam-sukhan se dosti hai sabhi ke kaam aae ibn-e-aadam yahi dar-asl husn-e-zindagi hai jise paDhnaa ho is mein paDh le sab kuchh khuli meri kitaab-e-zindagi hai mire kis kaam kaa aisaa samundar lab-e-saahil bhi jis ke tishnagi hai ho rudaad-e-zamaana ki jo mazhar vahi dar-asl ruh-e-shaaeri hai mire dil par hai jis ki hukmraani abhi us mein adaa-e-kam-sini hai hai jis kaa aaj girvida zamaana jahaan-e-rang-o-bu ye 'aarzi hai ajam ki tarah hai gungaa 'arab bhi ye us ki maslahat yaa be-hisi hai nahin fursat tan-aasaani se us ko alam-angez ye aadam-kushi hai bapaa hai hashr se pahle hi mahshar kahin dukhtar kahin maadar paDi hai koi shatranj-baazi mein hai mashghul kisi ki jaan par apni bani hai duaa-e-ahl-e-ghazza sun le yaarab musibat ki ye ik aisi ghaDi hai unhein hai sirf teraa hi sahaaraa jahaan bhaai se bhaai ajnabi hai agar is mein ho 'barqi' aadmiyyat farishton se bhi afzal aadmi hai"
نہ سمجھے کوئی اس سے دشمنی ہے مری اک کم سخن سے دوستی ہے سبھی کے کام آئے ابن آدم یہی دراصل حسن زندگی ہے جسے پڑھنا ہو اس میں پڑھ لے سب کچھ کھلی میری کتاب زندگی ہے مرے کس کام کا ایسا سمندر لب ساحل بھی جس کے تشنگی ہے ہو روداد زمانہ کی جو مظہر وہی دراصل روح شاعری ہے مرے دل پر ہے جس کی حکمرانی ابھی اس میں ادائے کمسنی ہے ہے جس کا آج گرویدہ زمانہ جہان رنگ و بو یہ عارضی ہے اجم کی طرح ہے گونگا عرب بھی یہ اس کی مصلحت یا بے حسی ہے نہیں فرصت تن آسانی سے اس کو الم انگیز یہ آدم کشی ہے بپا ہے حشر سے پہلے ہی محشر کہیں دختر کہیں مادر پڑی ہے کوئی شطرنج بازی میں ہے مشغول کسی کی جان پر اپنی بنی ہے دعائے اہل غزہ سن لے یا رب مصیبت کی یہ اک ایسی گھڑی ہے انہیں ہے صرف تیرا ہی سہارا جہاں بھائی سے بھائی اجنبی ہے اگر اس میں ہو برقیؔ آدمیت فرشتوں سے بھی افضل آدمی ہے
न समझे कोई उस से दुश्मनी है मिरी इक कम-सुख़न से दोस्ती है सभी के काम आए इब्न-ए-आदम यही दर-अस्ल हुस्न-ए-ज़िंदगी है जिसे पढ़ना हो इस में पढ़ ले सब कुछ खुली मेरी किताब-ए-ज़िंदगी है मिरे किस काम का ऐसा समुंदर लब-ए-साहिल भी जिस के तिश्नगी है हो रूदाद-ए-ज़माना की जो मज़हर वही दर-अस्ल रूह-ए-शाएरी है मिरे दिल पर है जिस की हुक्मरानी अभी उस में अदा-ए-कम-सिनी है है जिस का आज गिरवीदा ज़माना जहान-ए-रंग-ओ-बू ये 'आरज़ी है अजम की तरह है गूँगा 'अरब भी ये उस की मस्लहत या बे-हिसी है नहीं फ़ुर्सत तन-आसानी से उस को अलम-अंगेज़ ये आदम-कुशी है बपा है हश्र से पहले ही महशर कहीं दुख़्तर कहीं मादर पड़ी है कोई शतरंज-बाज़ी में है मशग़ूल किसी की जान पर अपनी बनी है दुआ-ए-अहल-ए-ग़ज़्ज़ा सुन ले यारब मुसीबत की ये इक ऐसी घड़ी है उन्हें है सिर्फ़ तेरा ही सहारा जहाँ भाई से भाई अजनबी है अगर इस में हो 'बर्क़ी' आदमियत फ़रिश्तों से भी अफ़ज़ल आदमी है

More by Barqi Azmi
View all →"insaaniyat na jis mein ho vo aadmi nahin jis mein huzur qalb na ho bandagi nahin jis mein junun-e-shauq na ho aashiqi nahin dil kaa moaamla hai koi dil-lagi nahin rahtaa hai mere darpai-e-aazaar phir bhi vo us se agarche meri koi dushmani nahin raaton ki niind din kaa sukun ho gayaa haraam puchhaa jo kab miloge to bolaa kabhi nahin khvaabida hasraton kaa na ho jis mein inikaas hai kaargah-e-shishagari shaairi nahin us ki sharaab-e-naab se baDh kar hai chashm-e-mast jis ke baghair lutf-e-mai-o-mai-kashi nahin naqd-e-sukhan jo kartaa hai vo ho sukhan-shanaas jauhar-shanaas ho na agar jauhari nahin 'barqi' jo khud-shanaas hai vo hai khudaa-shanaas gum-gashtagi-e-hosh-o-khirad be-khudi nahin"
