SHAWORDS

naaseh na bak ziyaada miraa maan ye sukhan — Nayan Sukh

HomeNayan SukhGhazal
"naaseh na bak ziyaada miraa maan ye sukhan mujh seti chhoTe 'ishq hai imkaan ye sukhan har roz mujh ko 'ishq se kyuun roktaa hai tu aakhir ko kho rahaa hai tiri jaan ye sukhan dildaar dilrubaa hain mire dil ke mushtari main in kaa huun miri jaan ye sukhan itne mein meraa yaar mire paas aa gayaa kahne lagaa ki kyaa hai mehrbaan ye sukhan us be-hayaa se kaahe ko khaali karo ho maghz ye bevaquf hai jo kahe aan ye sukhan al-qissa ho khamosh kiyaa main ne ye yaqin jab munh se yaar ke paDaa mujh kaan ye sukhan behtar hai sab se dosti apni khudaa ki 'nayan' fe'l 'abas hai yaari gaihaan ye sukhan"
Urdu

ناصح نہ بک زیادہ مرا مان یہ سخن مجھ سیتی چھوٹے عشق ہے امکان یہ سخن ہر روز مجھ کو عشق سے کیوں روکتا ہے تو آخر کو کھو رہا ہے تری جان یہ سخن دل دار دل ربا ہیں مرے دل کے مشتری میں ان کا ہوں مری جان یہ سخن اتنے میں میرا یار مرے پاس آ گیا کہنے لگا کہ کیا ہے مہربان یہ سخن اس بے حیا سے کاہے کو خالی کرو ہو مغز یہ بےوقوف ہے جو کہے آن یہ سخن القصہ ہو خموش کیا میں نے یہ یقیں جب منہ سے یار کے پڑا مجھ کان یہ سخن بہتر ہے سب سے دوستی اپنی خدا کی نینؔ فعل عبث ہے یاری گیہان یہ سخن

Hindi

नासेह न बक ज़ियादा मिरा मान ये सुख़न मुझ सेती छोटे 'इश्क़ है इम्कान ये सुख़न हर रोज़ मुझ को 'इश्क़ से क्यूँ रोकता है तू आख़िर को खो रहा है तिरी जान ये सुख़न दिलदार दिलरुबा हैं मिरे दिल के मुश्तरी मैं इन का हूँ मिरी जान ये सुख़न इतने में मेरा यार मिरे पास आ गया कहने लगा कि क्या है मेहरबान ये सुख़न उस बे-हया से काहे को ख़ाली करो हो मग़्ज़ ये बेवक़ूफ़ है जो कहे आन ये सुख़न अल-क़िस्सा हो ख़मोश किया मैं ने ये यक़ीं जब मुँह से यार के पड़ा मुझ कान ये सुख़न बेहतर है सब से दोस्ती अपनी ख़ुदा की 'नयन' फ़े'ल 'अबस है यारी गैहान ये सुख़न

nāseh na bak ziyāda mirā maan ye suḳhan
Nayan Sukh
Nayan Sukh
nayan sukh
poet27 quotes

