SHAWORDS

nigaah-e-dost savaal-o-javaab mat karnaa — G R Kanwal

HomeG R KanwalGhazal
"nigaah-e-dost savaal-o-javaab mat karnaa main be-hisaab huun mujh se hisaab mat karnaa mujhe khudaa ne chhupaayaa hai laakh pardon mein jo ho sake to mujhe be-hijaab mat karnaa naqaab-poshi mein ye dil hai ik dulhan ki tarah kisi jagah bhi ise be-naqaab mat karnaa main zindagi ke safar kaa hasin aadam huun mujhe sanbhaal ke rakhnaa kharaab mat karnaa mujhe sukun milegaa to sirf paani se so meri pyaas ko vaqf-e-sharaab mat karnaa main khud savaal huun apne khamosh honTon par savaal kar ke mujhe laa-javaab mat karnaa ye zindagi hai mukammal har ek chiiz ke saath kisi bhi shai kaa yahaan intikhaab mat karnaa jo kaamyaab hai vo aarzu se khaali hai tire nisaar mujhe kaamyaab mat karnaa baDaa mazaa hai 'kanval' ruuh ko jagaane mein tum apni zaat ko ab mahv-e-khvaab mat karnaa"
Urdu

نگاہ دوست سوال و جواب مت کرنا میں بے حساب ہوں مجھ سے حساب مت کرنا مجھے خدا نے چھپایا ہے لاکھ پردوں میں جو ہو سکے تو مجھے بے حجاب مت کرنا نقاب پوشی میں یہ دل ہے اک دلہن کی طرح کسی جگہ بھی اسے بے نقاب مت کرنا میں زندگی کے سفر کا حسین آدم ہوں مجھے سنبھال کے رکھنا خراب مت کرنا مجھے سکون ملے گا تو صرف پانی سے سو میری پیاس کو وقف شراب مت کرنا میں خود سوال ہوں اپنے خموش ہونٹوں پر سوال کر کے مجھے لاجواب مت کرنا یہ زندگی ہے مکمل ہر ایک چیز کے ساتھ کسی بھی شے کا یہاں انتخاب مت کرنا جو کامیاب ہے وہ آرزو سے خالی ہے ترے نثار مجھے کامیاب مت کرنا بڑا مزا ہے کنولؔ روح کو جگانے میں تم اپنی ذات کو اب محو خواب مت کرنا

Hindi

निगाह-ए-दोस्त सवाल-ओ-जवाब मत करना मैं बे-हिसाब हूँ मुझ से हिसाब मत करना मुझे ख़ुदा ने छुपाया है लाख पर्दों में जो हो सके तो मुझे बे-हिजाब मत करना नक़ाब-पोशी में ये दिल है इक दुल्हन की तरह किसी जगह भी इसे बे-नक़ाब मत करना मैं ज़िंदगी के सफ़र का हसीन आदम हूँ मुझे सँभाल के रखना ख़राब मत करना मुझे सुकून मिलेगा तो सिर्फ़ पानी से सो मेरी प्यास को वक़्फ़-ए-शराब मत करना मैं ख़ुद सवाल हूँ अपने ख़मोश होंटों पर सवाल कर के मुझे लाजवाब मत करना ये ज़िंदगी है मुकम्मल हर एक चीज़ के साथ किसी भी शय का यहाँ इंतिख़ाब मत करना जो कामयाब है वो आरज़ू से ख़ाली है तिरे निसार मुझे कामयाब मत करना बड़ा मज़ा है 'कँवल' रूह को जगाने में तुम अपनी ज़ात को अब महव-ए-ख़्वाब मत करना

nigāh-e-dost savāl-o-javāb mat karnā
G R Kanwal
G R Kanwal
G R Kanwal
poet25 quotes

More by G R Kanwal

View all →

More on Zindagi

View all →
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bahut khajil hain ki ham raaegaan bhi zinda rahe jahaan pe tu bhi nahin thaa vahaan bhi zinda rahe ajiib shart hai is be-yaqin mizaaj ki bhi ki tu bhi paas ho teraa gumaan bhi zinda rahe tujhe pe zid hai magar is tarah nahin hotaa ki tu bhi zinda rahe daastaan bhi zinda rahe vo kaun log the jin kaa vajud jism se thaa ye kaun hain jo pas-e-jism-o-jaan bhi zinda rahe jo ye na ho to sukhan kaa koi javaaz nahin zamir zinda rahe to zabaan bhi zinda rahe ye kaaenaat faqat manfaat kaa naam nahin koi yahaan pe baraae ziyaan bhi zinda rahe adam mein jo bhi nahin thaa vo sab vajud mein thaa ye ham hi the jo kahin darmiyaan bhi zinda rahe"
Irfan SattarIrfan Sattar