SHAWORDS

na tarz-e-dost na rang-e-adu se miltaa hai — Aliuddeen Naved

"na tarz-e-dost na rang-e-adu se miltaa hai vo baankpan jo tiri guftugu se miltaa hai main kyaa bataaun ye kis khub-ru se miltaa hai jab aaftaab lab-e-aabju se miltaa hai hamaare zakhm hare hon to muskuraate hain hamein sukun bhalaa kab rafu se miltaa hai hamaari tarah ye hai kushta-e-sitam ki 'naved' hinaa kaa rang hamaare lahu se miltaa hai"
Urdu

نہ طرز دوست نہ رنگ عدو سے ملتا ہے وہ بانکپن جو تری گفتگو سے ملتا ہے میں کیا بتاؤں یہ کس خوبرو سے ملتا ہے جب آفتاب لب آب جو سے ملتا ہے ہمارے زخم ہرے ہوں تو مسکراتے ہیں ہمیں سکون بھلا کب رفو سے ملتا ہے ہماری طرح یہ ہے کشتۂ ستم کہ نویدؔ حنا کا رنگ ہمارے لہو سے ملتا ہے

Hindi

न तर्ज़-ए-दोस्त न रंग-ए-अदू से मिलता है वो बाँकपन जो तिरी गुफ़्तुगू से मिलता है मैं क्या बताऊँ ये किस ख़ूब-रू से मिलता है जब आफ़्ताब लब-ए-आबजू से मिलता है हमारे ज़ख़्म हरे हों तो मुस्कुराते हैं हमें सुकून भला कब रफ़ू से मिलता है हमारी तरह ये है कुश्ता-ए-सितम कि 'नवेद' हिना का रंग हमारे लहू से मिलता है

na tarz-e-dost na rang-e-adū se miltā hai
Aliuddeen Naved
Aliuddeen Naved
Aliuddeen Naved
poet7 quotes

More by Aliuddeen Naved

View all →
Quote
"aankhon ke kanval lab ke chaman-zaar bahut the divaane magar sair se bezaar bahut the ham log kaDi dhuup ke shaidaai the varna yuun sar ko chhupaane dar-o-divaar bahut the har shakhs ke chehre pe kai chehre the chaspaan tujh jaise tire shahr mein ayyaar bahut the TuuTaa huaa pul ret ki divaar havaa tez lagtaa hai ki basti mein gunahgaar bahut the alfaaz adaa karti rahin bolti aankhein chup rah ke bhi vo maail-e-guftaar bahut the aankhon ke darichon mein hayaa jaag rahi thi soe the kuchh aise ki vo bedaar bahut the vo shakhs to har gaam pe detaa rahaa dhoke tum phir bhi 'naved' us ke parastaar bahut the"
Aliuddeen NavedAliuddeen Naved
Quote
"ehsaas dekh paae vo manzar talaash kar aankhein jo hain to bu-e-gul-e-tar talaash kar meraa vajud jazb huaa tere jism mein ab mujh ko apne jism ke andar talaash kar tanhaaiyon ke gahre samundar mein Duub jaa zakhmon ke phuul dard ke gauhar talaash kar teraa badan to TuuT gayaa vasl hi ki shab ab aaine mein khud ko na din bhar talaash kar har dil se maangtaa hai jo taaza lahu ki bhiik basti mein koi aisaa gadaagar talaash kar main thak gayaa huun khaak bayaabaan ki chhaan kar mauj-e-nasim tu hi miraa ghar talaash kar dasht-e-vafaa mein yuun na bhaTak dar-ba-dar 'naved' sar ban gayaa hai bojh to patthar talaash kar"
Aliuddeen NavedAliuddeen Naved

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud