"naved-e-vasl-e-yaar aae na aae baraabar hai bahaar aae na aae tujhe karnaa hai jo kuchh aaj kar le ki phir ye rozgaar aae na aae kiye jaa dard-e-dil ai naa-muraadi kisi ko e'tibaar aae na aae koi pursaan na ho jab haal-e-bad kaa tamannaa sogvaar aae na aae jo vo bil-farz ho pursish pa maail dil-e-bismil qaraar aae na aae sitam se jab talaafi ho sitam ki tumhin kah do ki pyaar aae na aae 'asar' hai aur lazzat be-khudi ki vo jaan-e-intizaar aae na aae"
na sharh-e-shauq na taskin jaan-e-zaar mein hai — Asar Lakhnavi
"na sharh-e-shauq na taskin jaan-e-zaar mein hai mazaa jo apni mohabbat ke e'tibaar mein hai abhi se hosh na kho baiTh ai nasim-e-chaman abhi to ek shikan zulf-e-taabdaar mein hai khud apne ishq ki ranginiyon mein gum ho jaa nahin kuchh aur agar ye to ikhtiyaar mein hai ye mahviyat koi dekhe ki misl-e-aaina junun-e-khud-nigari apne intizaar mein hai na hai nasib mili aur ba-qadr-e-zarf mili supurdagi ki jo ik shaan ikhtiyaar mein hai harif-e-bazm-e-tamaashaa tiri nigaah nahin vagarna husn to khud tere intizaar mein hai 'asar' mujhe hai vahaan rukhsat-e-navaa-sanji ki naghma ik lab-e-khaamosh jab dayaar mein hai"
نہ شرح شوق نہ تسکین جان زار میں ہے مزا جو اپنی محبت کے اعتبار میں ہے ابھی سے ہوش نہ کھو بیٹھ اے نسیم چمن ابھی تو ایک شکن زلف تاب دار میں ہے خود اپنے عشق کی رنگینیوں میں گم ہو جا نہیں کچھ اور اگر یہ تو اختیار میں ہے یہ محویت کوئی دیکھے کہ مثل آئینہ جنون خود نگری اپنے انتظار میں ہے نہ ہے نصیب ملی اور بقدر ظرف ملی سپردگی کی جو اک شان اختیار میں ہے حریف بزم تماشا تری نگاہ نہیں وگرنہ حسن تو خود تیرے انتظار میں ہے اثرؔ مجھے ہے وہاں رخصت نوا سنجی کہ نغمہ اک لب خاموش جب دیار میں ہے
न शरह-ए-शौक़ न तस्कीन जान-ए-ज़ार में है मज़ा जो अपनी मोहब्बत के ए'तिबार में है अभी से होश न खो बैठ ऐ नसीम-ए-चमन अभी तो एक शिकन ज़ुल्फ़-ए-ताबदार में है ख़ुद अपने इश्क़ की रंगीनियों में गुम हो जा नहीं कुछ और अगर ये तो इख़्तियार में है ये महवियत कोई देखे कि मिस्ल-ए-आईना जुनून-ए-ख़ुद-निगरी अपने इंतिज़ार में है न है नसीब मिली और ब-क़द्र-ए-ज़र्फ़ मिली सुपुर्दगी की जो इक शान इख़्तियार में है हरीफ़-ए-बज़्म-ए-तमाशा तिरी निगाह नहीं वगरना हुस्न तो ख़ुद तेरे इंतिज़ार में है 'असर' मुझे है वहाँ रुख़्सत-ए-नवा-संजी कि नग़्मा इक लब-ए-ख़ामोश जब दयार में है

More by Asar Lakhnavi
View all →"idhar dekh lenaa udhar dekh lenaa phir un ki taraf ik nazar dekh lenaa vo meraa na kahne mein kah jaanaa sab kuchh vo un kaa achaanak idhar dekh lenaa abas meri jaanib se tu bad-gumaan hai nahin muddaaa kuchh magar dekh lenaa mire gham-kade mein vo aaeinge ik din jhalak uTTheinge baam-o-dar dekh lenaa 'asar' arz-e-haal un se be-soche-samjhe kahaa thaa ki pahle nazar dekh lenaa"
"aah se jab dil mein Duube tiir ubhaare jaaeinge dekh lenaa duur tak uD kar sharaare jaaeinge mauj-e-tufaan ko jinhon ne chirnaa sikhaa nahin is kinaare se bhalaa kyaa us kinaare jaaeinge utni hi rangin hoti jaaegi apni nazar jis qadar tere tasavvur ko sanvaare jaaeinge kuchh na kuchh ho hi rahegaa dard-mandi kaa maaal jaan ke dushman tujhi ko ham pukaare jaaeinge khaak ho kar bhi na aaegaa unhein dam bhar qaraar uTh ke tere dar se jo aafat ke maare jaaeinge ek harf-e-dil-nashin! ye bhi nahin to ik nigaah duur jaane vaale kyun-kar be-sahaare jaaeinge baiThe saahil par ginaa karte hain jo lahrein 'asar' vaqt paDne par bhalaa kyaa dhaare dhaare jaaeinge"
"hijaab-e-rang-o-bu hai aur main huun ye dhokaa thaa ki tu hai aur main huun maqaam-e-be-niyaazi aa gayaa hai vo jaan-e-aarzu hai aur main huun fareb-e-shauq se aksar ye samjhaa ki vo begaana-khu hai aur main huun kabhi saudaa thaa teri justuju kaa ab apni justuju hai aur main huun kabhi dekhaa thaa ik khvaab-e-mohabbat ab us ki aarzu hai aur main huun faqat ik tum nahin to kuchh nahin hai chaman hai aabju hai aur main huun phir us ke baad hai is hu kaa aalam bas ik had tak hi tu hai aur main huun"
"dil gayaa be-qaraariyaan na gaiin ishq ki khaam-kaariyaan na gaiin mar miTe naam par vafaa ke ham teri be-e'tibaariyaan na gaiin lab pe aayaa na us kaa naam kabhi gham ki parhez-gaariyaan na gaiin khap gai jaan bujh gae tevar ashk ki taabdaariyaan na gaiin tauba karne ko ham ne ki to magar tauba ki sharmsaariyaan na gaiin jaan aa hi gai labon pe magar shauq ki parda-daariyaan na gaiin vo hai kiina ki sard-mehri hai apni jaanib se yaariyaan na gaiin girya bhi hai 'asar' kaa mastaana na gaiin baada-khvaariyaan na gaiin"
"bhule afsaane vafaa ke yaad dilvaate hue tum to aae aur dil ki aag bhaDkaate hue mauj-e-mai bal khaa gai gul ko jamaai aa gai zulf ko dekhaa jo us aariz pe lahraate hue be-muravvat yaad kar le ab to muddat ho gai teri baaton se dil-e-muztar ko bahlaate hue niind se uTh kar kisi ne is tarah aankhein malin subh ke taare ko dekhaa aankh jhapkaate hue ham to uTThe jaate hain lekin bataa de is qadar kis ke dar ki khaak chhaane tere kahlaate hue jhaaD kar daaman 'asar' jis bazm se uTh aae the aaj phir dekhe gae hazrat udhar jaate hue"
More on Khudi
View all →"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"