More by Nayan Sukh

View all →
Quote
"bahuton ne jise arsh pe be-jaan mein dekhaa ham ne to use jite-ji is jaan mein dekhaa majnun thaa ham-aaghosh liye lailaa ko apni yaaro ye tamaashaa main bayaabaan mein dekhaa jaave bhi phir aave bhi kai shakl se har baar chakkar mein kahaan par ye mazaa taan mein dekhaa faaqa hi rahe roz na kuchh khaanaa na piinaa ye daur main ne hazrat-e-ramazaan mein dekhaa sab raat laDein TonTe chhachhundar ki laDaai bhaunchappaa main ne chhuTte shaabaan mein dekhaa go meve hazaaron hain aur hain neamatein laakhon par sab se saris ham ne mazaa naan mein dekhaa har sher taDaaqe kaa har ik baat tamaashaa aisaa to main ne saudaa ke divaan mein dekhaa har nafs ko hairaan kare sovte jagte is fan ko main ne hazrat-e-shaitaan mein dekhaa kuchh baat kahe hans ke to jhaDte hain nire phuul lahza ye tire is lab-e-khandaan mein dekhaa hanste hi kare der na laDte hi kare der ye taur tiraa tiflak-e-naadaan mein dekhaa go sarv tire qad kaa saa mauzun to nahin hai par kahne ko laachaar main bustaan mein dekhaa jo chaah-e-zanakh biich giraa phiir na niklaa aisaa to kai baar main har aan mein dekhaa kuche kaa gayaa tere koi phirtaa nahin hai main khuub hi kar ghaur garebaan mein dekhaa tujh chashm ki tashbih ko nargis kaa zikar kyaa sau baar use main ne gulistaan mein dekhaa"
Nayan SukhNayan Sukh
Quote
"vaajibi baat kahin zaraa kahiye buri lagti hai sab ko kyaa kahiye mujh ko ik ye baDi si hairat hai bure ko kis tarah bhalaa kahiye neki kaa phal badi lagaa hone is zamaane kaa kyaa gila kahiye charkh-e-zaalim ne sab ko Daalaa piis is ko tahqiq aasiyaa kahiye aur hi ahvaal dekhtaa huun main kis ke aage ye maajraa kahiye jaa-ba-jaa chhuTein jhuuT ke shishe ye bhi yaaron kaa ishqalaa kahiye ammi kahte hain ham to hain faazil bevaqufon kaa dar khulaa kahiye apni karte hain aap hi taa'rif un ke taiin ko to chutiyaa kahiye be-shuuri pe bas-ki hain naazaan kyuun na ab un ko naa sazaa kahiye shaikh-ji ne kiyaa hai aaj khizaab is ko buDhe kaa chochalaa kahiye logon ke phoDtaa phire shishe mohtasib ko to maskharaa kahiye poch paadar huaa bake hai sukhan naaseh ko khvaah-makhvaah saDaa kahiye apnaa sar phoDtaa hai aap raqib shauq se is ko mud-jhaDaa kahiye maare khandon ke mard-e-aadam ko koi puchhe nahin hai kyaa kahiye DaaDhi mullaa ki go ki hai khu-gir par mahaadev ki jaTaa kahiye jin ki hurmat pe kuchh nahin hai nigaah in ko paa-posh kaa talaa kahiye chhupte phirte hain vaqt-e-jang-o-jadal buzdilaa un ko barmalaa kahiye khud-pasandi mein gharq hai 'aalam 'nayan' ko kis ko ab buraa kahiye"
Nayan SukhNayan Sukh
Quote
"fasl-e-gul mein har ghaDi ye abr-o-baaraan phir kahaan dekh lo khush ho ke yaaraan ye bahaaraan phir kahaan hai saaadat qumriyo us ke tasadduq ho chalo varna koi din ko ye sarv-e-khiraamaan phir kahaan aaj aati hai nazar mujh dil ke shishe mein pari dekh lo lahza mein ye surat numaayaan phir kahaan main chaman mein pi ke mai ko is liye kartaa huun sair kaun jaane saaqiyaa ye gul-azaaraan phir kahaan qaul hai hazrat 'yaqin' kaa tab to yuun kahtaa hai 'nain' bhar ke dil ro lijiye ye chashm-e-giryaan phir kahaan"
Nayan SukhNayan Sukh
Quote
"yaar kaa vasl-e-shabaa-shab na huaa thaa so huaa saaghar ishq-e-labaa-lab na huaa thaa so huaa le chukaa dil ko vo mujh haath se tab main ne kahaa is qadar teraa mataalib na huaa thaa so huaa jaur aur zulm se duniyaa mein ye khubaan kaa ism bevafaai kaa mulaqqab na huaa thaa so huaa karnaa taskhir har ik dil ko do ik baaton mein is tarah kaa bhi ajaaib na huaa thaa so huaa roz lagtaa hai tire kaan se jaa jaa ke raqib kasu kaa itnaa maraatib na huaa thaa so huaa ghairon ki bar mein tire ab to ye kuchh kasrat hai yaa'ni har koi musaahib na huaa thaa so huaa mehr ustaad ki se dekho to is 'nain' ke taiin sher kahne kaa kabhi Dhab na huaa thaa so huaa"
Nayan SukhNayan Sukh
Quote
"jafaa kaa us ki gilaa mat karo huaa so huaa khudaa ke vaaste chupke raho huaa so huaa sunegaa vo to khafaa hogaa phir nae sar se kasu ke kaan mein kuchh mat kaho huaa so huaa ye guftugu jo karo ho so kuchh bhali nahin hai kisi se fel-e-abas mat laDo huaa so huaa mujhe to paak mohabbat hai mat karo badnaam kahin khudaa ke ghazab se Daro huaa so huaa phire hai vo to sipar saif le are yaaro kisi se qaziya na ho dekhiyo huaa so huaa ye maraz-e-ishq hai is ki davaa karo mauquf tabib muft mein rusvaa na ho huaa so huaa giraa jo chaah-e-zanakh mein koi to yuun bolaa sazaa hai ghota zaraa khaane do huaa so huaa sunaa jab un ne falaanaa to aaj mar hi gayaa kahaa balaa se miri koi maro huaa so huaa agar nasib mein aisaa hi kuchh likhaa hai 'nain' to phiir bas nahin laachaar jo huaa so huaa"
Nayan SukhNayan Sukh
Quote
"diije nahin kisu ko to phir lijiye bhi nain neki na ban sake to badi kijiye bhi nain tauqir-e-husn shart hai dil dene ke liye gar husn hi na ho to kabhu rijhiye bhi nain hove agarche apni sharaafat upar nigaah hargiz badi ke kaam pe dil dijiye bhi nain idhar se siite jaao aur udhar se phahTtaa jaae aise tarah ke kapDe ko phir sijiye bhi nain denaa dilaanaa saaraa hai ik naam ke liye gar naam bhi na ho to abas chhijiye bhi nain koi saa moaamla ho pahle chhaan lijiye yak-baargi bhaDak ke kabhu kijiye bhi nain mai kaa mazaa jabhi hai ki jab maah-ru ho paas gar maah-ru na hove to mai pijie bhi nain"
Nayan SukhNayan Sukh

More on Dosti

View all →
Quote
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
Anjuman Mansury ArzooAnjuman Mansury Arzoo
Quote
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
Naeem SabaNaeem Saba