"lauT kar jaise daur-e-shabaab aa gayaa aap kyaa aa gae inqalaab aa gayaa is tarah dil ke armaan puure hue naama-bar le ke khat kaa javaab aa gayaa dekhne ko tarasti thiin aankhein jise saamne vo mire be-hijaab aa gayaa gulshan-e-dil pe ik taazgi chhaa gai ban ke vo ik mujassam gulaab aa gayaa aalam-e-khvaab mein jis ko paDhtaa thaa main ru-e-zebaa ki le kar kitaab aa gayaa jis ke jaane se taarik thi zindagi khaana-e-dil mein baa-aab-o-taab aa gayaa zehn maauf thaa ginte ginte jise aaj 'barqi' vo roz-e-hisaab aa gayaa"
"kar ke asir-e-ghamza-o-naaz-o-adaa mujhe ai dil-navaaz tu ne ye kyaa de diyaa mujhe jaanaa thaa itni jald to aayaa thaa kis liye ek ek pal hai hijr kaa sabr-aazmaa mujhe bujhne lagi hai sham-e-shabistaan-e-aarzu ab sujhtaa nahin hai koi raastaa mujhe aankhein thiin farsh-e-raah tumhaare liye sadaa tum aas paas ho yahin aisaa lagaa mujhe ye dard-e-dil hai mere liye ab vabaal-e-jaan miltaa nahin kahin koi dard-aashnaa mujhe kashti-e-dil kaa saunp diyaa jis ko nazm-o-nasq detaa rahaa fareb vahi naakhudaa mujhe rahzan se baDh ke us kaa ravayya thaa mere saath pahli nigaah mein jo lagaa rahnumaa mujhe ab main huun aur khvaab-e-pareshaan hai mere saath kitnaa paDegaa aur abhi jaagnaa mujhe kyaa ye junun-e-shauq gunaah-e-azim hai kis jurm ki mili hai ye aakhir sazaa mujhe 'barqi' na ho udaas sar-e-rahguzar hai vo paighaam de gai hai ye baad-e-sabaa mujhe"
"hasb-e-vaada mujh se milne vo kabhi aayaa nahin is se baDh kar aur kuchh bhi hausla-farsaa nahin hijr thaa is kaa bahut sabr-aazmaa mere liye gham se patthar ho gayaa lekin kabhi royaa nahin daavat-e-nazzaara de kar aisaa vo ghaaeb huaa meri aankhon ne dobaara phir use dekhaa nahin kaaTne ko dauDte hain mujh ko ye divaar-o-dar jaise main tanhaa huun vaise koi bhi tanhaa nahin murtaish rahtaa hai ab har dam miraa taar-e-vajud kyaa guzarti hai mire dil par kabhi kahtaa nahin kar rahaa huun apni ye tarhi ghazal nazr-e-'munir' aisaa shaair aaj tak main ne kabhi dekhaa nahin kar ke is ke vaada-e-fardaa pe 'barqi' e'tibaar main kai din tak musalsal raat-bhar soyaa nahin"
"sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj shikast-e-khvaab hai har shakhs kaa muqaddar aaj hai vaz-e-haal miri kyuun ye bad se bad-tar aaj amir-e-shahr ke badle hue hain tevar aaj har ek shakhs hai apne hisaar mein mahsur hai sab ke darpai aazaar vo sitamgar aaj kiyaa hai gardish-e-dauraan ne dar-ba-dar sab ko jo sar mein pahle thaa vo paanv mein hai chakkar aaj samajh rahaa thaa jise khair-khvaah main apnaa vahi hai dushman-e-jaan meraa sab se baDh kar aaj fasil-e-shahr ke andar the kitne ahl-e-hunar nahin hai jin se shanaasaa koi bhi baahar aaj vo dars lete nahin jang-e-karbalaa se koi jo saf-shikan the vo hain dushmanon se shashdar aaj vo qaum kaise taraqqi karegi duniyaa mein nahin hai jis kaa kahin koi ek rahbar aaj bikhar ke rah gayaa khud jin kaa apnaa shiraaza samajh rahe hain ki hain vaqt ke sikandar aaj agar muhaasba apnaa karein to paaeinge nahin hai ham se jahaan mein koi bhi bad-tar aaj jo apne haath se kashti jalaate the apni nahin mileinge kahin aise vo qalandar aaj dikhaa rahaa hai mujhe sabz-baagh jo 'barqi' vo le ke phirtaa hai kyuun aastin mein khanjar aaj"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"