Quote
"jo bhi aayaa hai yahaan ho ke hi sarshaar uThaa sab kaa aangan hai na tu biich mein divaar uThaa masala aur ulajhtaa hai ghalat-fahmi se pahle tu baat to kar baad mein talvaar uThaa dil bhi raushan ho tiri aankhon mein nuur aa jaae jazba saadiq hai to ik aisaa hi minaar uThaa surkh-ru aur bhi hoti gai maqtal ki zamin sar hamaaraa bhi kuchh is tarah sar-e-daar uThaa tez-tar ho gae jab gardish-e-dauraan ke qadam haath mein jaam liye jhuum ke mai-khvaar uThaa zulm jab had se baDhaa haath mein kirpaan liye apne 'nashtar' ki tarah kaun ye sardaar uThaa"
N
Nanak Singh Nashtar