SHAWORDS

jis ki buniyaad ho javaani par — G R Kanwal

HomeG R KanwalGhazal
"jis ki buniyaad ho javaani par der lagti hai us kahaani par aaj phir Dubne kaa khadsha hai aaj dariyaa hai phir ravaani par jaane kyaa soch kar havaaon ne likh diyaa naam meraa paani par aks apnaa use bhi achchhaa lagaa khush huaa main bhi naqsh-e-saani par ji bhi thaa us ke saath chalne kaa shak bhi thaa us ki paasbaani par koi sultaan ho sakaa na 'kanval' hukmraan dil ki raajdhaani par"
Urdu

جس کی بنیاد ہو جوانی پر دیر لگتی ہے اس کہانی پر آج پھر ڈوبنے کا خدشہ ہے آج دریا ہے پھر روانی پر جانے کیا سوچ کر ہواؤں نے لکھ دیا نام میرا پانی پر عکس اپنا اسے بھی اچھا لگا خوش ہوا میں بھی نقش ثانی پر جی بھی تھا اس کے ساتھ چلنے کا شک بھی تھا اس کی پاسبانی پر کوئی سلطان ہو سکا نہ کنولؔ حکمراں دل کی راجدھانی پر

Hindi

जिस की बुनियाद हो जवानी पर देर लगती है उस कहानी पर आज फिर डूबने का ख़दशा है आज दरिया है फिर रवानी पर जाने क्या सोच कर हवाओं ने लिख दिया नाम मेरा पानी पर अक्स अपना उसे भी अच्छा लगा ख़ुश हुआ मैं भी नक़्श-ए-सानी पर जी भी था उस के साथ चलने का शक भी था उस की पासबानी पर कोई सुल्तान हो सका न 'कँवल' हुक्मराँ दिल की राजधानी पर

jis kī buniyād ho javānī par
G R Kanwal
G R Kanwal
G R Kanwal
poet25 quotes

More by G R Kanwal

View all →
Quote
"faqiraana sadaa khaamosh kyon hai qalandar ki navaa khaamosh kyon hai jise maqsud thaa bas gungunaanaa vahi baad-e-sabaa khaamosh kyon hai sadaaqat kuchh bataa ab mahfilon mein tiraa naghma-saraa khaamosh kyon hai fanaa jab har taraf manDlaa rahi hai to aise mein baqaa khaamosh kyon hai hai mausam lab-kushaai kaa chaman mein shajar gum-sum havaa khaamosh kyon hai diye jab aur saare jal rahe hain mohabbat kaa diyaa khaamosh kyon hai 'kanval' jis shahr mein sab bolte hain vahaan ibn-e-khudaa khaamosh kyon hai"
G R KanwalG R Kanwal

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer